Chief Justice Kahan Hai Justice
(Kamran Khan Buneri, Karachi)
Jurum Krane Wala Khwa Koi Bhi
Ho Jurum Hamesha Qable Muzammat Hi Hota Hai. Aur Agar Jurum Sarey Aam Qanoon K
Rakhwalon Ki Mojudgi Mein Ho To Wo Jurum Na Sirf Qable Muzammat Belke Qaqble
Shermindagi Bhi Hota Hai. Aaj Watne Aziz Mein Jaraim Ki Tezi Se Berrhti Huvi
Sharaah Ki Sub Se Aihim Wajah Bhi Yahi Hai K Yahan Aksar Jurum Qanoon K
Rakhwalon K Ro Ba Ro Hi Hota Chala Aa Raha Hai Jo Intihaai Afsoos Ka Amer Hai.
Sharpasand Anasir Aaye Roz Jub Chahein Jahan Chahein Qanoon Ki Rit Ko Challenge
Kr Jate Hein Q K Wo Ye Baat Achi Tarha Jaante Hein K Awaam Ki Jaano Mall Ki
Hifazat Per Taainaat Ye Security Aiihilkaar Mehaiz Mujasmey Hein Inko De Jaane
Waali Gunz Dikhne Mein To Barri Shaandaar Hein In Guns Ko Chalaane Ka Ikhtiyaar
Inke Pass Nahi. Qanoon K Ye Rakhwale Sirf Mazddor Tabqa Ghreeb Or Be Gunaah
Afraad Ki Pakerr Dhakerr Or Muk Muka Ki Duty Per Tainaat Hein Inhein In Dehshat
Gerdon, Sherpasandon, Wehshiyun Se Kia Lena Dena Ye Anaasir To Hamarey Security
Aihilkaaron K Liye Intihaai Moaziz Or Qable Aihtraam Hote Hein Q K Inke Diye
Huway Tukrrun Per To Inki Ayyashiyuon Ka Sazo Samaan In Aihilkaaron Or Afsaraan
Ko Mayyasir Aata Hai Ab Agar Inhein He Khatam Kr Diya Jaaye To Ye Be Chaare To
Faaqon Se He Mar Jaaein. Aik Mazdoor To Is Mehngaai K Door Mein Apne 6 Bachchon
K Saath 200 Rupey Ki Ujrat Per Guzara Kr Sakta Hai Lekin Hamarey Security
Aihilkaar Or Alaa Afsaraan Bhaari Bhr Kam Tankhwah Per Bhi Guzara Nahi Kr Sakte
Is Liye Inhein In Criminels Se Samjhota Karna He Parrta Hai Taa K Inki
Ayyashiyaan Jaari Wa Saari Rahein. Aisi Surat Mein Kisi Gharreb Be Gunaah Ko
Agar Inke Ro Ba Ro Kiti Bhi Buri Terhan Tashadud Kr K Halaak Kkr Diya Jaaye To
Inhein Is Se Kia Gharaz Inhein To RISHWAT K Wo Chamakte Damakte Note Aziz Hein
Koi Marey Ya Jiye Inhein Koi Farq Nahi Perrta. Aaj Qanoon In Dehshat Gardon K
Liye Unki Rakhel Ki Hasiyat Ikhtiyaar Kr Gaya Hai Or Rakhel Ko Maalik Jese Chahe
Istemaal Krne Ka Pora Pora Haq Rakhta Hai. Or Agar Hamara Qanoon In Anasiron Ki
Rakhel Nahi To Phir Kia Wajah Hai 4 Roz Guzerne K Baad Bhi Sialkot Mein Sarey
Aam 2 Be Gunaah Bhaiyun Ko Itini LERZA KHAIZ Tareqey Se Qanoon K Rakhwalon K
Saamne Qatal Krne K Baad Unki Laashon Ki Bhi Tazleel Ki Gai Or Wahan Muqey Per
Mojod 8 Police AIHILKAAR Kyun Tamaashai Baney Ye Na Qable Talaafi Jurum Itne
Aihtamaam Se Dekhte Rahe. Is Muqey Per Dard Ko Bhi Dard Hone Laga Tha Lekin In
Security Aihilkaaron K Kaan Per Ju'n Bhi Na Reen Gi. Halaan K Insaaaf Ka Taqaza
To Ye Hona Chahiye Tha K 24 Ghantey K Andar Andar In Wehshiyun Or In 8 Police
Aihilkaaron Ko Isi Point Per Sarey Aam Boti Boti Kr K Cheel Kawwon Or Kutton Ko
Khila Diya Jata Q K Ye Jurum Wo Jurum Hai K Is K Liye Ye Saza Bhi Shayad Boht
Kam Hai Or Jab Tk Aisi Behimana Kaar Rawaai Per Is Terha Ka Radde Amel Nahi Diya
Jaaye Ga Ye Sherpasand, Or Wehshi Darindey Baaz Aane Waale Nahi. Is Dill Soz
Waqiye K Roz Wahan Kharri Tamaasha Dekhti Be His Awaam Ki Baat Hai To Is Awaam
Ka Kia He Kehna Hai Yaahan Mujhe Aik Purana Ghisa Pita Latifa Yaad Aa Gaya Jo
Hamari Be His Awaam Per Bilkul Fit Aata Hai, Aik Saltanat K Baadshah Ne Apni
Riayaa Per Taxes K Ambaar Laga Diye Lekin Riayaa Ne Kisi Qisam Ka Koi Aihtijaaj
Nahi Kiya, Baadshah Ne Her Tarkeeb Aazmaai Lekin Koi Tarkeweb Koi Herba Kaargr
Na Guzra Aakhir Kaar Baadshah Ne Apne Waziron Ka Ijlaas Bulwaya Or Un Se
Mukhatib Huwa K Meri Derina Kawhish Hai K Meri Riayaa Mujh Se Reham Ki Appeal
Kare Mujh Se Aa Kr Faryaad Kare Lekin Ye Riayaa Hai K Tas Se Mas Nahi Hoti Ab
Tum Log He Koi Tajweez Do Sub Ne Apni Apni Tajaaweez Peah Ki'n Lekin Baadshaha
Salamat Subki Tajaaweez Ko Radd Krte Gaye Aakir Mein Aik Wazeer Ne Baadshah
Salamat Ko Tajweez Di K Q Na Shehar K Daakhli Or Khaarji Derwaazon Per Taainaat
Pehrey Daaron Ko Ye Hukum Diya Jaaye K Her Aane Jaane Waale Ko 2,,2,,Jotey
Maarey Jaaein Is Terha Inki Izzate Nafs Majrooh Hogi To Ye Log Zaroor Apke Paas
Faryaad Ko Aaein Gey. Baadshah Ko Ye Tajweez Kaargr Lagi Or Baadshah Salamat K
Hukum Ki Taameel Huvi. Pehrey Daaron Ne Her Aane Jaane Waale Ko 2..2...Jotey
Maarna Shuru Kr Diye Kuch Roz Baad Baadshah Se Milne Aik Wafad Aaya Baadshah Dil
He Dil Mein Khush Hone Laga K Chalo Ye Tajweez To Rang Le Aai, Wafad Ne Jaan Ki
Pannah Chahte Huwe Baadshah Salamat Se Arz Kiya K Baadshah Salamat Aap Ne Jo
Pehredaaron Ko 2...2...Jotey Maarne Ka Hukum De Rakha Hai Hamein Is Se Koi
Pareshaani Ya Aap Se Is Maamley Mein Koi Shikwa Shikayat Nahi Bus Aap Meherbaani
Farma Kr In Pehredaaron Ki Tadaad Mein Izafaa Krwa Dein Taaa K Hamara Waqt Zayaa
Na Ho Chahey Aap 2...2...K Bajaye Hamein 8...8 Jote Maarne Ka Hukum Saadir Farma
Dein...Mojoda Awaam Or Us Waqt Ki Riayaa Mein Ab Koi Khaas Faraq Nahi Raha In
Per Jitna Bhi Zulmo Jabar Kiya Jaaye Is Awaam Ne Uf Tk Nahi Krni. Is Liye
Sialkot Mein Us Roz Mojod Awaam Sorry Be His Awaam Se Mujhe Ya Un 2 Be Gunaah
Bhaaiyun K Waalden Ko Koi Gila Nahi. Lekin Qanoon K Rakhwaale Kab Tk Jaraaim Ki
Sirparasti Krte Rahein Gey. Us Roz Agar Hamare Ye Aihilkaar Hawai Fire, Koi
Aansu Ges Ka Shell He Fire Kr Dete To 2 Be Gunaahon Ki Jaan Ka U Ziyaa Na Hota,
Aik He Ghar K 2 Chashmo Chraagh Ko Itni Be Dardi Se Qanoon K Rakhwaalon K Saamne
Qatal Krne K Baad Unki Laashon Tk Ko Ulta Latka Diya Gaya Or Ye Aihilkaar
Tamaasha Dekte Rahe Afsoos Sad Afsoos, Chief Justiss Sahab Is Case Ko Blind
Marder Na Hone Dijye Ga Werna Un Be Gunaahon Ki Chekho Pukaar Or Inke Waalden Ki
Aaho Baka Aap Ko Saari Zindagi Chain Ki Neend Soney Nahi De Gi Or Aakhirat Mein
ALLAH Ka Azaab ......Insaaf Ka Takaza To Ye He Hai K Unwehshiyun Or Police
Aihilkaaron Ko Jald Az Jald Kefarey Krdaar Tk Pohnchaya Jaaye Lekin Tehqeeqaat
Se To Aaisa Hota Dikhaai Nahi Deta Q K Un Police Waalon K Khilaaf Qatal Ka
Muqadma Derj Hona Chahiye Tha Lekin Unke Khlilaaf Dafa 155/C Ka Muqadma Derj
Kiya Gaya Hai Yani K Wo Aihilkaaon Is Sangeen Jurum Mein Sirf Or Sirf Ghaflat
Baratne Ka Zimmedaar Tehraya Gaya Hai Or Is Se Berrh Kr Afsoos Is Baat Ka Hai K
3 Aihilkaar Apne Peti Bandon Ki Hirasat Se Faraar Hone Mein Kaamyaab Ho Gaye
Hein Ya Unhein Faraar Ka Moqa Fraham Kiya Gaya Hai Iski Bhi Mukammal Tehqeeqaat
Kr Waai Jaaye Or Ghaflat Baratne Waale Aihilkaaron K Khilaaf Bhi Sakht Se Sakht
Kaar Rawaai Ki Jaaye. Chief Justiss Sahab Un Masoom Nojawaano K Waalden Is Nazuk
Morr Per Sirf Or Sirf Aap Se Jald Az Jale Insaaf K Muntazir Hein Or Un Nojawaano
Ka Khoon Ka Aik Aik Qatra Pukaar Raha Hai K Chief Justice Kahan Hai Justice.