Beti aur Baho
(Sadia, Karachi)
Baap say milti hai to aoroon say puch kar, Beti jab rukhsat hojaye to haqdar badal jaty hain
Bare Nazon Say Pala Hai Maine
Apni Beti Ko Abbu Hamesha Kehtay Thay Aur Ammi Bas Yehi Jawab Deti Then Allah
Naseeb Achay Kare. Baht Mohabbat The Ammi Abbu Ko Mujhsay Agar Shayad Chand B
Lakar Desakty To Dedety. Baap K Saye Main Aik Din Rukhsat Ho Hi Gaye Sab Yehi
Kehty Thay Allah Nay Naseeb Achay Kiye Meray, Kion Na Karty Maa Dua Jo Karti
Then.
Naya Ghar Naya Mahool Samjh Hi Nhi Araha Tha Kia Karon Sambhal Sambhal K Qadam
Rakhnay Parhrahay Thay. Main Yehi Sochti Rehti K Aisay Kaisay Guzraygi Zindagi?
Kahin Nhi Jasktay Thay Ham. Kahin Bahir Khana Kha Lia Ghalti Say To Azab Ajata
Tha K Mera Beta Is Ghair Larki Pe Kio Kharch Karaha Hai. Kia Main Ghair The? 3
Behno K Bare Bhai Ki Biwi The. Aik Behan Jo Mujhsay Bhi Bari Then Unka Ahteram
Kia To Ye Jawab Mila "Tum Ko Budhi Ho Meri Beti Ki Umar Hi Kia Hai". Meray Atay
Hi Masiyun Ko Chutti Dedigaye. Beti K Hath Kharab Hojaingay Bartan Nhi Dhoskti.
"Itnay Armano Say Betiyun Ki Shadi Nahin Karni Chahiye Bal K Unko Itni Mohabbat
Dekar Palna Hi Nahin Chahiye. "Kia Issi Liye Bahu Ko Laya Jata Hai?
Apni Beti Ki Shadi Na Honay Ki Wajah B Main Hi The. Ghar Main Honay Wala Har
Buray Fail Ki Wajah B Main Aur Meray Maa Baap Thay. Unki Dadi Bannay Ki Khabar
Bhi Un K Mizaj Ko Pighla Na Saki. Baat To Maa Peet Tak Agaye. Haye Meray Abbu
Jinho Nay Har Mushkil Waqat Say Bacha Rakha Tha Phr Ye Waqat Kio Agaya. Jab Zara
Sa Kanta Chubhnay Pe Ammiii Awaz Dekar Ghar Sar Pe Utha Leti The Aaj Kisko Awaz
Dun. Allah Mujhay Bacha Lay Mera Naya Basnay Wala Ghar Ujar Na Jaye. Phr Ammi
Abbu Ki Ye Baat Yad Agaye K Allah Sabar Karnay Walon Ka Sath Deta Hai. Phr Sabar
Hi Kia. ALLAH Nay Beti Say Nawaza Sab Khush Hi Thay Lekin Ander Bhari Hui Aag
Phr Aik Bar Nikli Aur Jaladia Mujhay.
Sab Kehtay Hain Meray Abbu Ki Mout Aisay Hi Nahin Hui Dil Main Beti Ka Gham
Betha Rakha Tha Warna Jo Shaks Major Heart Attack Bardasht Kargaya Tha Jo Aisay
Kaisay Mar Sakta Hai. Haye Meray Abbu Mera Saiban Mera Asra Chala Gaya. Ab Kahan
Jaongi Main. Betiyun K Gham Aisay Hi Baap Ko Kha Jatay Hain.
Sabar Ki Talqeen K Sath Sath Aik Aur Baat Maa Baap Nay Sekhadi "K Jab Bachay
Bare Hojaty Hain Tab Tum Per Uthnay Wali Awaz Band Hojayegi. "
Aj Main Aik Beti K Sath Aik Bety Ki Maa Hon Aur Is Intezar Main Apni Umar Gawa
Rahi Hoon K Kal Ye Bachy Bare Hokar Mera Saiban Mera Sahara Banaingay.