Shehzadi ki Zahanat

(Chiraghdeen, Karachi.)

Mughal Badshah Aurangzeb Alamgir ki beti Zaibun Nisa bohot bari shaera aur bohot hi zaheen thi. Jab derbar-e-shahi mein mashaerey munaqid hotey tau iss shehzadi ka kalam bhi perh ker sunaya jata, aur wo kalam umuman tamam kalamo sey behter hota, log Zaibun Nisa key kalam ko bohot shoq sey suntey aur dad detey.

Badshah ka ek derbari tha iski zaban sey nikla keh kaash mein is azeem shaera ko dekh laita jis key kalam ney derbar-e-shahi key tamam shora'a ko aajiz ker rakha hey lekin wo apni iss khowahish ki takmeel iss liye nahi ker sakta tha keh Badshah Aurangzaib Alamgir key haan perdey ki bohot sakhti thi, albatta iss derbari ki yeh aarzoo Shehzadi Zaibun Nisa key kano tak pohonch gai, is ney kaha keh merey dekhney ki arzoo poori hosaktai hey aur phir apna ek shair likh ker bhijwadia:

DAR SUKHAN MAKHFI MANAM, CHOON BU EY GUL DER BERG-E-GUL
HER KEH DEEDAN MAIL DARAD, DER SUKHAN BEND MARA.

Tarjuma in Urdu: Mein apney kalam key perdey mein iss tarah chhupi huwi hoon keh jis tarah Gulab ki khushboo uski pattiyoon mein chhupi hoti hey; agar khushboo ka idraak kerna ho tau Gulab ki patti ko dekh lo, khushboo khud bakhud saamney aajaeygi. Yani jis ney mujhey dekhna ho wo merey kalam ko dekh ley.

FAEDA: Dekhney ki cheez der asal soorat nahi hoti balkeh seerat hoti hey. Soorat tau ek aarzi cheez hey wo mehez ta'aruf ka zeriya banti hey jabkeh asal cheez insaan key liye haqeeqat hey.

Rasool-e-Pak (S.A.W.) ki ek hadees ka mafhoom: BESHAK ALLAH TUMHARI SHAKLON AUR MALON (Face and Wealth) KO NAHI DEKHTA BALKEH WOH (ALLAH PAK) TUMHAREY DILON (Heart) AUR AAMAAL KO DEKHTA HEY.

Seerat insaan ko azmaton ki bulandi tak pohncha deti hey jabkeh soorat insaan ko bohot sarey fitno mein dal deti hey, is liye soorat sey ziadah seerat per mehnat kerney ki zuroorat hey.

Hazrat Yousuf Alaihis Salam ki soorat hi ki wajah sey un per bohot bari aazmaish aaee keh Zulekha unkey husn-o-jamal per farefta huwi aur unka yehi husn-o-jamal bil aakhir unkey jail janey ka sabab bana.

Aaj hamara nojawan apni seerat ko behter bananey key bajaey soorat ko behter banaey per laga huwa hey halankeh soorat tau mitti mein mil janey wali cheez hey jabkeh seerat insaan ki kamiabi ki zamanat aur aakherat (DOOMSDAY) mein hamesha hamesh ki sarfarazi hey.

Ey insaan us cheez per mehnat na ker keh jo cheez kal khatam honey wali hey balkeh apney aamaal, akhlaaq-o-kirdaar ko behter bana keh jo cheez rehney wali hey, zindagi mein bhi kamiabi aur merney key baad bhi kamrani.

Chiraghdeen
About the Author: Chiraghdeen Read More Articles by Chiraghdeen: 56 Articles with 190487 views Currently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.