Hummaray Andar Yai Bechaini Kiyun Hay
(farah ejaz, dearborn, mi USA)
                Assalam-O-Alaikum 
Kehnay Ko Bohoth Kuch Hay Lakin Aaj Sirf Aik Baath Hummay Bohoth Dinon Say 
Pareshaan Kar Rahi Thi...Issi Forum Per Aik Bhai Ka Article Parhnay Ko Maila 
Unwaan Tha....Aik Pakistani Ki Zindagi Kiya Hay...Unhay Bhi Wohi Confussion Thi 
Jo Hummay Hay Lakin Unkay Article Ko Parh Ker Tashaffi Nahin Huyee.....Bulkay Or 
Confussion Barh Gayee......Phir Allah Subhana Wa Taallah Nay Hummary Madad Ki Or 
Hummay Is Ka Jawaab Bhi Mil Gaya....Janab Hum Perdais May Rehtay Hain.......Or 
Jahan Rehtay Hain Wahan Arab Community Ziyada Hay......Hum Nay Un May Bhi Wo 
Bechainy Daikhy Jo Aik Aam Pakistani Mehsoos Kerta Hay...Tub Hummari Samujh May 
Aik Baath Ayee Kay Yai Sirf Aik Pakistani Ka Masla Nahin Hay Yai Pooray Muslim 
Ummah Ka Masla Hay....Syria Ho Ya Yamun India Ho Ya Pakistan Her Jagah Her 
Illaqay Kay Muslims Issi Confussion May Mubtillah Hain......Or Aik Terha Ki 
Ahsasay Mehroomi Ka Shikaar Hain...Jo Unhain Islam Say Door Lay Jarahi 
Hay........Or Young Generation Mughrabi Terz-E-Zindagi Apna Rahi Hay.....Islam 
Say Doori Or Tauheed May Shirk Ki Ameezish Hummaray Dilon Say Sukoon Iman Ki 
Hararath Or Aik Suchay Musalman Kay Ausaaf Hummaray Andar Say Mit Tay Jarahay 
Hain.....Yaad Rakhiyai Agar Hum Namaz Say Ghuflath Bertingay Ghana Or Deegar 
Gunahon May Mulawis Rahingay To Hum Islami Iqtedaar Say Door Allah Ki Rehmath 
Say Door....Issi Frustration Ka Hamesha Shikaar Rahingay....Yai Sirf Pakistani 
Mulim Ka Masla Nahin Hay Yai Poori Ummah Ka Masla Hay.......
Itmenaan Jata Raha 
Qulb Ka Kharaar Bhi Gaya 
Imaan Ki Harath Paida Ho Kaisay.
.Jub May Musalman Ho Kay Bhi 
Musalman Na Raha
Think Of That What Kind Of Muslims We Are Now