Dakoo Bhai Logon Kay Naam
(farah ejaz, dearborn,mi USA)
Assalam O Alaikum Guyz
Ji Haan Unwaan Say Hi Aap Logon Ko Yai Thread Ajeeb Lagay Ga...Lakin Kiya Karain
Hathon May Aik Waqiyai Ki Wajha Say Khujli Shuroo Hogayee To Mujbooran Ain Adath
Behan Ji Kay Mutabiq Is Topic Per Likhnay Baith Gai......Aaj Zara Hut Ker Topic
Lai Hain Na Jin Bhai Jano Kay Baray May Baath Karingay Or Na Humwatno Per
Criticize Karingay............Aaj Sirf Dakoo Sahibaan Per Baath Hogi...Han To
Janab Yai Dakoo Bhai Logon Kay Liyai Aik Khula Paighaam Hay Kay Bhai Aap Log
Daakay Daltay Huay Or Logon Ko Martay Huay Thuktay Kiyun Nahin....Pakistan May
To Kaafi Dehshath Phailayee Huyee Hay...Log Jinnath Say Nahin Dertay Na
Churailon Ka Khof Hota Hay....Lufz Dakoo Per Hi Bunday Ko Heart Attack Ana
Shuroo Hojata Hay....Meray Qayal May Jinaath Bhi Dakoo Bhai Logon Say Konso Door
Bhagatay Hungay(Lutnay Ka Dar Jo Hay)......Ajeeb Si Laal Laal Ankhain Jaisay
Kisis Ka Khoon Pee Ker Arahay Hon....Ooper Say Gundy Zaban.....Allah Maaf Karay.....Becharay
Pakistaniyon Per Her Taraf Say Hi Maar Parh Rahi Hay.....Mehngayee Ka Jin Ho Ya
Ghair Zaroori Tugri Utility Bills......Ooper Say Bijli Ki Ankh Macholi.....Phir
Hummaray Bhutta Khoron Or Dakoo Vbhai Logon Ka Khof.......Waisay Bhutta Khoron
Ki Bhi Ajeeb Kahani Hay.....Her Siyaasi Party Ki Zaroorath Hotay Hain Yai Log
Bhutta Do Werna Sangeen Nataij Ki Dhumkiyaan...Jis Per Forun Amal Bhi Hojata
Hay.......Partiyan Purzore Tareeqay Say Cheekh Pukaar Kerteen Hain....Or Der
Parda Sara Maal In Siyaasi Parties Kay Paas Hi Pohonch Jata Hay....Janab Sub
Khush...F I R Durj Karanay Jao Kahin Daka Paray To Ziyadater To Durj Hi Nahin
Hoti....Aik Mazay Ka Qissa Hay ...Kissi Kay Ghar Daka Para....Jub Dakoo Chalay
Gai To Jin Kay Ghar Daka Para Wo Sahib Police Station Pohonch Gai.....Jaisay Hi
Andar Daqil Huay...Foran Ultay Qadmon Bahir Nikal Ai.....Kiyun Kay Jo Sahib FIR
Likh Rahay Thay Wo Un Dakoon May Say Aik Thay.....Ab Police Or Dakoo Bhai Log
Aik Hogai Hain To Bechari Awaam Kahan Jai Gi.....Che...To Janab Dakoo Sahibaan
Kabhi Yai Bhi Socha Hay Kay Aap Kay Ghar May Daka Parh Jai To Kiya Mehsoosaath
Hungay Aap Logon Kay...Khawateen Say Batameezi Kerna Unhay Hiransa Kernay Ki
Kiya Zaroorath Hay....Dakay Shoq Say Daliyai Lakin Khawateen Ko To Buqsh Di
Jiyai Aap Kay Ghar May Bhi To Maa Behnay Hungi Na...Sochiyai Koyee Unki Taraf
Burayee Say Daikhay To Aap Ka Khoon Khol Jata Hoga Na ......Waisay Aisay
Waqiyaath Sun Ker Hummara Bhi Khoon Khol Jata Hay.....Ji Chata Hay Aap Logon Ki
Wo Dhulayee Karain Kay Aap Ko Poori Dakoo Baradari Ki Naniyan Yaad Ajain.....Lakin
Baaz Khwahishain Aisi Jo Andar Hi Ghut Ker Rah Jatin Hain.....So Yai Bhi Unhi
Khwahishon May Say Aik Khwahish Hay....Mantay Hain Bandooq Kay Agay Har Kissi Ki
Bolti Bund Hojati Hay To Hum To Aik Kumzor Muqmani Si Khatoon Hain.....Baherhaal
Allah Aap Logon Ko Hidayath Day....Werna Jaan Lijiyai Kay......Authantic Hadeeth
Kay Mutabiq Agar Issi May Moth Agayee To Aap Logon Ka Thikana Jahanum Hay.......Wahan
Jahanum Darogha Ko Apnay Qissay Sunayai Ga.....Shaid Shoq Say Sun Lay.....Agay
Kuch Likhnay Ki Himmath Ab Khatum Hogayee Hay Is Liyai Aap Logon Say Hummara
Allah Hi Hafiz Hay...