Aakhir Kab

(Zaman Farooqi, Karachi)

Hello Salaam To All;

Hamare Mulk Ki Politics Par Khandaani Qabzaa Kab Khatam Ho Ga Aap Yee Daikhay K Har Siyasat Daan Apni Olaado Ko Siyaasat Main Lay Aaiy Hain Jin K Naam Ya Hain K
01-Choudry Parwaiz Ilaahi K Sahab Zaaday Monas Ilaahi
02-Shehbaaz Shreef K Sahab Zaaday Hamza Shehbaz
03-Baynazir K Sahab Zaaday Bilawal Zardaari
04-Murtuza Bhutto K Sahab Zaaday Zulfiqaar Junieor
05-Yousaf Raza Dilaani K Sahab Zaaday Ali Mousa Gilaani
06-Usman Farooqi Sahab Zaadi Sharmila Farooqi

Gharz K Or Bhi Kitnay Naam Hain Aap Ye Baatain K Hamaray Mulk Ko Kia Chand Khaandan Ki Hukmarani Ki Zaroorat Hai Yaha In Logo Ki Planing Ki Waja Say Education Sahi Nahi Taa K Ghareeb Ka Bacha Parh Likh Kar In K Khilaaf Awaaz Buland Na Karay In K Bachay Sahi Say Taleem Hasil Kar K Aatain Hain Waha Ki Politics Parhtain Hain Or Barhain Maahol K Aadi Hain Un Ko Pakistan Ki Politics Ka Kia Pata Ho Ga Jo Ghareeebo K Maasaail Hal Karian Iss Mulk Ko Ghareeb Chala Rahay Hain Agar Jis Din Normal Tabkay K Logo Nay Tex Dainay Say Inkaar Kar Diya Toh In Ki Aqal Tikhaanay Aajain Gi Itna Protocol Kiaa Baat Hai Jab Mout Say Itna Dar Lagta Hain Toh Siyasat Main Kyeun Aaiay Logo Ko Har Tarha Say Azaab Main Rakha Hoaa Hai Kia Ho Ga Itnay Maasaail Hain K Pakistaan Sirf ALLAH K Aasraiy Par Chal Raha Hai

Yaha In Ko Iqtidaar Ki Hawas Hai Apnay Aish-O-Araam Ki Fikar Hai Ye Nahi Daikhtay K Ghareeb K Ghar Roti Bhi Bani Hai Goli Toh Liyaqat Ali Khaan Nay Bhi Khaai Thi Toh Sirf Banazir K Goli Khanay Ki Tehyqiqaat Par Itna Paisa Kyun Barbaad Kar Rahay Hain Jin Logo Nay Mulk Ko Louta Swiss Account Banaay Aaj Wo Log Qoom K Hero Hain Kia Baat Hai Kab Hamaray Hukmaraan Normal Tabqay K Logoka Sochaay Gain Kab Akhir Kab

zaman farooqi
About the Author: zaman farooqi Read More Articles by zaman farooqi: 16 Articles with 24413 views (trough poetry is my passion)

THE POET IS ONE MAN IN THIS WORLD WHEN HE AXPRESS SORROW HIS OWN WRITE THE OWN WRITE SHAPE IS CALLED POETRY. < AF
.. View More