ALLAH hum sy kia chahta hy?

(Ali Abbas, Mianwali)

BismillahirRahmanNirRaheem
Allah hamse sirf 2 chahta hai :
Allah aur uske Rasool Janab Muhammad s ki pairawi ki jaaye.
Sirf Allah ki hi ibaadat ki jaaye uske sath kisiko sharik na kiya jaaye.
“Ham ne Jinn aur Insan ko paida nahi kiya magar apne ibaadat ke liye”.
(Surah 51 Zariyaat : Ayat 56)
“Sirf Allah ki ibaadat karo aur us ke siwa tamaam Taghoot (Ma’aboodo) se bacho”.
(Surah 16 Nahl: Ayat 36)
“Aur tum Allah ki ita’at karte raho aur Rasool ki ita’at karte raho…”
(Surah 05 Mayddah : Ayat 92)
,قُلْ إِن كُنتُمْ تُحِبُّونَ ٱللَّهَ فَٱتَّبِعُونِى يُحْبِبْكُمُ ٱللَّهُ وَيَغْفِرْ لَكُمْ ذُنُوبَكُمْ ۗ وَٱللَّهُ غَفُورٌۭ رَّحِيمٌۭ
“(Aye Nabi) Keh dijiye! agar tum Allah se muhabbat rakhte ho to meri tabedaari karo, khud Allah ta’ala tum se muhabbat karega aur tumhaare gunaah maaf farma dega aur Allah ta’ala bada baqshne waala maherbaan hai”.
(Surah 03 Ale-Imaran: 31)
“(Aye Nabi) Keh dijiye! Allah ki aur Rasool ki itaa’at karo agar ye muh (chehra) ferle to beshak Allah kaafiro se Muhabbat nahi karta.”
(Surah 03 Ale-Imaran: 32)
ٱتَّبِعُوا۟ مَآ أُنزِلَ إِلَيْكُم مِّن رَّبِّكُمْ وَلَا تَتَّبِعُوا۟ مِن دُونِهِۦٓ أَوْلِيَآءَ ۗ قَلِيلًۭا مَّا تَذَكَّرُونَ
“Tum log us ki itteba karo jo tumhaare Rab ki taraf se aayi hai aur Allah ta’ala ko chhor kar man-ghadat Awliya ki itteba mat karo, tum log bahuth hee kam nasihath pakadte ho”.
(Surah 07 Araaf : 3)
 

Ali Abbas
About the Author: Ali Abbas Read More Articles by Ali Abbas: 2 Articles with 1404 viewsCurrently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.