(Hassan Raza, Lahore)
Hey! Everyone I'm Hassan It's My First Article I Hope Ap Logon Ko Pasand Aye Well Now I Have To Go On My Point.. Well As A Pakistani Ap Ko Haq Hai Ke Ap Khud Ka Point Of View Share Karen Aise Hi Me Bhi Share Kar Raha Hoon.. Me Kabhi Kabar Sochta Hoon Ke Har Politics Selfish Hota Hai Apne Faidey Ke Liay Kuch Bhi Kar Sakta Hai... Actually Politics To Hamare Mulk Me Ho Hi Nh Rahi Hai Hamare Mulk Me Ho Rahi Hain To 3 Cheezain Hoti Hain Bas 1: Corruption 2: Criticism 3: Competition Bas Isi Cheez Me Hamare Uper Se Le Kar Neeche Tak Har Koi Laga Hai Or Is Me Nuqsan Ho Raha Hai To Bechari Awam Ka Ham Log Chakki Ki Tarah Piss Rahe Hain Is Society Me Dil Me Bas Aik Hi Sawal Rehta Hai Shaid Jo Ke Bht Commonly Har Aik Pakistani Ke Dil Me Hai Ke Kon Ayega Jo Is Corruption Se Bhary Culture Ko Change Kare Ga. . . Kehne Ko To Hamari Country Ko Azaad Hue 68 Years Ho Chuke Hain Per Aj Bhi Azadi Sirf Or Sirf Politics Ko Hi Mili Hai Ham Aj Bhi Gulami Kar Rahe Hain Aj Se 68 Years Pehle Angrezo Ki Or Aj Is Corrupt System Ki Bht Afsos Hota Hai Ke Ham 21'st Century Ke Log Hain Jahan Per Aik Dusri Countries Cars Ko Airs Flying Banane K Experiments Me Lage Hain Or Dusri Taraf Hamara Mulk Jahan Per Hawa Me Urhti To Zaroor Hain Per Unfortunately .. (Baatien) .. Yahan Per Politics Baat To New Pakistan Banane Ki Karte Hain Per Koi Un Se Yeh Puche Ke Old System Ko Behtar Kon Karega Ap New Pakistan Banane Ki Baat To Kar Rahe Hain Per Old Pakistan Kahan Per Jayega.. Common Sense Ki Baat Hai Ke Yeh Log Just Or Just Awaam Ko Bewakoof Bana Sakte Hain Or Kucch Nahi Actually Ham Khud Hi Apni Is Halat Ke Zimedaar Hain Akhir Ham Hi To Hain Jo Is Cheez Ko Badhawa Dete Hain Un Politics Ke Fazul Jalso, Press Conferences, Etc. Me Unke Naray Laga Kar Unko Confidence Dete Hain Ke Wo Hameh Mazeed Bewakoof Banayen Mazeed Jhoote Promises Karen Wagaira Wagaira Jis Din Ham Is Sab Ka Boycott Kar Denge Ussi Din Ham Sahi Mayino Me Aik Azaad Mulk Ban Jayenge Kaash Wo Din Aa Jaye Jab Hamari Awam Yeh Sochna Chor De Ke Ham Aik Sahi Insan Ke Peeche Ja Rahe Hain Trust Me Aisa Koi Politics Nahi Hai Jo Awaam Ke Liye Sochta Ho Awaam Ka Bhala Karna Chahta Ho Per Phir Bhi Ham Fazul Thinking Ke Malik Log Unko Hi Sahi Mante Hain Wo Jo Bhi Kahen Ham Kehte Hain Sahi Hai Wo Jis Tarah Ki Bhi Language Use Karen Wo Thk Hai Per Kyuuuun... Kya Wo Nauzbillah Koi Farishte Hain Jinhe Sab Muaaf Hai Actually Dosto Yeh Log Ham Se Bhi Ghatiya Thinking Ke Malik Hain Bas Power Paisa Or Rutbay Ke Zor Per Bane Hain Yeh Log Wahi Paisa Jo Ham Zakat, Tax, Bills Wagaira Yeh Sab Dete Hain Yeh Ussi Paise Ki Waja Se Millions And Billions Ke Malik Bane Bethe Hain Kaash Ham Waqt Rehte Samajh Jayen To Shaid Ham Bhi Azaad Ho Sakte Hain Is Soch Se Is Culture Se Is Society Se Is System Se Jab Tak Ham Azaad Nh Ho Sakte Jab Tak Ham Hona Nh Chahte. . . That's All Friends Galti Ki Muaafi If Mera Article Pasand Aye To Mujhe Zaroor Bataiye Ga Thank You Allah Hafiz.