Husn-e-Akhlaq

(Mir Idrees Khan Chachar, Lahore )

Husn E Akhlaq Achay Rawaya Aur Achi Achi Adat Ko Kaha Jata Hai. Issi Tareh Bora Akhlaq Boray Rawaye Aur Buray Adaat Ko Kaha Jata Hai. Humara Wajood Do Haisiaton Mein Taqseem Hai. Aik To Humara Tabia Haiwani Wajood Aur Dosra Hamara Akhlaqi Wajood. Haiwani Hasiyat Say Hum Par Bhi Wahi Qawaneen Nafiz Hotay Hain. Jo Degar Hawanat Par Hotay Hain. Yani Humain Bhi Bhook Lagti Hai, Neend Ka Ghalba Hota Hai Aur Dosri Tamaam Tar Zarooriyat Lahaq Hoti Hain Balkay Humari Zarooriyat To Degar Haiwanaat Say Ziada Hain. Humay To Rehnay Kay Lia Alishan Maqanaat Chahiye, Pehannay Kay Lia Umda Say Umda Labaas Chahiye Yani Hamari Bunyadi Haiwani Zarooriat Degar Haiwanaat Say Bohot Ziada Bari Hoye Hai.

Ye Hamara Akhlaq Wajood Hi Hai Jo Hum Ko Degar Jandaron Say Alag Karta Hai, Aur Yahi Woh Hukumran Taqt Hai Jiss Say Inshan Apnay Jisim Par Bhi Hukumrani Karta Hai Aur Kharji Awamil Par Bhi Iss Ki Hukumrani Qayeem Hoti Hai. Inshan Ki Kamyabi Aur Naqami Ka Aur Iss Kay Urooj-O-Zawal Ka Inhasar Iss Ki Akhlaqi Quat Par Hai. Goya Hum Jiss Cheez Ki Waja Say Insan Ko Inshan Kehtay Hain Woh Iss Ka Akhlaqi Wajood Hai. Youn To Woh Bhi Degar Jandaron Ki Terha Jism Rakhta Hai Ghar Banata Hai Baal Bhay Rakhta Hai Aur Inn Manun Mein Woh Aik Muwasrati Haiwan Hi Hai Lakin Iss Ki Haqiqi Hasiyat Zameen Par Allah Kay Nayeb Ki, Khalifa Tul Arz Ki Hai Aur Ye Iss Akhtayar Ki Waja Say Hai. Jo Allah Nay Ussay Tauz Kiya Hai Kay Woh Nafarmani Bhi Karsakta Hai. Ab Chun Kay Iss Ko Bhalaye Aur Boraye Karnay Ki Azaadi Bhaqshi Hai Iss Lia Allah Taa’ala Nay Iss Kay Samnay Dono Rastay Wazai Kardia Hai. Aur Ye Bhi Batadia Hai Kay Aik Rawaya Tumhain Ubdi Kamyabi Ki Taraf Layjaye Ga Aur Dosra Rawaya Tumharay Lia Abdi Nakami Ka Zimaydar Hoga. Issi Say Achay Akhlaq Ki Ehmiat Wazay Hoye Hain. Asal Johar Inshaniyat Acha Akhlaq Hai.

Na Sirf Inshan Balkay Qaumo Kay Urooj Woh Zawal Ka Inhasar Bhi Akhlaq Quat Par Hi Hai. Jab Tak Koye Qaum Alla Akhlaqi Asoolon Par Kamil Rehti Hai Iss Ka Urooj Hota Rehta Hai Aur Jub Woh Akhlaqi Burayun Mein Mubtala Hojati Hai To Pasti Mein Ja Girti Hai Yahaan Tak Kay Bilkul Hi Mitjati Hai Ya Zaleel O Khuwar Ho Kar Ghulami Ki Halat Mein Zinda Rehti Hai.Quran Pak Mein Qadeem Qaumo Ka Zikar Hai, In Ki Bhi Allah Taa’la Nay Yahi Sunnat Bataye Hai Kay Jabtaq Akhlaqi Khubiyaan Burayun Par Ghalib Rehti Hain Wo Qaum Zinda Rehti Hai Aur Jab Burayan Ghalib Ajati Hain To Allah Taa’la Iss Qaum Ko Mita Dayta Hai.Ya Dosri Qaumo Ko Iss Par Musalat Kardayta Hai. Lehaza Aam Inshani Ikhlaq Ki Parwarish Karnay Say Koye Bhi Qaum Kamyabi Pasakti Hai.
 

Mir Idrees Khan Chachar
About the Author: Mir Idrees Khan Chachar Read More Articles by Mir Idrees Khan Chachar: 2 Articles with 4156 viewsCurrently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.