Thoughs and feeling of foriegn people

(asma nahel, jeddah)

Ag Main Khuch Mukhtaleef Logo Ky Baray Main Bat Karo Gi Un Logo Kay Baray Main Jin Ka Tazkara Hamary Gharo Main Bohat Kam Hota Hai.Ghar Aik Jannat Hoti Hai. Ghar Wo Jannat Hai Jahan Maa Jaisi Azeem Hasti, Baap Jaisa Shafeeq Insan, Piyar Muhabat Karny Wale Behan Bhai Rehtaay Ho Aisi Jannat Main Kon Rehna Pasand Nhi Kareyga; Magr Is Dunya Main Aisay Log Bhi Magood Hotay Hai Jin Ko Bohaat Si Wajoohat Ki Binnah Per Ghar Jaisi Jannat Ko Chorna Parta Hai. Jannat Jesay Ghar Ko Chorna Parey To Kitni Takleef Hoti Hai Is Ka Andaza Wohi Krsakty Hai Jin Ky Uper Yay Guzarti Hai.Eid Jessay Mooqo Per Mujhe Shidat Sy Un Logo Ka Ihsas Howa Jo Log Apny Ghar Sy Dor Unky Bagair Eid Manaty Hai, Kiunky Main Khud Apny Bhai Sy Door Rehti Ho Mujhe Bakhobi Andaza Hai Ky Aisy Ghar Walo Sy Dor Rehna Kitna Mushkil Hai, Najany Kitni Maee Apny Bacho Ko Eid Per Glay Lagany Sy Mehroom Rehjati Hoti, Najany Kitny Baap Apny Beto Ky Sth Eid Per Sath Namaz Ada Kany Keliyay Taras Jaty Hogay. Boht Sy Log Yay Samjhty Hai Ky Bahir Rehny Waly Bohaat Pursukooon Zindigi Guzarty Haki Yay Baat Is Had Tak Sahi Bhi Hai Ky Logo Ko Bahir Aksar Wo Suhooliat Milti Hai Jo Anko Apny Mulk Main Nhi Milpati Per Apny Mulk Ghar Sy Door Rehna Is Sab Sy Zaida Taakleef Day Haota Hai Aur Zazori Nhi Har Koi Bilkul Achi Zindi Bhahir Guzary Aisy Bhi Log Hoty Haoi Jo Poray Din Mehnt Mazdori Ktary Hai Aur Phir Raato Ko Akele Unko Apna Ghr Kitna Yad Attay Hogay Apny Maa Ki Hatoo Ki Garam Rotia, Baap Ki Shafkat, Mulk Ki Meeti Ky Liya Wo Kitna Tarsty Hogay ,Wo Hum Nhi Soch Sakty Or Nahi Is Ka Andaza Karsakty Hai. Aisy Kitny Log Hai Joo Kai Saalo Sy Apny Mulk Nhi Ghai.Per Sawal Yay Hai Ky Wo Kon Si Wajohat Hai Jis Ki Binah Per Koi Bhi Insan Apny Mulk Ko Ghr Ko Chor Kiun Kisi Mulk Main Mehnt Kry On Sab Wajaohat Main Sab Sy Bari Waja Mujhe Lagti Hai Wo Hai 'Berozgari'. Agar Hamary Mulk May Berozgari Na Ho To Kitny Hi Logo Ko Apny Mastakbeel Sawarny Ky Lia Apni Zindigi Ki Gari Ko Chalany Kay Liyay Apna Watan Chorna Nhi Prega Hamaray Mulk Ka Mustakbel Yani Haamray Nojawan Agar Inhi Halat Sy Tang Akar Bahir Jany Ka Silsila Jare Krty Rahy, To Khud Bataye Mulk Ka Mustakbeel Kia Hoga Zara Sochiyae. 'Apni Duao Main Please Unlogo Ko Bhi Yad Rakhy Jo Apny Ghar Bar Sy Dor Hai Aur Hosaky To Unko Bhi Apni Khushiun Main Shamil Kigeyey'
 

asma nahel
About the Author: asma nahel Currently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.