Rishwat Ka Bazaar Garam:
(Bahisht Mujeeeb, karachi)
Saltanat-E-Pakistan Main Jaha
Dekho Rishwat Ka Bazaar Garam Hai. Hukumat-E Waqt Kay Jis Shobe Par Bhi Nazar
Dorai Jae Rishwat Lene Or Dene Wale Dono He Mujood Or Kafi Sar Garme Amal Hain.
Aala Auhdedaron Say Lay Kar Niche Tak Har Tarf Ye Amal Sawab Ki Niyat Say Anjam
Paa Raha Hai. Isay Na Sirf Nizam Ki Tabahi Or Barbadi Horahi Hai Balkay Merit Ko
Jar Say He Saaf Kia Jaraha Hai. Hukumat Ki Naukrian Wazeeron Kay Rishtadaron Or
Ba-Asar Afraad Ko He Naseeb Horahi Hain. Or Agar Is Amal Ki Koi Mukhalifat Bhi
Karnay Kay Liye Khara Ho To Osay Bhi Kuch Na Kuch Lay Day Kar Manzar Say Ghayab
Kardia Jata Hai. Janab Mohtaram Wazir-E-Azam Nawaz Shareef Sahab Say Meri Ye
Appeal Hai Kay Khudara Ap Apni Nazar Is Muzo Par Bhi Dalen, Wagar Na Ye Bohat
Bari Tabahi Layega Or Ye Rishwat Ka Nasoor Apki Apni Khud Ki Hukumat Ko Deemak
Ki Tarha Chaat Kar Khokla Kardega. Janay He Kitnay Hukamraan Rishwat Ko Khatam
Karany Kay Pukhta Azam Lae Thay. Par Ye Nasoor Abhi Tak Wahin Ka Wahin Mujood
Hai. Barae Meharbani Is Muamlay Par Bhi Apni Nazar-E-Sani Kijeye. Allah
Nigehban, Pakistan Zindabad.