Hasad or Jalan...
(Anum Laique Ahmed, karachi)
"Yar Mujhe Aisa Jora Kyun Nahi
Mila..?Kash Saima Se Pahle Main Ye Jora Le Ati To Aj Main B Itni Pur Kashish
Lagti..Aj Mehfil May Mujhse Ziada Usay Sb Ghoor Ghoor K Dekhre Thay...Mere To
Tan Badan May Aag Lag Gai Uska Jora Dekh Kar...." Areeba Apni Behn Se Party Ka
Tazkara Kafi Jalay Katay Andaz May Bayan Kr Rhi Thi...
Kash...! Mere Pas B Yeh Car Hoti..Kash Mere Pas B Ye Ghar Hota...Kash Meri
Shaksiyat B Itni He Pur Israr Hoti Jese Uski Thi...Yahan Tak K....Kash Meri Biwi
B Aysi Hoti....?????Aysi Beshumar Baaten Apne Apne Ird Gird K Mahol May Zarur
Suni He Hongi...Is Hasad Jalan Ka Shikar Mardon Se Ziada Aurtain Hain..Jo K
Mamuli Baaton Par B Dusron Se Hasad Krti Hain Or Unse Behtar Dikhne K Chah May
Kafi Ulti Seedi Harkaten Kar Bethti Hain....
Or Aisi Harkaten Unhe Agay Zindagi May Kafi Nakam Bana Deti Hain..Kuch Log Ehsas
E Kamtari Ka Shikar Hojate Hain Or Kuch Log Deegar Nafsiyati Beemariyon Ka
Shikar Hojate Hain..Jese Bilawjah Ghussa...Larai Jhagre...Har Waqt Jalay Tapay
Rehna...Bat Karo To Lagta Hai K Kaat Khaynge...Muskuray Hue Jese Arsa Hogya
Ho..Ye Sarasar Khud Par He Nahi Balke Dusron Par B Zulm Hai.Apke Ird Gird K
Logon Pe Zulm Hai .Or Sab Se Barh K.Apke Shareek E Hayat Par Zulm Hai....
Agar Hum May Se Koi Aisi Kefiyat Ka Shikar Hai..Or Is Fuzul C Cheez Se Nijaat
Hasil Karna Chahta Hai..To Wo Behad Asani Se Is Is Fuzul K Hasad Jalan Se
Chutkara Paa Sakta Hai..Zindagi Apko Bar Bar Moqa Deti Hai ..Apni Zindagi Ko
Khush Haal Bananay Ka...
"SABR" Or "SHUKAR" Ye Do Cheezen Bs....
Agar Ap Apni Zindagi May Bs Ye Do Cheezon Ko Shamil Karlen..To 100% Ap Ki
Zindagi Boht Badal Jaygi...Ap Se Log B Mutaassir Honge Or Apka Iqlaq B Qadre
Behtar Hojayga Or Apki Zindagi Itni Khubsurat Or Pur Sukoon Hojaygi Jesa Apne
Kabi Tasawwur B Nahi Kiya Hoga..
Jo Allah Ne Apko Ataa Kardiya Uspe Behad Shukar Adaa Kijye Usi May Khush Rehne
Ki Koshish Kijye Or Jo Apke Naseeb May Nahi Hai Uske Peeche Nahi Bhagiye Sabr
Kijiye ..Kyun K Jo Apka Nahi Hai Wo Koshishon K Bad B Nahi Milega Or Jo Apka Hai?
Wo Hazar Rukawaton K Baad B Aap Tak Zarur Phonchega.... Jo Dusron K Pas Hai Wo
Apke Pas Nahi Hosakta ...Or Jo Apke Pas Hai Wo Dusron Ka Nahi Hosakta...
Is Bat Ko Dil Se Tasleem Kijiye ..Hasiye Khush Rahiye Muskuraiye Or Din May Ek
Bar..Sirf Ek Baar Kisi Ko Khush Karne Ki Koshish Zarur Kijiye...Ap Ki Hasi Apki
Khushi Apke Aas Pas K Logon K Liye Waqai Ehmiat Ki Hamil Hai...