Insan,khwaish or qismat

(Yusra Ansari, karachi)

Insan
Ashrafulmhaqloqt....Sans Ki Dor Say Bandhu Zindagi....Khushi Bhi Hai Or Gam Bhi.Khushi Main Shukar Ada Nahi Krata Or Gam Main Sabar. Zindagi Hai To Mushkilat Bhi Hain So Bar Bar Toota Hai Or Phir Jorta Hai Khud Ko Hoslay Say.... Agay To Barhna Hai. Sukoot Mumkin Hi Nhi.Sakin Hogya To Zinda Lash Ki Manind.....Zindagi Guzari Nahi Jaye Gi Katni Pary Gi.

Khwaishat
Khwaish Har Insan Karta Hai .. Har Insan K Andar Khwaishat Ka Samandar Hota Hai.Aisa Samandar Jis Say Wo Apni Khwaishat Ki Takmeel Ka Moti Nikalna Cahta Hai.Or Osi Samandar Main Apni Na Pori Hony Wali Khwaishat Ko Dafna Deta Hai..Jis Ki Tadfeen Ki Khabar Siwaye Os Ki Zaat K Kisi Ko Nhi Hoti... Dil Gam Ka Bojh Nhi Otha Pata, Ankh Chalak Parti Hai.Lakin Insan..... Kamal Ka Zabt Hai Insan Main.Tadfeen K Bad Agli Manzil Ki Talash Agli Khwaish....

Qismat
Insan Ki Soch Say Bala Tar.Nal Hal Hony Wali Pheli.Aisa Lafz Jis K Zehan Main Aty Hi Insan Khud Ko Khush Qisamti Or Bad Qismati K Tarazu Main Tolny Lagta Hai Or Is Ka Faisla Apni Khwisaht K Pory Hony Or Kamyabi Par Karta Hai.

Insan, Khwaish Or Qismat Ka Taluq Bht Gehra Hai.Azal Say Hai.Aksar Os Cheez Ki Kwaish Karta Hai Jo Os Ki Qismat Main Nhi Hoti Or Jo Cheez Os Ki Qismat Nai Hoti Hai Os Say Wo Khush Nhi Hota.Nashukri Fitrat Hai Insan Ki....Koshish Karta Hai Khwaisaht Pori Karny Ki....Qismat Badalny Ki... Lakin Qisamt Nahi Badalti.Jo Likha Ja Chuka Hai Wo Hatmi Faisla Hai.Jhukta Hai Insan K Agay.Nahi Karta To Sajda Os Rab-E-Kainat K Huzoor.Jhukna Os K Agay Beniyaz Kar Deta Hai Osy Har Khawisah Sy Siwaye Os Ki Raza Hasil Karny K..Phr Rab_E_Azeem Karam Karta Hai Os Par.Khush Qismati Dastak Deti Hai Os K Darwazy Pe...Purskoon Or Mutmaen Zindagi Mail Jati Hay..... Lakin Afsoos Sad Afsoos Ye Bat Shazir-O-Nadir Logon Ko Hi Samajh Ati Hai.....

 

Yusra Ansari
About the Author: Yusra Ansari Currently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.