Aik zaat aik safar - PART (1)

(Shamaim, Attock)

Bachpan Sy Jawani Tak Ka Safar Aik Khatan Safar Bht Sy Phool Ay Zindagi Mein Ay Jin Ko Choony Ki Sirf Khowaish Hi Ki To Hath Sy Aisy Lahu Nikla Jesy Kanton Ko Hath Mein Masla Ho Ye Aik Aisi Zindagi Hy Jis Mein Itna Sochny Ka Bhi Moqa Nahi Mila Ky Ye Sab Jo Ho Raha Hy Wo Kyun Kesy Or Kis Liye Ho Raha Hy Is Kathan Safar Ka Aghaz Us Waqt Hua Jab Is Kamsin Bachi Ny 3 Saal Ki Umar Mein Apni Ustani Sy Aik Aisi Bat Kahi Jo Dusron Ka To Difah Kar Gai Lekin Aj Tak Wo Chez Us Ky Sath Saye Ki Trha Rahi 3 Saal Ki Wo Bachi Apni Class Mein Bethi Parh Rahi Thi Ky Usy Aik Zordar Awaz Ai Jab Us Ny Nighaen Utha Ky Dekha To Wo Awaz Us Thapar Ki Thi Jo Ustani Ny Us Ky Hamjamat Ky Mun Py Mara Tha Ye Manzar Us Ky Liye Wo Na Qabil E Bardasht Tha Wo Foran Apni Ustani Sy Boli "Meri Mama Kehti Hein Choty Bachon Ky Mun Py Thapar Nahi Marty" Wo Waqt Or Aj Ka Waqt Us Ky Safar Mein Thapar Aisy Us Ky Sath Rahy Jesy Insan Ky Sath Saya Ho Us Ka Dekhny Mein Bht Masoom Or Bhooli Si Surat Thi Jis Py Hamesha Pyar Ay Lekin Aik Aisi Azmaish Mein Wo Thi Ky Un Masoom Galon Py Pyar Bht Kam Or Thapar Ky Nishan Zyda Thy Usy Ghar Sy Kaha Gya Tha Ky Jab Kahen Jao To Wahan Sy Shikayat Na Ay School Mein Jo Kuch 12 Salon Mein Us Ky Sath Hota Raha Us Ny Aj Tak Ghar Nai Bataya Us Ko Dar Tha Ky Jo Kuch Wo Bahir Bardasht Kar Ky Ati Hy Usy Wohi Ghar Bardasht Karna Na Par Jay Aj Bhi Jab Us Ko Wo Thapar Yad Aty To Us Ky Ankhon Sy Ansoo Na Thamty Us Ko Jismani Takleef Ky Sath Dimaghi Takleef Bhi Di Gai Jo Us Ky Liye Bardasht Karna Zyda Mushkil Tha 3 Sy 15 Sal Ki Umar Tak Thaparon Ka Wo Silsala Raha Jo Bina Kisi Ghalti Ky Musalsal Us Py Barsta Or Aisy Barsta Ky Ginti Ka Moqa Nahi Milta Ab Us Ki Umar 18 Saal Hy Lekin Wo Tamam Azeaten Yaadon Ka Azab Ban Ky Us Ky Sath Hein Behnon Mein Sab Sy Choti Thi Wo Aik Khowabon Ki Duniya Mein Rehti Thi Wo Chahti Thi Ky Shezadi Ban Ky Rahy Us Ki Har Zarurt Or Har Khowaish Puri Ho Jab Kabhi Wo Kisi Chez Ko Tarsi To Apny Khowabon Ki Duniya Mein Chali Jati Jahan Wo Shezadi Thi Ab Us Ki Wo Umar Achuki Thi Jahan Purani Yaaden Or Aik Naya Safar Aik Nai Azmaish Ky Sath Tyar Tha........
 

Shamaim
About the Author: Shamaim Currently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.