Rozey Ka Bayaan - I

(Chiraghdeen, Karachi)

Bismilla-Hir-Rahma-Nir-Raheem
Hadees Shareef Mein Rozey Ka Bara Sawab Aya Hey Aur ALLAH Ta’ala Key Nazdeek Rozedar Ka Bara Mertaba Hey. Nabi Alaihis Salam Ney Fermaya Hey Keh Jis Ne Ramzan Key Rozey Mehez ALLAH Ta’ala Key Wasty Sawab Samajh Ker Rakhey Tau Uskey Agley Pichhley Sab Gunah-E-Saghira Bakhsh Diye Ja Ainge Aur Nabi Alaihis Salam Ney Fermaya Hey Keh Rozeydar Ki Mun Ki Badbu ALLAH Ta’ala Key Nazdeek Mushk Ki Khushbu Sey Ziadah Piari Hey. Qiamat Key Din Rozey Ka Behad Sawab Miley Ga. Riwayet Hey Keh Rozedaro Key Wastey Qiamat Key Din ALLAH Pak Key Arsh Key Neechey Dasterkhuwan Chuna Jaeyga Aur Rozeydar Us Per Beth Ker Khana Kha Einge Jabkeh Doosrey Log Abhi Hisaab Mein Hi Phansey Huwey Hoongey. Isper Who Log Kaheinge Keh Yeh Log Kaisey Hein Keh Kha Pi Rahey Hein Aur Ham Abhi Hisaab Mein Hi Phansey Huwey Hein, Unko Jawab Mileyga Keh Yeh Wo Log Hein Keh Jo Roza Rakha Kertey They Aur Tum Log Roza Na Rakha Kertey They.

Yeh Roza Bhi Deen-E-Islam Ka Bara Rukn Hey Jo Koi Ramzan Key Rozey Na Rakheyga Bara Gunahgar Hoga Aur Uska Deen Kamzor Hojaeyga.

Masla No. 1: Ramzan Shareef Key Rozey Her Musalman Merd, Aurat (Aaqil, Baaligh) Per Ferz Hein, Jab Tak Koi Uzr Na Ho Roza Chhorna Durust Nahi Aur Agar Koi Rozey Ki Nazer Karey Tau Roza Ferz Hojata Hey Aur Qaza Aur Kaffrey Key Rozey Bhi Ferz Hein. Nafil Rozey Agar Na Rakhey Tau Koi Gunah Nahi, Rakh Liye Tau Sawab Milega. Saal Mein 5 Din Roza Rakhna Haram Hey, Eid-Al-Fitr Key Roz, Eid-Ul-Azha Key Roz Aur 2, 3 Aur 4 Zilhijja Key Roz, Yani 1st Zilhijja Sey 4th Zilhijja Tak Lagataar 4 Din Aur 1st Shawwal Ani Eidul Fitr Key Roz. In 5 Dino Mein Agar Koi Roza Rakhey Ga Tau Sakht Gunahgar Hoga. (Ibadat ALLAH Pak Key Hukmo Ko Nabi Alaihis Salam Key Tareeqey Key Mutabiq Kerney Ka Naam Hey) Roza, Ibadat Kerney Ka Ek Tareeqa Hey, Jaisey Namaz Ek Tareeqa Hey Aur Hajj O Zakaat Hein; Jab ALLAH Pak Ka Hukm Aajaey Keh Roza Rakho Tau Ab Roza Rakhna Ibadat Aur Ba’is-E-Sawab Hey Aur Jab Yeh Hokum Aajaey Keh Inn Dino Mein Roza Na Rakho Tau Inn Dino Mein Roza Na Rakhna Ferz Hey Aur Baais-E-Sawab Hey.

Masla No. 2: Jis Waqt Sey Fajr Ki Namaz Ka Waqt Shuroo Hota Hey Iss Waqt Sey Leker Suraj Ghuroob Honey Tak Rozey Ki Niyet Sey Sab Khana Aur Peena Chhordey Aur Mian Biwi Ham-Bister Bhi Na Hoon Tau Shariyet Mein Isko Roza Kehtey Hein.

Masla No. 3: Zabaan Sey Niyet Kerna Aur Kuchh Kehna Zuroori Nahi Hey Balkeh Dil Mein Yeh Dhiyaan Hey Keh Aaj Mera Roza Hey Aur Din Bher Na Kuchh Khaya Na Pia Aur Na Ham Bistari Ki Tau Uska Roza Hogaya Aur Agar Koi Zaban Sey Bhi Kehdey Keh Ya ALLAH Mein Kal Roza Rakhonga Ya Rakhongi Ya Arbi Mein Kehdey (Wa Be Som-E-Ghadin Nawaito Min Shahr-E-Ra,Azan) Ramzan Key Ferz Rozey Ke Liye Aur Ghair Ramzan Ka Nafli Roza Hey Tau Sirf (Wa Besom-E-Ghadin Nawait) Som Key Mani Roza, Ghadin Yani Anewala Din, Nawait Key Mani, Niyet Kerta Hoon Ya Kerti Hoon. Yani Agar Zaban Sey Adaigi Bhi Kerley Tau Bhi Behter Hey, Warna Tau Dil Key Iradey Ka Naam Hi Niyet Hey.

Continuing On Rozey Ka Bayan – Ii…………………

Chiraghdeen
About the Author: Chiraghdeen Read More Articles by Chiraghdeen: 56 Articles with 190251 views Currently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.