Pakistan ki Badqismati
(hassam ud din, Islamabad)
Pakistan 14 August 1947 Ko
Dunia Kay Naqshay Aik Azeem Muslim Mumleqat Kay Tour Par Namodar
Huwa.Quaid-E-Azam Muhammad Ali Jinnah Ki Walwala Angeez Qiyadat May Allah Nay
Musalmano Ko Aik Watan Ata Kia.Bani-E-Pakistan Ka Khwab Ta Kay Is Watan Ko Azeem
Say Azeem Tar Banana Hay,Lekin Pata Nahi Pir Kia Huwa.Mafad Parast Tola Is Pak
Watan Par Mussalat Huwa Our Aj Tak Sahi Mano May Hamay Azadi Naseeb Na Hui.200
Khanadan Hamesha Sia O Sufaid Kay Malik Banay Our Watne-E-Aziz Ko Itna Zakhmi
Kia K Aj Puray Mulk May Khun Ki Nadya Beh Rahi Hay.Ghareeb Khud Kushia Kar Rahay
Hay,Nojawanan Berozgari Say Tang Hay,Battha,Aghwa Baraiye Tawan,Target
Killing,Dehshat Gardi Nay Mulk Ko Chakna Chur Kar Diya Hay.
Lekin Mayusi Guna Hay,Inshallah Bad Amni Kay Badil Jaldi Chutnay Walay Hay,Our
Mulk Aman Ka Gehwara Ban Nay Wala Hay.Army Our Rangers Operation Kar Rahi Hay
Our Dehshat Gardon Our Jaraim Pesha Afrad Par Zameen Tang Ka Di Gai Hay.
Khas Kar Karachi May Aman Ki Fazza Qaim Horahi Hay Our Wo Din Door Nahi Jab
Watne-Aziz Aik Kehlta,Pholta Our Muskurata Huwa Mulk Ban Jaiga.
Long Live My Dear Pakistan.