Meray Baba Mama

(Sehrish Yazdan, United Kingdom)

Yeh Eak Bohat Hee Khobsorat Rishta Hai Aisa Rishta Jismein Behaad Pyar Bhara Hota Hai Apni Ulaad Kaliye. Zindagi Ki Haqiqtoun Mein Sab Say Bari Haqiqat Meray Mama Baba Ka Pyar Hai. Meray Baba Ka Naam Ghulam Yazdan Hai Aur Mama Ka Naam Yasmeen Akhtar Hai. Meray Baba Iss Duniya Kay Best Baba Hain. Kabhi Kabhi Mein Apnay Baba Ko Pyar Say Dadu Aur Mama Ko Momu Bhi Kehti Hoon Jo Mujay Bohat Acha Lagta Hai. Meray Baba Meray Liye Iss Duniya Mein Behtareen Hero Hain. Jinho Nay Hamaray Liye Bohat Mehnat Ki Hamain Parhaya Likhaya Aur Iss Moqaam Tak Pohanchaya Kay Hum Kuch Ban Sakain. Aur Meri Maan Jinho Nay Din Raat Eak Ki Sirf Aur Sirf Hamari Parhaye Aur Hamaray Sakoon Kaliye. Meray Mama Baba Dono Job Kartay Thy Aur Apni Mehnat Kay Balpotay Pay Unho Nay Hamain Parhaya Likhaya Aur Hamari Achi Parwarish Ki. Hum Char Behn Bhai Hain. Eak Mein Aur Meray Teen Bhai..Mera Bara Bhai Mashaallah Say Dubai Mein Achi Job Par Hai Aur Mujsay Chota Pakistan Mein Panjab Police Mein Hai Aur Sab Say Chota Abhi MSC Ka Student Hai...Hamaray Maan Baap Nay Hamain Achi Tarbiyat Aur Achi Zindagi Dee Mein Kabhi Bhi Apnay Maan Baap Ki Iss Mehnat Ko Nhi Bhool Sakti. Meri Maan Nay Bohat See Mushkilaat Ka Samna Kiya Lakin Kabhi Himmat Nhi Hari Aur Hamain Bohat Agay Pohanchaya. Hamain Hamaray Peeroun Par Khara Kiya. Meray Baba Nay Hamesha Hamain Seekhaya Kay Himmat Nhi Harna Aur Halaat Kaisay Bhi Hoon Daat Kar Moqabla Karna. Dono Ki Mohabbat Nay Kabhi Bhi Hamaray Hoslay Past Nhi Honay Diye Aaj Hum Charon Behn Bhai Jo Kuch Bhi Hain Sirf Aur Sirf Apnay Mama Baba Ki Waja Say Hain. Mein Nay Apni Life Mein Apni Maan Ko Bohat Takleefain Bhardasht Kartay Dekha Hai Lakin Kabhi Unho Nay Aaj Tak Uf Tak Nhi Ki. Logon Ki Baatain Bhardasht Karti Rahi Lakin Kabhi Apna Hosla Nhi Haara Aur Hamaray Liye Inteha Ki Mehnat Ki. Hamari Maan Nay Aaj Tak Apni Zimaydari Bahoobi Nibhaye Hai Zindagi Kay Hr Mour Par. Woh Kabhi Bhi Apni Zimaydarioun Say Nhi Ghabraye Hain Iss Liye Mein Inko Eak Behtareen Maan Samjti Hoon. Unho Nay Hamesha Hamain Achi Baatain Seekhaye Hain. Agr Mein Apnay Maan Baap Aur Inn Ki Hamaray Liye Mehnat Kay Baray Mein Mazeed Likhoun Tou Shahid Eak Pori Kitaab Ki Likh Daloun. Jis Tarah Insaan Apnay Maan Baap Ki Mohabbat Ka Qarz Ada Nhi Kar Sakta Isse Tarah Meray Pass Woh Alfaz Nhi Kay Kaisay Beyaan Karoun. Apni Maan Ki Hr Mehnat Mujay Yaad Aati Hai Jab Hum Chotay Thy Tou Mama Nay Hamari Hr Zimaydari Pori Ki Subah 7:00am School Chorna Phir 1:30 Lunch Denay Jana Aur School Say Hee Madrisay Chorna Aur 4:00 Madrisay Say Tuition Chorna Aur Phir Sham 7:00 Pm Hum Ghar Wapis Atay Thy..Pora Din Meri Maan Hamaray Liye Bhaagti Rehti Thi Takay Hamain Koi Takleef Na Ho Isse Waja Say Hamaray School Mein Meri Maan Ko Best Mother Ki Trophy Dee Gaye Thi. Meray Maan Baap Ka Pyar Khaloos Aur Inki Mohabbat Hee Mera Hosla Hai. Inka Dostana Rawaya Hamesha Meri Khud Etimadi Rahi Hai. Meri Mama Nay Hamesha Ghar Kay Mahool Ko Bohat Acha Banaye Rakha Sakoon Mohabbat Aur Khushiyan Sab Hamaray Ghar Ka Hisa Hain. Mein Kehti Hoon Khuda Nay Mujay Zindagi Denay Kay Baad Sab Say Behtareen Tohfa Mujay Meray Maan Baap Kay Roop Mein Diya. Woh Maan Baap Jo Khud Takleef Bhardasht Kartay Rahay Aur Hamain Kabhi Takleef Nhi Honay Dee. Meri Maan Ka Sabr Aur Baba Ka Shukr Shahid Meray Allah Ko Bohat Pasand Aya Iss Liye Khuda Nay Unko Unki Mehnat Ka Phaal Diya. Maan Baap Khuda Ki Taraf Say Diya Giya Eak Tohfa Hotay Hain. Hamesha Iss Tohfay Ki Qadar Karni Chaye. Meri Yahi Dua Hai Kay Khuda Meray Maan Baap Aur Sab Kay Parents Ko Lambhi Umar Day Aur Salaamat Rakhay. Meri Dua Hai Kay Meray Maan Baap Ko Zindagi Mein Koi Gham Na Aye Aur Allah Unko Hr Takleef Say Bachaye Aur Khuda Unko Hr Khushi Naseeb Karay. Ameen

Sehrish Yazdan
About the Author: Sehrish Yazdan Read More Articles by Sehrish Yazdan: 7 Articles with 12856 viewsCurrently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.