Insaniyat

(Nadeem Raja, Larkana)

Me Larkana Ka Rehna Wala Ek Police Constable Hu,  Me Rozana Sham Ko Apne Dost Constable Zuhaib Ke Sath Sheher Se 20 Km Door Duty Pe Jata Hu.  Zuhaib Ke Sath First Time Jab Me Uski Bike Pe Duty Pe Ja Rahe The To Us Ne Bike Side Pe Rok Ke Apni Jeb Se Chhapar Nikala Aur Raod Ke Beech Se Mari Hui Bili Ko Uthaya Aur Side Me Ja Ke Phenk Diya. Mere Puchhne Pe Us Ne Kaha Ke "Insan Ko Apni Asliyat Nahi Bhoolni Chahye"  Aur Wo Jab Bhi Raod Pe Koi Bhi Janwar Kuta, Bili, Ya Etc Mara Hua Dekhta To Wo Hi Amal Karta. Ab Agar Me Bhi Kahi Akela Ya Kisi Aur Dost Ke Sath Kahin Ja Raha Hota Hu To Koi Janwar Maslan Kuta, Bili, Chuha Etc Mara Hua Dekhta Hu To Hath Me Chhapar Ya Kaghaz Ya Kapra Le Kar Side Men Phenkta Hu.  Ye Amal Bar Bar Karne Se Hamare Dil Men Insaniyat Peda Hogi Aur Kal Ko Ham Kisi Insan Ki Bhi Madad Kar Payen Ge!

 

Nadeem Raja
About the Author: Nadeem Raja Read More Articles by Nadeem Raja: 5 Articles with 12201 viewsCurrently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.