Operation Zarbe Azab And Ham

(hassamud din, Islamabad)

Ab Jab Kay Shamali Waziristan May Military Operation Shuru Ho Chuka Hay To Ham Ab Is Kay Shuru Honay K Bad Ki Satuation Ko Zere Behs Laingay Q K Bahut Dhong Rachaya Gaya Muzakerat Ka Our Bar Bar Kaha Gia K Is Bar Hakumat Muzakerat K Leye Sanjeda Hay Lekan Haqiqat Ye Hay K Na To To Hakomat Sanjeda Ti Na Hosakti Hay Aisay Mulk May Jaha Ki Military Establishment Itni Mazboot Ho Our Jahan Kay Hukamran Hamesha Begging Bwls Hat May Leye Dosron K Samnay Hat Pelaien.Muzakerat Jab Shuru Hoie To Hakomat Ki Ghair Sanjedgi Ka Andaza Is Bat Say Lagaya Jasakta Hay K Committe May Jin Logon Ko Shamil Kia Un May Siwaye Rustam Sha K Koi Aisa Banda Nahi Ta K Jin Ka Track Record Ho Our Jis Par Etemad Kia Jasakay.Prime Minister Ko Front Say Lead Karna Chaheye Ta Our Ye Bahana K Pehlay Bi Taleban Nay Mubayena Tour Par Amn Mua Hedo Ki Khelaf Warzi Ki Hay Ye Sarsar Jhot Our Muna Feqat Hay Taleban Nay Kabi Bi Khelaf Warzi Nahi Ki Hay Pehlay Security Forces And Hakumat Nay Muaheday Toray Hay.Khair Behs Lambi Ho Rahi Hay Hamari Security Forces Say Request Hay K Khuda Ra Ab Sahi Operation Karien K Jo Dehshat Gard Hay Wo Khatam Hojaien Aisa Nahi Hona Chaheye K Sirf Jeb Ka Kharch Barabar Hojaiye Our Pir Bat Khatam Hojaien.Is Operation K Bad Pak Army Say Meri Ye Bi Request Hay K Karachi May Jo Dehshat Gard Hay Jin K Pas Modern Israeli And Indian Asla Hay Jo Target Killers Hay Hazaron Ki Tadad May Our Neto Kay Aslay Say Baray Container Jo Nine Zero May Khali Hoi Unka Bi Jaiza Liya Jai Q K Abi Ham Jin Dehshat Gardo K Khelaf Operation Kar Rahay Hay Unsay Kai Guna Zyada Karachi May Siyasi Chatri Kay Neechay Dehshat Gard Hay Our Bahut Saron Nay 50 ,50 Say Zyada Katal Kieye Hay.To Bela Imtiaz Uder Karwai Honi Chaheye Aisa Na Ho K Aik Hi Kum Ko Har Jaga Aik Hi Qum Ko Target Kia Ja Raha Hay Karachi Say Khyber Tak Pashtoono Ka Hi Khoon Beh Raha Hay Kahi Ye Khoon Ag Na Ban Jaiye Our Puray Mulk Ko Jala Kar Rak Na Karday.

hassamud din
About the Author: hassamud din Read More Articles by hassamud din: 8 Articles with 6735 viewsCurrently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.