Fairy Land

(ASIF KHAN NAWAB, sialkot)

Yeh Ik Aise Aadmi Ki Kahani Hai Jo Kisi Kaam Ke Silsile Main Apne Ghar Se Bahar Scotland Jane Ka Itefaaq Huwa Aur Wahan Par Ja Kar Bas Gya Aur Kuch Arse Baad Apni Saari Family Ko B Wahan Hi Bhula Liya Aur Wahion Par Rehne Lage Uss Aadmi Ki Nai Nai Shaadi Huwi Thi Aur Woh Apni Zindagi Main Bara Khush Tha Aur Uss Ka Apne Biwi Bachoon Ke Ilawaa Aur Koi Ni Tha Uss Aadmi Koi Nai Nai Cheezein Talaash Karne Ka Bara Shauq Tha Aur Woh Hameesha Khander Aur Poorani Poorani Jaghaon Par Ja Kar Nai Cheezon Ko Talaash Kar Ke Un Par Bohat Ghaur O Fikr Kiya Karta Ik Din Jab Us Ke Boss Ne Use Kaam K Silsale Me Bulaya To Use Raat Ko Wapis Ane Main Kaafi Dair Ho Gyi Aur Andheri Raat Ko Woh Apni Ghari Par Aa Raha Tha Aur Achanak Uss Ki Car Kharaab Ho Gyi Woh Aadmi Jis Ka Naam Sarmad Tha Bohat Pareeshan Huwa Aur Badkismati Se Uss Ke Aas Pass Koi Ghar B Nai Tha Uss Ne Apni Car Ko Wahin Par Chora Aur Kisi Jagah Par Rehne Ke Liye Jagah Dhoondne Laga Aur Uss Ka Apna Ghar B Bohat Door Tha Agr Paidal Jata To Shayad Poori Raat Ghuzar Jaati Aur Agr Ghaari Par Toh Phir 3-4 Ghantoon Main Pohanch Jata Aur Chunkai Aas Paas Jangal Tha Aur Jangal Main Chala Gya Aur Jangli Jaanwaron Se Bachne K Liye Ik Darakht Pr Charh K Beth Gya Aur Jab Woh Darakht Pr Charha To Use Jangal Ke Doosri Side Pe Ik Light Nazar Ayi Woh Wahana Gya Aur Dekhaa K Ik Bohat Purana Mehal Tha Bahar Se Dekhne Main Kaafi Purana Aur Bekaar Kisam Ka Khandar Lagata Tha Laikin Jab Sarmad Mehal Me Dakhil Huwa To Dekhta Hai K Baahir Toh Tareeki Hai Aur Mehal Main Iss Qadar Roshni Hai K Sooraj Se B Kahin Zyada Aur Pur Kashish Na Koi Lal Tain Dikahi Deti Aur Na Koi Jhoomar Bas Roshni Hi Roshni Thi.

Yeh Parion Ka Mehal Tha Aur Dekhte Hi Dekhte Kamre Ke Andhar Se Pariyan Ane Lagi Aur Uss Ke Ird Ghird Jamah Ho Gayi Aur Use Bari Heran Gi Se Dekhne Lage K Yeh Kis Dunya Ka Ha Aur Hamari Dunya Aminkeya Lene Aya Ha Aur Yeh Hi Baat Sarmad Ke Zehn Main B Thi K Yeh Koi Khawaab Hai Ya Haqeekat Aur Tamaam Ki Tamaam Pariyan Uss Se Bayak Ho Kr Poocha K Are Tum Kon Ho Aur Kya Tum Hamein Kaid Krne Aye Ho Sarmad Bola Nahi Meri Toh Ghari Kharaab Ho Gyi Thi Aur Main Light Dekh Kar Yahan Ki Taraf A Gya Bahar Thand B Bohat Thi.Unn Me Se Ik Pari Boli K Thand Kya Hoti Ha Sarmad Muskurane Laga Aur Bola K Apke Han Thand Nahin Lagti Aur Un Ki Rani Boli K Janab Yahan Na Raat Hoti Hai Na Din Na Garmi Na Sardi Aur Na Hi Neend Ati Ha .Sarmad Bara Hairan Huwa Aur Bola Ap Log Such Ki Pariyan Ho Ya Waise E Apna Bhes Badla Huwa Hai,...
To Be Continued.
Like And Comment For Next Part
 

ASIF KHAN NAWAB
About the Author: ASIF KHAN NAWAB Currently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.