Jin Sahibaan Kay Qissay

(farah ejaz, dearborn,mi USA)

Assalam O Alaikum Everyone ......
Well Hum Nay Socha Kay Chalain Aap Sub Ko Thora Chill Or Thora Mukuranay Per Mujboor Kiya Jai...To Lay Aiy Apna Aik Favourite Toppic.....Jin.....Fuzool Goyee May Waqth Berbaad Nahin Keringay ...Is Liyai Shuroo Kertay Hain I Mean Qissa Sunatay Hain .....Ahum :Rolleyes:.....Hum Jis Makan May Rehtay Thay....Us Ka Aik Kamra Haunted Tha.....Aik Subha Hummari Massi Ji Nay Complain Ki Kay Baji....Is Kamray Ka Derwaza Nahin Khul Raha.....Hum Akartay Huay Khud Ko Supper Woman Tassawur Kertay Huay ....Un Kay Saath Us Kamray Ki Taraf Holiyai Daikha To Waqayee Thora Sa Khula Hua Tha....Zara Bigar Ker Bolay... Array Khula Hua To Hay Tum Bhi Na Kamal Kerti Ho(Us Waqth Yai Nahin Pata Tha Kay Jinnath Huzraath Is Kamray Kay Makeen Bun Chukay Hain)......Kholnay Ki Koshish Ki To Saaf Mehsoos Horaha Tha Kay Andar Say Derwaza Bundh Kernay Ki Koyee Koshish Ker Raha Hay...Issi Kheencha Tani May Akhir Kaar Jinnath Give Up Ker Gai Or Hum Nay Aik Jhutkay Say Derwaza Khol Diya...But Us Waqth Ahsaas Nahin Hua Kay Asal Wajha Kiya Hui Thi...Kiyun Kay Na To Kamray May Koyee Aisi Cheez Ya Carpet Waghaira Tha Kay Us May Phuns Ker Derwaza Khul Nahin Raha Tha....Or Kamra Thora Adh Khula Bhi Tha:Cautious: Well Hum Us Waqth To Na Sumjhay Baad May Sumujh May Aya Jub Deegar Waqiyaath Zahoor Pazeer Honay Lagay.......:P

.2 Janab Jaisa Kay Bata Chukay Hain.....Kay Humaray Ghar May Jinnath Sahiban Ki Tashreef Avari Hochuki Thi...Or Anjanay May Hi Sahi Hummara Un Say Incounter Bhi Ho Chuka Tha...Lehaza Ab Unhain Bhi Chulbul Shuroo Hogayee...Hum Kissi Zamanaymay Mosiqin Kay Rassiya Thay .....Aik Terha KI ADDICTION THI HUM KO....JUB BHI MOQA MILTA....HEAD PHONE KAAN SAY LAGAI Ganay Sun Rahay Hotay....Us Din Bhi Gulshan-E-Iqbal Mayas Usual Light Gayee Hui Thi......Raath Kay Taqreeban Sarhay No Buj Rahay Thay Hulkisi Thund Kay Bawajood Kirkiyan Khuli Rakhi Thin....Hum Or Humari Behan Ghulti Say Karachi May Paida Hogayeen Thin Hummay To Alaska May Paida Hona Chayai Tha...Khair ...Hummari Behna Apni Friend Say Phone Per Baton May Musroof Thi...Or Hum Bed Per Laitay Huay English Music Sunnay May Masroof Thay.....Hummay To Qabar Na Hui Lakin Jub Behan Taizi Say Phone Hold Per Rukh Ker Hummari Taraf Ayee Or Hummay Pukara To Hum Head Phone Kano Say Hutta Ker Ussay Daikhnay Lagay.....Farah Baji Daikhiyai Yai Kiya Hua....Hum Bed Say Uth Baithay....Daikha To Dressing Table Per Say Sari Cheezain Neechay Girri Huin Thin....Perfumes Ki Heavy Bottles Tuk.......Or Mazay Ki Baath Yai Thi Kay Hawa Ka Namo Nishan Nahin Tha.......Hummari Behan Thora Der Gayeen ......Or Hum Dheet Khatoon Kuch Bhi Nahin Hota Boltay Huay Us Kay Saath Sub Neechay Girri Huyee Cheezain Utha Ker Dressing Table Per Rukhnay Lagay........To Wo Bhi Humaray Dheet Pan Per Hummay Daad Dayti Huyee Cheezain Uthanay Lagi.....Array May Nay Ussay Hold Kerwaya Hua Hay ........Zara Ussay Baath Kerloon.....Wo Yai Kehti Hui ....Phon Ki Janib Barhi.....Kaan Say Lagaya Or Thori Hi Dair May Phone Band Kerdiya...Mujhay Yaad Hay Us Waqt......Us Kay Cheray Per Khof Say Paseena Agaya Tha Halankay Wo December Ki Raton May Say Aik Raath Thi...Hummaray Poochnay Per Boli Kay Dosth Ko Jissay Hold Kerwaya Tha...Jub Phone Dobara Uthaya To Dosth Boli Abhi Jub Tum Phone Per Nahin Thin To Hello Kis Nay Kaha Tha...Meri Behan Sahiba Boleen Pone To Kissi Nay Bhi Nahin Uthaya.....Farah Baji Or Mera Illawa Koyee Kamray May Nahin Hay...To Dosth Bhi Dar Gayee....Or Boli Faryal Mujhay Der Lug Raha Hay.....May Baad May Tum Say Baath Keroongi....Yai Keh Ker Phone Bund Kerdiya.......Khair Hum Nay Behan Ko Tasali Di Or Aitulkursi Parhnay Ko Kaha.....Baad May Doosray Din Wo Humsay Kal Kay Hadsay Ki Babad Bata Rahi Thi Kay Us Nay Khud Cheezon Ko Neechay Girtay Huay Daikha Tha...Jaisay Kissi Nay Haath Barha Ker Sub Cheezain Giradin Hon Aik Hi Waqth May......Hum Ussay Kiya Jawab Daitay Siwai Tasalli Kay.......Well Yai Doosra Qissa Hay...........

3 Janab Yai Teesra Qissa Hay Jo May Yahan Share Karoongi Aap Sub Say......Yai Waqiya Meri Ammi Ji Kay Saath Paish Aya Tha....Ammi Apni Aik Dosth Kay Saath Arahi Thin Wapis Ghar....Unki Dosth Unko Saath Laiker Larkiyan Daikhnay Gayee Thin.....Aunty Khud Drive Kerrahin Thin....Ammi Saath Front Seat Per Baithi Huyee Thin.....Mama Us Zamanay May Marriage Beauro Ka Kaam Kertin Thin...Khair Larkiyan Daikh Ker Wo Dono Wapis Arahi Thin ...Aunty Ko Mama Ko Drop Ker Kay Apnay Ghar Jana Tha ...Raath Kay Taqreeban Sarhay Dus Buj Rahay Thay.......Achanak Mochi More Per Aunty Nay Gari Rok Li Itefaaq Say Traffic Na Honay Kay Baraber Tha....Or Ammi Say Kup Kupati Huyee Awaaz May Poochnay Lagin...Mrs Ejaz Kiya Aap Bhi Wohi Daikh Rahin Hain Jo May Daikh Rahi Hun.....Mama Nay Jawab May Kupkupati Awaaz May Kaha Ji Haan ......Dono Khawateen Ki Halath Us Waqth Ghair Hogayee Thi........Kiyun Kay Samnay Gari Kay Aik Aurath Aker Khari Hogayee Thi....Jis Ki Shakal....Kuch Ajeeb Si Thi.......Chera Bohoth Chota Tha Jissamath Kay Lehaaz Say ...Magar Ankhain Bohoth Bari Bari Thin.....Chund Second Ki Kahani Thi...Or Juld Hi Wajood Hawa May Theleel Hogaya Yani Ghaib Hogayee............Ammi Ghar Akar......Freezer Say Yuq Pani Ki Bottle Nikaal Kar Aik Saans May Pi Gayeen Thin.....Baba(Abboo) Or Hummaray Poochnay Per Phir Yai Waqiya Sunnaya Tha...Lakin Phir Jub Bhi Kabhi Hum Tazkira Kertay Us Waqiyah Ka To Mana Kerdaitin Thin.....Wo Aaj Bhi Us Waqiyah Kay Baray May Baath Kerna Pasand Nahin Kerteen..Khair It Was Quite A Scarry Situation U Know Guyz...Wo Bhi Khawateen Kay Saath Aisay Hadsaath Hona...Well Her Koyee Hummari Terha Dheet Nahin Hoteen Hain......Beharhaal That Is The Third True Story I Shared With You Guyz ..

farah ejaz
About the Author: farah ejaz Read More Articles by farah ejaz: 146 Articles with 230487 views My name is Farah Ejaz. I love to read and write novels and articles. Basically, I am from Karachi, but I live in the United States. .. View More