Hamary Halaat

(ghazala, karachi)

Main Ny Hamary Halaat K Word Is Liye Use Kiya K Jo Kuch B Hamary Ird Gird Ho Raha Y Wo HUM Sy He Releated Hy Aur Hum He Is K Zimedar Hen Jasy Safai Ko He Ly Liya Jayee Hum Ny Kabi Koshih He Naheen Ki K Apni Jaga Ko Saaf Rakahyeen Ya Wahan Gandagi Na Karyeen.

Har Taaraf Afra Tari Ka Alam Hy Zindagi Kis Mor Per Ja Rahi Hy Hum Ek Dosry K Galy Pakarny Main Masroof Hen Elzamat Lagany Main Busy Hen Hamary Ander Tolarnace Level Khatam Ho Gaya Hy Hum Kisi Ko B Kush Naheen Deekh Sakty Na Hum Samaj Sakty Hen Aur Na He Samjny Ki Khoshih Krty Hen, Hamari Aghi K Liye Media Ek Iham Role Ada Kar Raha Hy Haer Nukty Ko Achy Sy Manazar -E- Aam Per Laya Jata Hy Chaiye Wo Mahangi Sy Related Ho Chaiye Wo Safai Sy Related Ho, Mulki Halat, Aurat Ka Ahtaram, Health Problams And All Matters.

Hamain Apna Toalarance Level Acah Krna Chiye Aur Apny Halat Khud Behtar Banany K Liye Ek Khoshih Zaroor Krni Chaiye, Hamara Qanoon Agr Strict Ho Jayee Tu Hamary Halat Behter Ho Sakty Ku Baaz Halat Ko Sirf Dandy K Zor Per He Theek Kiya Ja Sakty Hen. Hamay Umeed Ka Daman Naheen Chorna Aur Hamary Halaat Ko Behter Banany K Liye Amli Iqdam Uthany Waloo Ka Sath Dyna Chaiye.

ghazala
About the Author: ghazala Read More Articles by ghazala: 2 Articles with 2069 viewsCurrently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.