Har Roz Ki Tarah Aaj Bhi Mein
Bus Stop Par Puhnchi To Wo Apni Makhsoos Jaga Par Apna Tokra Jis Mein Biskit
Tofiyan Chips Waghera Ke Pekits Hote Thay Lekar Bethi Hoi Thi Usay Dekhtay Hi
Dimagh Mein Ajeeb Se Sawal Aya K Ya Khuda Is Larki Ko Kisi Ki Bad Dua Hai Jo
Yunhi Mela Kuchela Peelay Rang Ka Ghaghra Pehne Or Sar Par Mela Dupata Orhay
Tokra Liye Yahan Bethi Rehti Hai Akhir Masla Kya Hai. Kya Itna Waqt Ya Pani Nahi
Ke Hafte Mein 1 Bar Ya Mahine Mein Hi 1 Bar Naha Kar Saaf Suthre Kapre Pehen
Liya Kare. Aaj Puchna Hi Parega B.B Ji Kuch Lengi Biskit Ya Choclate? Issay
Pehlay Ke Mein Is Meli Larki Se Kuch Pochti Is Ne Khud Akar Mere Dimagh Mein
Mojod Sawalon Ko Muntashir Karte Howe Pocha, Nahi Kuch Nahi Chahiye Mene Chonk
Kar Kaha, Wo To Aap Meri Taraf Kafi Der Se Dekh Rahi Thi To Mene Socha Ke Shayad
Aap Ko Kuch Chahiye Is Liye Pochne Agai, Mene Isay Roka To Wo Ruk Gai Ji Is Ne
Muskurate Howe Kaha, Tumhara Name Kya Hai? Mene Issay Pocha, Jannat Name Hai
Mera Ji Is Ne Tokra Zameen Par Rakhte Howe Kaha, Jannat Ye Kesa Name Hai Ye Name
To Is Par Bilkul Bhi Thik Nahi Lagta Is Name Ka To Soch Kar Hi Koi Haseen Wa
Jameel Chehra Zehen Mein Ghoom Jata Hai Or Ye Name Is Larki Ka? Nakash To Achay
Lag Rahe Hain Likin Pata Nahi Kiyon Ye Larki Apne Aap Ko Itna Ganda Kiyon Rakhti
Hai, 1 Bar Phir Mein Soch Mein Ghum Hogai, Bi Bi Ji Aap Mere Name Ke Bare Mein
Soch Rahi Hain Na? Is Ne Muskurate Howe Kaha, To Mein Kuch Sharminda Se Hogai,
Wo Bus Yonhi Mene Muskurate Howe Kaha, Aap Wo Samne Wale School Mein Parhati
Hain Na? Is Ne Sarak Ke Bilkul Samne Ki Taraf Ishara Karte Howe Kaha, To Mein
Heran Reh Gai, Aray Tumhain Kese Pata Ke Mein Parhati Hun Parti Nahi? Mene Isse
Pocha, Kiyon Ke Bi Bi Ji Jo Khud Parhte Hain Un Ke Paas Bara Sa Basta Hota Hai
Or Rozana 1 Hi Rang Ke Kapre Or Jote Pehente Hain. Or Jo Parhate Hain Un
Ke Paas Aap Ki Tarah 1 Kitab Or Paras Hota Hai Or Kapre Bhi Jese Marzi Ke Pehen
Lo. Is Ne Apni Zahanat Ka Saboot Dete Howe Kaha, Wa Bhai Tumhain To Buhat
Malomat Hain Han Mein Parhati Hun Wo School Nahi College Hai. Mene Issay Daad
Dete Howe Kaha, 1 Baat Kahun Jannat Agar Tum Bura Na Mano To? Mene Ise Pocha Ji
Bolen Is Ne Mukhtasiran Kaha, Jannat Tumhare Naqoosh Itne Achay Hain Tum Zara
Saf Suthra Raha Karo Tum Buhat Khubsorat Lago Gi Or Agar Tum Saf Ho Kar Ao Gi To
Log Tum Se Ye Chzen Lena Pasand Karenge Or Ye Hamare Mazhab Mein Bhi Hai Ke
Safai Nisaf Iman Hai , Tum Apne Name Ki Tarah Khubsorat Ho Sakti Ho, Agar Tum
Cha Ho To, Mein Isay Kehti Rahi Or Wo Musal Sal Muskurati Rahi. Bi Bi Ji Mujhe
Bilkul Bura Nahi Laga Wo Dekhain Aap Ki Bus Arahi Hai Is Ne Tokra Uthate Howe
Kaha To Mein Door Se Ati Bus Ko Dekhne Lagi, Dobara Jannat Ki Taraf Dekha To Wo
Ja Chuki Thi, Shayad Ise Bura Laga Likin Mene To Ise Kuch Nahi Kaha, Likin Agar
Ise Bura Laga To Mein Ise Sory Keh Dungi Mein Bus Mein Beth Kar Bhi Jannat Ke
Bare Mein Hi Sochti Rahi. Balke Sara Din Jannat Ke Bare Mein Hi Sochne Mein
Guzara Tha, Is Liye Aaj Chuti Se 15 Minute Pele Hi Bus Stop Par Agai Thi, Magar
Jannat Nazr Nahi Arahi Thi. Bi Bi Ji Jannat Ki Awaz Par Peechay Mur Kar Dekha To
Mein Heran Reh Gai, Gulabi Rang Ka Saaf Suthra Ghaghra, Sar Par Tokra Uthay Bari
Bari Kali Ankhon Mein Kajal, Satwan Nak Or Nak Mein Sone Ki Tar Khilti Howi
Rangat Gulabi Hont Kale Siyah Balon Ki Kuch Laten Chere Or Surahi Daar Gardan
Mein Lipti Hoi Dupate Ka Palu 1 Taraf Se Danton Mein Dabaya Howa Wo Larki Sar Se
Per Tak Khoubsorti Ka Mojasma Lag Rahi Thi. Tum Koun ? Mene Ise Herani Se Pocha?
Bi Bi Ji Mein Jannat Hun, Is Ne Kaha To Is Ke Mun Se Dupata Ka Palu Nikal Gaya,
Or Chera Saaf Nazar Ane Laga. Jese Chand Par Badal Hat Gaya Ho. O Jannat Tum Aaj
Such Mein Jannat Lag Rahi Ho, Mene Kaha Tha Na Ke Tum Buhat Khubsorat Lag Sakti
Ho Agar Tum Chaho To, Ab Ase Hi Raha Karo Lagta Hai Tumhare Tokre Mein Sari
Chezen Khatam Hogai Hain, Gi Bi Bi Ji Aaj Tokra Khali Hi Hone Wala Hai Lekin Bi
Bi Ji Mujhe Asi Kamai Nahi Karni Jis Mein Mujhe Apni Bhi Keemat Lagani Pare, Kya
Matlab? Mene Pocha, Ye Khubsorti Hum Jese Gharibon Ko Raas Nahi In Biskit Or
Tofiyon Ki Tarah Log Hamari Bhi Keemat Lagate Hain, Aap Thik Samajhti Thi Mein
Khud Hi Meli Ho Kar Ati Thi, Take Mein Tokre Mein Rakhi Chezen Bech Sakon Apni
Khubsoroti Nahi. Aaj Logon Ne Mujhe Nazdeek Se Dekhne Ke Liye Mujh Se Cheezen
Kharidin Hain Matlab In Chezon Ke Saath Mene Apne Aap Par Bhi Keemat Lagai Hai.
Jannat Apne Name Ki Tarah Khobsorat Hai Is Ka Husan Chupa Rahe To Behtar Hai. Bi
Bi Ji Jannat Itni Sasti Nahi Ke Asani Se Bik Jay Na Hi Jannat Sab Ke Liye Hai.
Itna Sab Kuch Ek Aam Si Chezen Bechne Wali Larki Keh Gai Or Mein Herani Se Sunti
Rahi. Jannat Ke Peechay Kuch Manchale Larke Chalne Lage, Mene Socha Ke Jo Kuch
Jannat Ne Kaha Wo Shayad Thik Kaha, Kal Aygi To Issay Bat Karongi.................
Kal Pasoun Jane Kitne Hi Din Ghuzar Gay Lekin Jannat Is Bus Stop Par Nahi Ae.
Shayad Isliye Ke Is Ne Mujhe Apni Asal Shakal Dikhadi, Or Dubara Mere Samne Akar
Mujhe Sahrminda Nahi Karna Chahti Thi, Ya Phir Is Ne Mujhe Orat Ki Wo Shakal
Dikhadi Jo Mene Isse Pehle Kabhi Na Dekhi Thi.......... Special For Women...