Pakistan Is Waqt Muskil Kee 
Gharee Main Ak Taraf Silab Kee Taba Kariyan To Dosri Taraf Khudkush Hamlay Taget 
Killing Pooray Mulk Main Afratafri Badamni Bay Yaqeeni Ke Sorathal Hay Laken 
Hamaraay Hukmran Baroon Mumalik Dowroon Main Masroof Hain Apni Awam Say Bay 
Khabar Dayar Ghar Main Apni Ayashion Or Shah Kharchioun Main Masroof Hain Awam 
Baycharay Bay Yaroomadadghar Khulay Asman Talay Zinghi Kay Bachay Kuchay Pal 
Guzarnay Per Majboor Hain Khanay Peenay Kee Ashya Bunyadi Sahooliyat Kay Fuqdan 
Kay Bawajood Jeenay Ki Arzo Liay Ak Nai Subh Kay Intazar Main Ankhoon Main Umeed 
Ke Shama Jalay Roshni Kay Intazar Main Tarap Rahay Hain Laken Bay Hiss Hukmran 
Apnay Aqtadr Kee Tawlat Kee Khatar Apnay Zameer Or Apnay Awam Ko Ghirvi Rakhnay 
Kay Liay Baroon Mumalik Kashkool Liay Darbadr Bhatak Rahay Hain Dowroon Main 
Mazeed Zulam Yeh Keh Wahan Keh Mahngay Tareen Hotloon Main Rehaish Or Baqi Tamam 
Akhrajat Pakistan Kay Khazanay Kay Zima Hay Joo Keh Sarasar Is Mulk Kee Ghareeb 
Awam Per Bojh Hay Laken Mujay Yeh Samajh Naheen Aa Rahee Keh Aik Bat Jo Aam Admi 
Kee Samajh Main Aa Rahee Hay Woh Aqtadar Kay Awanoon Main Bhathay In Zeerak 
Arabab Ikhtiyar Kee Samajh Main Kiuon Nahee Aa Rahee Aapni Awam Ko Tarapta 
Siskta Howa Chor Kar Baroon Mumlik Kioun Muqeem Hain