Ratjaga-2

(Khawaja Tahir, Jhang)

Aaj Kal Aik Nai Bahas Nay Janam Lia Hay Keh Dashatgardoon Say Mazakrat Karnay Cahian Ya Naheen Jab Ham Is Nehaj Per Pounch Choockay Hain Keh Aay Roze Hamin Itnay Baygunna Nahatay Masoom Logon KI Lasheen Uthana Parreen Ab Hamaray Hukmaranoon Ko Mazakrat Ki Soojhee Halankeh Is Say Pehlay Sawat Main Mazakrat Howay Laiken Un Ka Kia Nateeja Kia Nikla Siway Apparition Kay Is Ka Koi Hal Naheen Jab Yeh Dashatgard Itni Bay Dardi Say Masoom Or Baygunha Awam Ko Itni Baydardi Say Khoon Main Nehla Rahay Hain To Yeh Log Kissi Bhi Raayat Kay Mustahiq Naheen Balkay In Logoon Ko Aisi Ibratnak Saza Deni Chahiy Keh Kal Koi Bhi Dehshat Gard Aapnay Mazmoom Maqasid Ki Takmeel Kay Liay Yeh Rasta Ikhtiyar Na Kar Sakay Balkay In Dehshat Gardoon Ko Yeh Mehsoos Ho Keh Is Kareh Or Behmana Aqdam Per Poori Qoom Aak Palateform Per Akhtthi Hay.