Shab-e-Bara'at

(Chiraghdeen, Karachi)

Hazrat Ma’aaz Bin Jabal (R.A.) Sey Riwayet Hey Keh Jab Shabaan Ka Mahina Qareebul Khatam Hota Yani Ramzaan Ka Mahina Shuroo Honey Ko Hota Tau Rasool-E-Pak (S.A.W.) Ek Dua Manga Kertey They Jiska Mafhoom Kuchh Iss Tarah Hey; “YA ALLAH HAMEIN SALAMAT RAKH RAMAZAAN KEY LIYE, AUR RAMAZAAN KO SALAMAT RAKH HAMAREY LIYE AUR RAMAZAAN KI IBADAAT KO HAMAREY LIYE MAQBOOL BANA” (ALLAH Pak Kami Beshi Moaaf Ferma’ein). Hamein Bhi Chaheye Keh Yeh Dua Agar Kahein Sey Arbi Mein Mil Jaey Tau 15 Shaban Key Baad Rozana Iss Ko Parhein Aur Agar Arbi Wali Sahih Dua Na Mil Sakey Tau Urdu Mein Ya Apni Zabaan Mein Dua Ka Mafhoom Jokeh Ooper Likha Gaya Hey; ALLAH Pak Sey Mangein Takeh, ALLAH Pak Hamari Dua Ko Shaf-E-Qubooliyet Bakhshtey Huwey Na Sirf Yeh Keh Ramazaan Ka Mahina Hamein Ata’a Ferma’ein Balkeh Usmen Ziadah Sey Ziadah Ibadaat Kerney Ki Taufeeq Ata’a Ferma’ein. Aur Agar Khuda Nakhuwasta, Ramzaan Sey Qabl Hein Maot Aagai Tau Hamein ALLAH Pak Sey Yeh Ummeed Rakhni Chaheye Keh ALLAH Pak Hamein Baghair Ramzaan Mein Ibadat Kiye Huwe Ramzaan Mein Ibadat Kerney Ka Sawaab Ta’a Ferma’einge, Insha ALLAH.

Ek Aur Hadees Hazrat Ma’aaz Bin Jabal (R.A.) Sey Mervi Hey Jiska Mafhoom Yeh Hey Keh; “JIS MUSALMAAN NEY INN 5 RATON MEIN IBAADAT KO APNEY LIYE ZUROORI KER LIA TAU US MUSALMAN KEY LIYE JANNAT WAJIB KERLI JATI HEY – Wo 5 Ratein (Nights) Yeh Hein, Islami Saal Key Aakhri Mahiney ZIL HIJJAH Ki 8ween Shab, 9ween Shab Aur 10ween Shab, Yani 7 Aur 8 Ki Dermiani Raat, 8 Aur 9 Ki Dermiani Raat, Aur 9 Aur 10 Zil Hijjah Ki Dermiani Raat, Chothi Raat Hey, Eid-Ul-Fitr Ki Raat, Yani Mah-E-Ramzaan Key Akhri Din Aur Shawwal Ki Pehli Tareekh Yani Eid-Ul-Fitr Ki Dermiani Raat, Aur Panchween Shab, Shab-E-Baraat Yani 14 Aur 15 Shabaan Ki Dermiani Raat, (Inn 5 Raton Mein Jo Bhi Musalman Ibaadat Kareyga Khalis ALLAH Pak Ki Raza Key Liye Tau Usey ALLAH Pak Sey Yeh Ummeed Rakhni Cha’hiye Keh ALLAH Pak Usey Zuroor Jannat Mein Dakhil Ferma’ein’ge. Inn Raton Mein Ibadat Kerney Key Liye Koi Khas Tariqa Yak Has Naflein Ya Nafloon Ki Tadad Waghera Muta’ayyan Nahi Hey, 7 Zil Hijjah Ko Maghrib Ki Namaz Key Baad Sey Agley Roz Subhe Sadiq (Fajr Ki Azaan Sey Qabl) Tak Iska Time Hey, Isi Tarah, 8 Aur 9 Zil Hijjah, Ramzaan Key Akhri Rozey 29 Ya 30 Ko Maghrib Ki Azaan Key Baad Sey Aur 14 Shabaan Ko Maghrib Ki Azaan Sey Agley Roz Sub-O-Sadiq Tak, Puri Raat Ya Raat Key Kisi Hissey Mein Ibadat Ki Jasakti Hey, Chahey NAFIL NAMAAZ Perhein Ya Jo Namazein Zindagi Mein Reh Gai Hein Unki Qaza Perhein…Quran Shareef Ki Tilawat Karein, ALLAH Ka Zikr Yani Tasbihaat Parhein, Dars-E-Quran Aur Dars-E-Hadees Ki Mehfilein Attend Karein Waghera. Maghrib Ki Namaz Key Baad Sey Isha Ki Azaan Tak Masjid Mein Tanha Ibadat Ki Ja Sakti Hey, Isha Key Baad Masjid Key Bajaey Ghar Mein Infiradi Ibadat Karein, Ghar Ya Masjid Mein Ijtema’i Ibadat Ka Koi Suboot Nahi. Na Hi Yeh Keh Iss Raat Mein Aapney Itni Rakatein Parhni Hein, Pehli Rakat Mein Yeh Surah Parhni Hey Doosri Mein Yeh, Teesri Aur Chothi Mein Yeh……….Aisa Kuchh Nahi Hey, Aapki Merzi Jitni Chahey, Rakatein Parhein Aur Jo Bhi Surah Parhein Aapki Merzi, Ibadat Ka Maqsad Sirf Aur Sirf ALLAH Ki Raza Ho.

Shabaan Ki Iss 15 Ween Raat Mein ALLAH Pak Khas Taur Sey Apney Bando Ki Taraf Mutawajjah Hotey Hein Aur Tamam Musalmano Ki Maghferat Fermadete Hein Siwa-Ye Inn 2 Tarah Key Afraad Key: No. 1, Mushrik Aur No. 2 Keena Perwer Aur Bughzi; Yani Shirk Kerney Walon Ki Iss Raat Mein ALLAH Pak Ki Bakhshish Nahi Fermatey, SHIRK Ki Bhi 2 Qismein Hein, Ek Zahiri Shirk Jabkeh Doosra Khafi Yani Chhupa Huwa; Jo Musalman Kisi Makhlooq Ko ALLAH Ta’ala Key Saath Uski Zaat-O-Sifaat Mein Shareek Karey Keh Jo Kaam ALLAH Pak Ker Saktey Hein Wo Falan Shakhs Ya Falan Makhlooq Bhi Ker Sakti Hey, Yeh Shirk Hey Zahiri Aur Khafi Zhirk Wo Hey Keh ALLAH Ki Ibadat Riahkari Key Saath Karey, Yani Logon Key Dikhlawey Key Liye Ibadat Karey Tau Iss Khas Raat Mein ALLAH Pak Aisey Musalmano Ki Taraf Mutawajjah Nahi Hotey Aur Unki Maghferat Nahi Fermatey, Aur Aisey Musalmano Ki Taraf Bhi Tawajjoh Nahi Fermatey Keh Jo Apney Musalman Bhai Ka Bughz Ya Keena Dil Mein Rakhey Yani Agar Kisi Musalman Ney Usey Koi Nuqsaan Pohnchaya Hey Tau Usey Yeh Haq Hasil Hey Keh Wo Bhi Uss Sey Nuqsaan Key Baqadar Badla Leyley Ya Maf Kerdey, Lekin Agar Koi Iss Position Mein Nahi Keh Badla Lesakey Aur Usney Moaaf Bhi Nahi Kia Balkeh Apni Us Takleef Ko Dil Mein Rakhlia Keh Agar Mujhey Moqah Mila Tau Mein Usko Nuqsaan Pohnchaoonga Ya Agar Kisi Aur Zerye Sey Usey Nuqsaan Pohncha Tau Yeh Shakhs Khush Huwa Keh Achha Hey Isko Takleef Ho Yani Iss Shakhs Ney Uska Bughz Apney Dil Mein Rakha Tau Aisey Shakhs Ki Bhi Taraf ALLAH Pak Iss Raat Mein Mutawajjah Nahi Hotey Aur Wo Bhi Maghferat Sey Reh Jata Hey, Iss Liye Chahiye Keh Ya Tao Haath K Haath Badla Lelo Ya Phir Moaf Kerdo, Moaf Kerney Ko ALLAH Pak Pasand Fermatey Hein Aur Iss Per Bohot Ziadah Ajr Bhi Ata’a Fermatey Hein.

Ek Aur Hadees Mein Inn 2 Tarah Key Musalmano Key Alawa Kuchh Aur Tarah Key Musalmano Ka Bhi Zikr Hey Keh Jin Ki Taraf ALLAH Pak Iss 15 Ween Shab Mein Mutawajjah Nahi Hotey Aur Unki Maghferat Nahi Fermatey Wo Yeh Hein: (1) Wo Musalman Jo Keh Sharabi Ho Ya Kisi Bhi Qism Key Nashey Mein Mubtila Ho, Jaisey, Charas, Bhang, Heroin, Wilan, Ganja, Afyoon, Ya Kisi Bhi Tarah Ka Nashah, Ismein Dakhil Hey, (2) Aur Wo Musalman Jo Apni Shalwar, Pajama, Pant Ya Themband, Apney Takhno Sey Neechey Rakhtey Hein (Baaz Musalman Samajhtey Hein Keh Sirf Namaz Mein Takhney Khuley Honey Chahiyain, Yeh Soch Bilkul Ghalat Hey, Musalman Mard (Man) K Paoon Key Takhney Her Waqt Khuley Honey Chahiyain Jabkeh Musalman Auratoon Key Takhney Aur Paoon Ki Pindli Dono Aurat Key Satar Mein Daakhil Hein Aur Her Waqt Chhupi Huwi Hona Chahiyein. (3) Wo Musalman Jokeh Waldein Ka Naferman Hey Ya Dono Mein Sey Kisi Ek Ka Bhi Tau Aisey Shakhs Ki Taraf Bhi ALLAH Pak Rehmat Ki Nigah Sey Nahi Dekheinge Na Hi Uski Maghferat Hogi, (4) Qata-E-Rehmi Kerney Wala Yani Wo Jo Keh Apney Rishtey Daro Sey Nata Tor Ker Rakhta Hey,  Ab Hamein Chahiye Keh Iss Mubarak Raat Mein Jo Jald Hi Anewali Hey Uskey Liye Abhi Sey Tayyari Karein Aur Apney Aap Ko, Shirk Aur Kiney Sey Bilkul Pak O Saaf Kerlein Aur Agar Aisa Kuchh Hogaya Hey Tau ALLAH Pak Key Huzoor Ro Ro Ker Uski Ma’afi Mangein Takeh Aapka Naam Bhi Un Khush Naseeb Logon Mein Aagaey Keh Jinki Shaban Ki 15 Ween Shab Mein Maghferat Ki Jati Hey Aur Mazeed Hey Keh, Waldein Ki Nafermani Sey Bhi Bacho, Rishtey Daro Key Saath Sila-E-Rehmi Sey Paish Aao Yani Unsey Ta’alluqaat Na Torro, Paoon Key Takhney Hamesha Khuley Rakho, Her Qism Ki Nashey Wali Cheez Sey Apney Aap Ko Bachao, Hatta Keh Gutkey Sey Bhi Door Raho, Aur Isi Tarah Key Doosrey Barrey Gunahon Sey Bhi Apney Aap Ko Bachao, ALLAH Pak Amal Ki Taufeeq Ata’a Ferma’ein, Aameen.

Chiraghdeen
About the Author: Chiraghdeen Read More Articles by Chiraghdeen: 56 Articles with 190535 views Currently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.