Zulm Ki Intiha

(Mohammad Najam Kiyani, Makkah , Kindom Of Saudia Arabia)

Aslam O Alaikum,
Pehly Bhi Is Mazou Per Koshish Kar Chuka Hon, But Koi Nahin Sunta.

Pakistan Ki Tareekh Main Karachi Aik Aisaa Shehr Tha, Jis K Bare Men Kaha Jata Tha K Wahan Koi Shakhs Bhoka Nahin Sota, Aur Pakistan K Dor Draz Elaqon Se Log Apne Zareya- E Mash K Leye Ate The.Aur Roshniyon Ka Shehr Sub Ko Apne Goud Main Somo Laita Tha. Boht Sakon Tha, Aur Isi Shehr Par Pakistan Ki Maishat Ka Daro Madar Hota Tha. Waqt Ne Karwat Le Aur Dushman Ko Shayyad Acha Nahin Laga Aur Phir Kaya Hi Palat Gai. Lisanyat Ki Aise Aag Bharke Ki Us Ke Shuley Kai Salon Par Muheet Ho Gae.

Akher Kiyon Apne Aap Ko Ghair Kar Diya Qurbaniyan Daine Walon Ne?

Lesanayt K Hathe Char Gai. Aur Bhai Bhi Ka Dushman Ho Gaya.Marne Wale Bhi Hum Aur Maarne Wale Bhe Hum.Koi London Main Baitha Khail Khail Raha He,
Allah Ka Khauf Karo Zalmo Kiya Jawab Do Ge. Maut Ka Din To Muqrar He.
 

Mohammad Najam Kiyani
About the Author: Mohammad Najam Kiyani Currently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.