Azadi aur Inqalab
(Engineer Mumtaz Ali Noonari, Karachi)
Is Waqt Pooray Mulk Myn Azadi
Aur Inqalab Dharnay K Charchay Hyn Jis Ki B Jis Se Se Wabastgi Hay Wo Uski
Kamyabi Ki Naveed Suna Raha Hay Ya Phir Hub-E-Hussain Kam Bugh-E-Muawiya Ka
Ansar B Shamil Hay. Hamari Qom Ka Ye B Buht Bada Almiya Hay K Hum Ghair Janibdar
Tajziyoon Pe Kam Afwahoon Aur Khawahishoon Pe Ziadah Chaltay Aur Jeetay Hyn. Jis
Ka Nuqsan Ye Howa Hay K Jhoota Har Bar Ek Nae Rang-O-Dhang Se Toofan Ban Kr Ata
Hay Hay Phir Chewintee Ki Tarah Jata Hay. Jis Ki Wajah Se Kae Siyasi Samaji
Zihni Jismani Beemariyan Janam Leti Hyn Jhootay Madari Ko Tu Koi Saza Nhi Milti
Nuqsan Ghareeb Awam Ka He Hota Hay.
Kaee Haftoon Se Azadi O Inqalab March K Charchay Jari Hyn Kisi Ko Islamabad
Tahreer Chowk Nazar Aya Tu Kisi Ko In Dharnoon Myn Tafreeh Ki Tahreer Nazar Aaee.
Bator Tareekh K Ek Adna Talib-E-Ilam Mujhe Tu Kaheen B Inqalab Nazar Nhi Aya
Albata Azadi Zaroor Nazaaaee. Nach Ganay Ki Disco Dance Kee Mukhalifoon Ko Galee
Deni Hee. Banao Seengar Ki Achhi Achhi Dresses Pehn Ker Modeling Ki.
Agar Ap Dunya Myn Tabdeeliyoon Tareekh Pe Nazar Doraengay Tu Apko Is Andaz Se
Tabdeeli K Liye Jido Jihad Kerne Walay Kaheen B Nhi Milenge.
Tabdeeli Chahay Blood Shed Se Aaee Ho Ya Pur Aman Tareeke Se Lekin Ready Made
Tabdeelay Walay Kabhi Nhi Dekhay Kamyabi K Assar Tu Wasay B Kam Hyn Q K Kabhi B
Paid Worker Inqalab Nhi La Sakte Tabdeeli Hamesha Bookh Lati Hay.
Ye Log Na Tu Bookhay Hyn Na He Iqalabi Baqi Khawahishat Se Koi Inqalab Tu Nhi
Ata.
Doosri Baat Ye B Jis Andaz Se E Container Le Kar Baraat Dakhil Hoi Inki Jagah
Agar Koi Aur Hota Tu Shayad Ya Tu Government In Ko Bhaga Chuki Hoti Ya Phir Koi
Khud Kash Bombar Nazil Ho Chuka Hota .
Phir Ye He Hota K Ek Sif Myn Khara Tha Imran O Molana Doosri Sif Myn Khara Hota
Khud Kash Bombar Na Azadi Rahti Na Inqalab.
Aham Baat Ye B K Ye Baraat Nikli Thee Nizam Ki Tabdeeli Ka Naara Laga Kar Lekin
Islamabad Aa Ker In Ka Poora Zor Chahray Ki Tabdeeli Pe Q?