Riyasat Apna Nazam-E-Hakumat
Chalanay Aur Apni Afradi Qovat Ki Esta'ad-E-Kar Main Mukhtalif Hawaloun Aur
Tariqoun Say Azafay, Onhain Ba'hunar Karnay, Shaour-O-Aaghi Say Behra'mand
Karnay, Moashi Siyasi Aur Samaji Insaf Mayassar Karnay, Oon Ki Zindagi Ko Aasan
Aur Aasuda Bananay Aur Onhain Sehat'mand Rakhnay Kay Liay Mukhtalif Qisam Kay
Aeni Tariqa Say Tax Nafaz Karti Hai. Riyasat Shakhas Ki Haisiat Waghera Ko Bhi
Is Zimun Main Malhouz-E-Khatar Rakhti Hai. La'yaeni Aur Gher'mota'alaq Tax Aed
Nahain Karti. Ta'kah Baichaini Parishani Aur Haisiat Ki Kamzori Waqo Main Na
Aa'ay. Jaez Aur Monasab Hasal Kiay Ga'ay Tax Say Riyasat Aeni Tariqa Say Riyasti
Adaroun Ko Mazbout Karti Hai Ta'kah Wo Behtar Andaz Say Riyast Kay Logoun Ki
Khidmat Anjam Day Sakain.
Jis Riyasat Main Moamla Is Kay Bar'akas Ho Jata Hai Wahan Kharabi Kay
Bai'shumaar Rastay Khul Jatay Hain. Maslan:
A. 1. Logoun Ka Maal Jo Tax Kay Zariay Say Hasal Kiya Giya Hota Hai, Houses Ki
Tazein-O-Araesh Par Kharch Honay Lagta Hai.
2. Houses Ka Kichan Zarorat Say Ziyada Farakh Ho Jata Hai.
3. Houses Kay Logoun Kay Paiat Bhi Qabal-E-Mazamat Haad Tak Bhar Jatay Hain. Is
Tara Is Maqolay Ko Amli Shakl Mil Jati Hai:
"Kama'ay Gi Donyaan Khaein Gay Hum"
B. La'yaeni Doroun Par Bai'daraigh Ropay Lota'ay Jatay Hain Aur Os Ka Return
Qoum Ko Sefar Ki Surat Main Milta Hai Yahhi Nahain Qoum Maqrouz Hoti
Chali Jati Hai. Haan Albata In Nam'nihad Mofad'parast Aur Khud'gharaz
Ameeraan-E-Waqt Kay Saiar Sapatay Zaroor Ho Jatay Hain.
C. Houses Ki Haisiat Logoun Kay Liay Alamti Bai'maeni Gher'mowassar Aur Bai'kar
Ho Kar Reh Jati Hai. Logoun Ko Wahaan Say Kuch Hasal Nahain Ho Pata.
D. Adaray Khadam Nahain, Makhdoon Ho Jatay Hain Aur Wo Siraf Aur Siraf In Houses
Kay Liay Kaam Kartay Hain. Logoun Ko Wahan Say Dhakay
Dabao Daraway, Dhamkiaan Aur Jirkiaan Milti Hain.
E. Rishvat Ki Taraf Janay Walay Rastay Farakh Ho Jatay Hain. Log Jis Rastay Par
Bhi Chaltay Hain Os Ka Ikhtatam Rishvat Kay Darwazay Par Hota Hai.
F. Bai'tahasha Tax Ki Vasoli Kay Ba'vajoud Pori Nahain Parti Lihaza Baroni Qaraz
Main Nijaat Samjhi Jati Hai. Is Tara Dosroun Kay Samnay Sharmindgi Othana Parti
Hai Halakah Daman Kay Motabaq Khud Riyasat Kay Andar Bohat Kuch Mojood Hota Aur
Rehta Hai.
G. Jab Houses Kay Log Jinhain Misali Samjha Jana Chahiay, Ghalt Ho Jatay Hain To
Khud Logoun Kay Ghalt Honay Main Dair Nahain Lagti.
H. Fard Zaat Kay Khoul Say Nahain Nikal Pata Aur Her Tariqa Say Apnay Faeday Kay
Liay Tag-O-Dou Karta Hai Chahay Es Say Kisi Aur Ka Ya Riyasat Ka Kitna Hi Noqsan
Kayoon Na Ho.
I. Insaaf Mazaq Aur Bakaou Maal Ho Kar Reh Jata Hai.
J. Aaghi Kay Rastoun Par Kharch Honay Wali Raqam Ko Fazoul Samjha Janay Lagta
Hai. Aaghi Say Motalaq Adaray Tamatar Aur Aalu Ki Si Haisiat Ikhtayar Kar Laitay
Hain Aur Onhain Maal'dhar Logoun Kay Hath Main Day Diya Jata Hai. Es Tara:
1- In Adaroon Ka Miyaar Gir Jata Hai.
2- Menhgay Aur Aam Admi Ki Ponch Say Dour Ho Jay Hain. Natija-E-Kar:
A. Oon Tak Aam Logoun Ki Mali Hawala Say Rasae Dam Tour Daiti.
B. Bipari Aur Taleem Say Gher Motalaq Balkah Kitab'dushmun Aaghi Kay Bai'taj
Badshah Ban Jatay Hain.
C. Whaan Say Milnay Wali Aaghi, Aaghi Kay Naam Par Ghalazat Ki Tikka Hoti Hai.
D. Qarz Farahum Karnay Wali Qovatoun Kay Talimi Adaroun Ko Miyari Aur
Boland'paya Samjha Janay Lagta Hai Aur Oon Kay Qadmoun Par Chalnay Ki
Koshesh Ki Jati Hai Halan'kah Wo Oon Kay Kalchar Kay Motabaq Bana'ay Gay Hotay
Hain. Oon Ka Nisaab Bhi Oon Kay Mazaj Halaat Aur Zarorat Kay Motabaq
Takeeb-O-Tasheel Kiya Giya Hota Hai.
E. Auroun Kay Dabao Main Aa Kar Riyasti Zaroratoun Asoloun Aur Nazriyati Chizoun
Ko Hazaf Kar Diya Jata Hai.
F. Qaraz'dahinda Qovat Ki Zoban Ko Bala'tar Balkah Khalaee Saefah Samjha Jata
Hai Aur Ossi Main, Ossi Kay Zair-E-Asar Aur Ossi Qoum Kay Mafadaat Kay Hawala
Say Taleem Di Janay Lagti Hai.
K. Her Lamha Baiyaqini Kay Tanour Main Jalta Aur Sulgata Rehta Hai.
L. "Chour Ochakay Chudri Aur Ghundi Run Pardhan" Ban Jati Hai.
M. Gher'aeni Taxes Ki Bhar'maar Ho Jati Hai.
N. Foj Ko Apnay Mokhalif Logoun/Fariqoun Ya Qaraz'dahinda Kay Mokhalif
Logoun/Fariqoun Kay Liay Istamal Kya Jata Hai.
Yah To Seraf Chand Eak Batain Thein Jin Ka Mein Nay Opar Zimnun Zikr Kya
Hai.Bai'shumaar Mokhtalif Noeat Ki Qorbaniaan Day Kar Hasal Kiya Giya Pakistan
In Qabahtoon Ka Shakar Ho Giya Hai. Log Sochnay Par Majboor Ho Gay Hain Kah Agar
Yahhi Surat-E-Haal Aur Chalan Rehna Tha To Issay Hasal Karnay Ki Aakhir Kya
Zarorat Thi.
Aaj Bharat Main Pakistan Say Ziyada Mosalman Aabad Hain Aur Apnay Apnay Zouq,
Zarorat, Hunar Aur Halaat Kay Motabaq Zindgi Kar Rahay Hay. Apna Damun Bachanay
Kay Liay Manfi Asraat Khamoun Ka Kabhi Kabhi Rola Dala Jata Hai Kah Ji Woh Mar
Gay Khap Ga'ay Halan'kah Aisi Koee Baat Hoti Hi Nahain Hoti Aur Nahi Wahan Ki
Foj Apnoun Par Goliaan Barsa Rahi Hoti Hai. Nahi Pols Chitatar Maar Rahi Hoti
Hai Ya Pols Moqblay Main Mokhalfoun Ko Mara Ja Raha Hota Hai.
Hamaray Haan Maghrab Ki Tara Kay 16 Sala BA/Bss Ka Rola Dala Ja Raha Hai Jab'kah
Hamara Pehlay Hi 17 Sala BA Hota Hai. Pehli Tak Aatay Aatay 3 Saal Laga Diay
Jatay Hain. Is Tara Ibtada Mazbout Karnay Ki Koshesh Ki Jati Hai.Pehli Tak Aatay
Aatay Jo 3 Saal Lag Jatay Hain Kya Wo Instarakshan (Instruction) Ka Amal/Hissa
Nahain Hain???!!!
Kya Yah Yahaan Kay Taleem'yafta Yang Shehri Say Amli Zindgi Kay 2 Saal Chein
Lainay Ki Danista Sazesh Nahain?!
Shaed Yah Sazesh Is Liay Ki Ja Rahi Hai Kah 17 Saal Parh Kar Taleem'yafta Yang
Shehri Nokri Mangay Ga Lihaza Ossay Mazeed 2 Saal Kay Liay Instarakshan Kay Amal
Main Olja Dou.
Jab Yahaan Adaray Mazbout Houn Gay Kaam Karnay Kay Midan Khulay Aur Wasi Houn
Gay To Phir Kisi Ko Bahar Ja Kar Goroun Kay Kotoun Ko Nihlay Ki Bhala Kya
Zarorat Ho Gi. Yah Bilkul Ghalt Aur Bai'bonyad Baat Hai Kah Maghrab Kay Log
Yahaan Kay Logoun Say Bhar'kar Hain. Hamaray Log:
1. Maghrab Waloun Say Kahein Ziyada Zahein-O-Fatein Hain. Mairi Is Baat Ka Wazay
Aur Zinda Sabout Yah Kah Koee Bhi Faran Made Cheez Aati Hai To Os Ki
Eak Nahain Kaee Naqoul Market Main Aa Jati Hain Aur Baz Asal Say Bhi Kar'gozari
Main Behtar Aur Bhar'kar Hoti Hain. In Naqoul Kay Tiyar Karnay Walay
Shakago University Return Nahain Hotay Baz To Sakool Bhi Nahain Gay Hotay Onhoun
Nay Edher Odher Say Kuch Na'kuch Sikh Liya Hota Hai.
2. Sabar Aur Bardast Ki Ziyada Qovat Rakhtay Hain.
3. Bai'haad Mehnati Hain.
4. Ziyada Waqt Kaam Kar Saktay Hain Aur Kartay Hain.
5. Kaam Ko Ziyada Waqt Day Saktay Hain Aur Bohat Kam Moavzay Main Daitay Bhi
Hain.
6. Hamaray Haan Aksiriat Aisay Logoun Ki Hai Jo Kabhi Ba'qaeda Instarakshan Kay
Amal Say Gozray Hi Nahain Hotay Likin Kaam Ala Parhay Likhay Logoun Say
Bhar'kar, Kar Jatay Hain. Zara Balal Ganj Kay Kisi Un'parh Kharadiay Say Mil Kar
To Daikhain Aur Ossay Wo Kaam Soomp Dain Jo Maghrab Kay Kisi Professor/Saens'dan
Nay Kiya Hota Hai. Wo Kahein Behtar Aur Kahein Paedar Kar Day Ga. Mein Apni Is
Baat Ki Sanad Kay Liay "Naam'dav"* Aur Ayub Abbasi"** Ko Hawala Bananay Main
Koee Aar Nahain Samjhta.
7. Hamari Jawan Parhi Likhi Nasal Bari La'jawab Aur Mehnati Hai. Wo Behtar Aur
Kam'waqt Main Acha Aur Pae'dar Kaam Karnay Ki Ehliat Rakhti Hai. Baad'qismati
Say Ossay Mowaqay Hasal Nahain Ho Patat.
Khuda Kay Liay:
* Is Qoum Par Reham Karain Aur Is Kay Wasael Aiyashi Aur Baad'mashi Main Na
Oraein.
** Jawanoun Say Kaam Aur Amli Zindgi Kay 2 Saal Na Chinay Jaein.
*** Taleem Ko Biparioun Kay Hath Na Baichain.
**** Adaroon Ko Awaam Ka Khadam Banaya Ja'ay Aur Onhain Awaam Kay Liay Kaam
Karnay Par Majbour Kiya Ja'ay.
***** Oudhaar Ki Dokandari Band Karain.
Bawar Rahay Takht, Taj Aur Waqt Kisi Ke Sagay Nahain. Waqt Kay Liay Opar Say
Nichay Aur Nichay Say Opar Lana Aur Lay Jana Mushkal Ya Na'mukin Nahain. Pehloun
Kay Hashr Say Ibrat Lain Warna Allah Ki Lathi Bai'aawaz Hai Aur Os Kay Ghar Dair
Hai Andhair Nahain. Mein In Satour Kay Zariay Ba'ekhtayar Tabqoun Ko Chitavni
Daita Houn Kah Oon Ka Hashr Bohat Hi Bora Ho Ga Yahhi Nahain Wo Kal Ko Allah Kay
Hazour Koun'sa Monh Lay Kar Jaein Gay?!