Shan E Pakistan Imran Khan

(shahan japan, tokyo)

Imran Khan Aik Bazamir Aur Ghayur Insan Ki Almat He . Imran Khan Dolat , Shorat , Izat Ka Malik Khuda Ki Dain Aur Apni Zati Slahiyat Ko Baru E Kar Late Hue Bana He . Sacha Aur Imandar Shakhs He . Qom Ko Is Ki Qadar Karni Chaiye Aur Sab Ko Aik Awaz Ho Ke Is Mard E Haq Ki Awaz Pe Labaik Kehna Chahiye .

Agar Awam Khushali Aur Izat Ke Sath Insano Ki Terah Zindagi Guzarna Chate Hain To Tazabzub Ka Shikar Na Hon . Sab Sirf Lutne Ke Liye Ate Hain . Awam Apni Janwaro Se Badtar Halat Pe Ghor Karain . Aur Agar Aise Hi Sar Ke Marne Ke Adi Ho Chuke Hain To In Begherat Aur Be Zamir Siasat Dano Ke Samne Zalil Wo Khuar Khare Rahin .

Arbo Rupo Ki Batain . Arbo Rupe Ke Ghaban . Aik Am Admi Ko Mil Kia Raha He . Jo In Ki Parties Main Ghuse Hue Hain Un Ko Bhi Kia Hasil He . Agar Kisi Worker Ko Kuch Mil Bhi Raha He To Who Ye Soche Ke Kitne Hi Us Ke Sage Aur Us Ke Lawaheqin Kis Terah Ki Mehrumi Aur Zulm Ka Shikar Hain .

Apni Zara Si Dunya Aur Dunyawi Muraat Hasil Ho Jane Ki Wajah Se In Beghairato Ka Sath Daite Hue Sharm Ani Chahiye . In Ko Yaksar Mustarad Kar Daina Chahiye . Logo Tumhara Bhala Is Hi Main He Ke Imran Khan Ka Bhar Pur Sath De Do . Imran Khan Ae Ga To Saf Suthre , Ache Kirdar Ke Log Upper Ain Gain .

Is Terah Ki Batain Ke Pehle Imran Khan Chif Justis Ko Acha Keh Raha Tha Ibrahim Ji Ko Acha Keh Raha Tha , Ab Bura Keh Raha He . Imran Khan Nehayat Hi Sharif Insan He Jab Jo Bat Achi Thi Us Ne Acha Kaha Lekin Jab Burai Samne Ai To Use Kahe Baghair Kaise Raha Ja Sakta He . Pehle Acha Kaha Is Liye Bad Main Jo Bhi Ghalat Bat Samne Ae Us Se Munh Mor Lia Jae Ya Nazar Andaz Kar Diya Jae . Ye Sache Insan Se Nahi Hota . Sache Insan Ko Koi Lalach Nahi Hota Is Liya Who Kisi Bat Ki Parwa Nahi Karta He . Samajhdar Log Is Terah Nahi Sochte . Jis Ko Imran Khan Acha Samajh Raha He Who Hi Ghalat Nikal Jae To Imran Khan Kia Kare . Burai Ko Jari Rehne De . Aisa Who Nai Kar Sakta . Ab Bhi Waqt He Man Jao .
 

shahan japan
About the Author: shahan japan Read More Articles by shahan japan: 14 Articles with 26147 viewsCurrently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.