A Love Story or . . . . .

(Paaris Sohail, Faisalabad)

Wo 2 December Ka Din K Jub Sardi Apne Arooj Par Thi. Hawa Mein Hasb-E-Mamool Khanak Thi.
Main Jo Apne Rozmarah K Kaamon Mein Masroof Tha K Achhanak Ghar K Darwaaze Par Aahat Paayi...
Ik Na-Manoos Si Awaaz Mere Kaano Mein Pari Jo Mere Liye Bilkul Nayi Thi.
Main Ne Itna Khaas Dihaan Nahi Diya Aur Apne Kaam Mein Masroof Raha.
Baad Mein Nazar Pari To Ek Khubsoorat 'Jo Hoor-Pari Maloom Hoti Thi' Chehra Meri Nazron K Saamne Aaya.
Magar Main Phir Bhi Apne Kaam Mein Hi Masroof Raha K Main Zara Sa Sharmila Saabit Huwa Tha.
Wo Chehra Hamare Paros Mein Rehne Aaya Tha Magar Mujh Ko Maloom Na Tha.
Khair Kuch Din Beete K Main Us Haseen Chehre Waali 'S T' K Saath Un K Siblings Aur Apne Siblings K Saath Khelne Lag Para.
Phir Ik Din Khelte Khelte Achhanak 'S T' Se 'Jo Meri Team Mein Hi Thi' Foul Ho Gaya Aur Us Waqat Main Un K Qareeb Hi Tha.
Jab Unko Pata Chala K Un Se Foul Ho Gaya Hai To Un Ki Aankhen Mujhe Bohat Kuch Keh Gayin.
Mujhe Feel Hi Nahi Huwa K Kab Wo Aankhen Mujhe Apne Andar Kheench K Le Gayin.
Hosh Aaya To Sab Chilla Rahe The Foul Ho Gaya Hai.
Khair Us Din K Baad Main Un K Saath Meri Feelings Bohat Barh Gayin.
Pata Nahi Kyun Har Waqat Unhi Ka Khiyaal Rehne Laga.
Kuch Din Aur Beete Aur Phir Ik Din Main Ne Khat K Zariye Unko Kafiyat Se Aagaah Kiya.
Kuch Aur Din Intezaar Kiya Magar Unhon Ne Koi Jawab Na Diya, Magar Suna Yeh Gaya K Unhon Ne Khat Nighal Liya Tha Dar Se.
Khair Phir Kuch Dino Tak Main Ne Aur Kuch Aur Khat Bhijwaye.
Phir Wo 28 April Thi Jab Mein Ne Unko Ghar K Number Par Call Kar K Poocha To Unka Jawab Haan Mein Sunn Kar Meri Khushi Ka Koi Thikana Hi Na Raha.
Mere Qadam Zameen Par Nahi Tik Paa Rahe The.
Mujhe Apni Zindagi Ki Sab Se Bari Khushi Naseeb Huyi Thi.
Khair Din Guzarte Gaye Aur Hamari Khat-O-Kitabat Shuru Ho Gayi.
Es Doraan Unki Mama Ko Es Baat Ka Pata Chal Gaya.
Hamare Gharon Mein Kaafi Din Masla Barpa Raha Aur Phir Aahista Aashista Sab Normal Ho Gaya...
Phir Wo Din Aa Gaye Jab Ik Doosre K Dekh K Subha Hoti.
Saara Din Ik Doosre Ki Nazron K Saamne Rehte..
Wo Ramzaan Ki Dhoop Mein Main Jalta Rehta Magar Mujhe Koi Faraq Na Parta K Mehboob Aankhon K Saamne Hota Tha.
Mere Dard, Mere Zakham Un K Ik Lamas Se Bilkul Theek Ho Jaate
K
Jisko Dekh K Bharr Jaayen Sabhi Zakham
Har Shaks Ka Koi Aesa Tabeeb Hota Hai...

Meri Khushiyan, Meri Hassi, Meri Chehre Ki Ronaken... Sabhi Unhi K Dam Se Thin...
Main Job Se Ghar Aata To Bajaae Aaram Karne K
Main Un K Deedar K Liye Pohanch Jaata.
Unhon Ne Poocha Bhi K Thakte Nahi Ho Saara Din Jo Raat Ko Bhi Uppar Chakkar Laga Rahe Hote Ho.
Main Bola K Ap Ki Ik Jhalak Mere Saare Dukh Door Kar Deti Hai, Meri Saari Thakan Utaar Deti Hai.
Kuch Arsa Aur Beeta To Mulaqaten Hone Lagin.
Un K Ghar Waalon Ko Pata Chal Gaya.
Wo Din Gaya Aur Aaj Ka Din Hai K Unhon Ne Kabhi Palat Kar Bhi Nahi Dekha.
Main Jo Aaj Bhi Unhi Ki Raahen Takta Hoon.
Mujhe Koi Wajeh Bhi Nahi Batai, Mujh Se Koi Gila Bhi Nahi Kiya.

Aaj Bhi Main Essi Intezaar Mein Hoon K Kab Wo Lout Aayen Aur Mujhe Bolen K Main Jo Roothi Thi To Mujhko Manaya Kyun Nahi?
Aur Main Saare Gham, Saare Dukh Bhula Kar Unko Gale Laga Loon.

Duniya Se..., Jaahaan Se Bhi Maanga
Qasam Khuda Ki Khuda Se Bhi Maanga..

Now Please Tell Me What Should I Do?
K
Meri Aankhen Gili Ho Ho Kar
Ab Sookh Chuki Hain...

I'll Wait For Your Adviceses...
 

Paaris Sohail
About the Author: Paaris Sohail Read More Articles by Paaris Sohail: 2 Articles with 9064 views Web Developer, Designer, Self Athlete and Poet... View More