Azadi, Azadi Kia Hai Hum Ne
Kabhi Socha Hi Nhi Kash K Hum Jaan Sakte Mehsoos Kar Sakte K Yeh Azadi Kia Hai ?
Azadi ALLAH Ka Dia Howa Haseen Tohfa Hai. Jo Hamare Buzurgo Ki Jadojehad Aur
Kavesho Se Hamein Hasil Hua Hai.Agar Mene Azadi K Silsile Mei Mazi K Auraak
Palte To Angreaizo Ki Zulm Ki Dastanie Sun Kar Ap Logo Ki Ankhoo Se Aansoo Nikal
Pare Gai. Or Mei Kis Kis K Aansoo Ko Girne Se Rokoo Ga.Mei Kis Tarha Se Tasali
De Sakoo Ga Jis Tarah Ka Zulm Seh Kr 14 August 1947 Ko Pakistan Hasil Hua Hai.
Uski Aala Missal Dunia Mei Kahein Nhi Milti To Is Azadi Ki Bhi Qadar Nhi Rahi
Hhum Bhool Gai Mazi Mei Dushmanoo Ne Hamare Sath Kia Kuch Nhi Kia, Jub Hum Pida
Hue Azad Pida Hue Hamein Itni Mehnat Nahi Krni Pari Jitni Hamare Buzurgoo Ne Is
Mulk (Pakistan) K Lie Ki Hein. Agar Hum Itni Mehnat Krte To Shayad Humein Is
Azadi Ki Qadar Kr Pate, Khoon Behta Apne Aap Ko Is Mulk Ki Khatir Khoon Se
Sechna Parrta Tub Kahein Ja Kar Hamein Is Azadi Ki Qadar Hoti K Azadi Kis Tarah
Milti Hai. Hum Apni Azadi Ka Jis Tarh Ghalat Istaimal Kr Rhe Hein.
Hum Musalmaan Apas Mei Lar Lar Kr Apni Takatein Zaya Kr Rahe Hai Or Mulk Mei
Budamni, Qatal-O-Gharat, Afratafri, Corruption, Government Ki Surat Mei. Kia Isi
Din K Lie Hamein Azadi Mili Hamare Buzurgo Ki Roohein Bhi Bechain Hai Shayad K
Wo Pachta Rahe Ho Hamein Is Azadi Ki Qadar Krni Chahie Ye Humein Is Azdi Ki
Qader Tub Ja Kr Hogi Jub Hum Is Hasen Tohfe Ko Kho Deinge Hum To Azaad Hai Azadi
Ka Faida Uthei Or Dushmano Ko Pakistan Ki Taraf Barhne Ka Mouka Na Dein.Or Jo
Dushman Musalmano Ko Burbad Krne Ki Aas Lagai Hein Unhein Mun Tor Jawab Dein.
Quid-E-Azam N Kaha “ Aye Nojawano Tum Mustakbil K Maimar Ho Mustakbil Ki
Zimedari Tumhre Kandhoo Pr Hai.” Kia Khub Zimedari Nibha Rhe Hai.Aj Kal Sirf
Hamari Kaum K Logo N Apni Zindagi Ka Maksud Mohabat, Greed Or Aik Dosre S Agey
Barhne Ki Koshish Mei Apni Ikhlaki Qadroo Ko Nazar Andaz Kr Rhe Hein. Or Is Mulk
Ki Zime Dari Puri Taraha S Ada Nhi Kr Rhe Hein. Kash K Hum Sahi Rah Ko Apna Ley.
Kub Tuk Dosroo Ko Follow Krrte Rhe Gei Pakistan Ko Islam K Name Pr Hasil Kia
Gaia Zara Sochein Yaha Hamara Kia Reh Gaia. “ Mei To Yeh Dua Krte Krte Chala Aey
Asad Shayad K Sudher Jae Is Mulk K Nojawano Ki Halat”