Tawheed , Hum Aur Mazahib-E-Batala

(Zonaira Yousaf, )

Ye Khna Galat Hai Ky Hindu ALLAH Ky Munkar Hain.Hindu Sirf Aik ALLAH Ko Maanty Hain.Ye Alag Baat Hai Ky Wo ALLAH Ko Kissi Doosry Naam Sy Yaad Krty Hain For Example Inn Ki Mashoor Mazhabi Tasneef ""Bhagwat Geeta''''mein ALLAH Ko ''''Wishnoo'''' Ka Nam Diya Gaya Hai Iss Ko Tamam Ayoob Sy Paak , Hr Cheez Ka Maalik , Nagraan Aur Fanaa Krny Wala Qarar Diya Gaya Hai.Issi Ko Mazloomoun Ki Jaye Panah Aur Haqq Ky Mutlaashiyoun Ki Munzil-E-Maqsood Qarar Diya Gaya Hai Lakin Inn Ka Ye Aqeeda Hai Ky Wishnoo Autaaroun Ki Shakl Mein Zameen Par Zahir Hota Hai For Example Inn Kky Mutaabiq ''''' Narsingh''''' Iss Ka 4th ''''Raam Chundar Jee''''' 7th Aur '''''Karishun Jee Maharaaj'''' Autaar Number 8 Hai.Baqool In Kky Wishnoo Muhtalif Waqtoun Mein Muhtalifd Shakloun Mein Zameen Par Zahir Hota Hai.Bilkul Issi Tarah Jiss Tarah Aj Ky Musalmaan Bhi Khny Lagy Ky

Wohi Jo Mustaa'wi-E-Aar'sh Tha KHUDA Ho Kr
Utar Para Madiny Mein Mustafa Ho Kr
(Astaghfaar)

Hindu Aaqaaid Ky Mutaabiq Inn Buzargoo Ki Ibaadat Fil'haqeeqt '''''Wishnoo'''' Hee Ki Ibaadat Hai Is Tk Raasai Haasil Krny K Liye Inn Dewtaaoun Ko Khush Krna Laazim Aur Zarori Hai Warna Kahan Wishnoo Aur Kahan Ye Insaan Khaaki..........

Issi Atrah '''''GOTUM BUDH''''' Ky Butt Daikhiye Inn Ka Aqeeda Bhi Hindu Aqeedy Sy Milta Haibs Naamoun Ka Farq Hai..........

Ye Khna Galat Hai Ky Butt Parast Loog Buttoun Ki Pooja Krty Hain Wo Log Bhi Pathar Ko Pathar Hee Jaanty Hain Agr Patharoun Ki Poja Maqsood Hoti Toh Wo Paharoun Ki Pooja Krty Jahan Baray Baray Pathar Hoty Hain Aur Wo Roads Py Pathar Istamaal Kr Ky Patahr Ki By-Hurmaati Na Krty Magr Pathar Ko Jb Kissi Qaabil-E-Ahtaraam Buzurg Shahsiyat Sy Munsoob Kr Ky Laya Jata Hai Toh Phir Iss Pathar Ka Ahtaraam Krna Aur Iss Ki Pojja Krna Wo Farz Samjhty Hain Wo Inn Bazrgoun Ki Pooja Krty Hain Jiss Sy Wo Pathar Ya Lkri Ka Butt Munsoob Hota Hai Maqsood Butt Nahin Balky Buzurg Ki Zaat Hoti Hai Butt Ka Poojaari Duniya Mein Koi Nahin Balky Pooja Buzurg Ki Maqsood Hoti Hai........

Yehi Haal ''''''YAHOOD-O-NASAARA''''' Ka Hai Innhoun Ny Ambiya (Nabiyoun) Ko Aloohiyat Ky Darjaa Par Faa'iz Kiya Yaahodiyoun Ny Hazret UZAIR A.S Ko Aur Aysaaiyoun (Christun) Ny Hazret MASEEH A.S Ko (Astaghfaar) KHUDAI Ky Darjaa Tk Pohunchaya Aur (Astaghfaar) KHUDA Ka Beta Kaha Inn Mein Azaab-E-Ilaahi Sy Mehfooz Hony Ka Tasawur Paaya Jat Hai Innhoun Ny Ambiya Py Ilzaamaat Lagaye KHUDA Ki Shaan Mein Gustakhiyaan Ki Apni Kitaab Mein Tahreef Ki Haq Ko Chupaya Ambiya Ka Qatal Kiya Butt Parasti Nasli Tafahur Wada Khilaafi Aur Haraam Khana Jaisi Buraaiyaan Mojaad Thin...........

Ulmaa Khty Hain Ky Makkah Ky Kafaar-O-Mushrakeen ALLAH Ky Munkar Thy Aur Apthar Ky Buttoun Ko (Astaghfaar) KHUDA Maan Kr Pojja Krty Thy Iss Sawal Ka Jawaab Bhi Quraan Mein Hai Jub ALLAH Ny NABI PAAK Ko Hukam Kiya Ky Inn Sy ALLAH Ky Baray Mein Chund Sawal Karein Aur Inn Sy Jo Jawab Mutwaqoo Tha Wo Bhi Naqal Kr Diya Farmaya

''''''''Aur Koi Shak Nahin Agr Ap Inn Sy Pochain Ky Aasmaano Aur Zameen Ko Kiss Ny Paida Kiya Aur Kiss Ny Shams-O-Qamar Ko Toh Ye Forun Kahein Gain: ALLAH NY! PUSS YE KAHAN HAIN?ALLAH APNY BUNDOUN MEIN SY JISS KY LIYE CHAHTA HAI RIZQ KUSHAADA KRTA HAI,AUR TUNG KRTA HAI BESHAK ALLAH HRR CHEEZ KO JAANTA HAI AUR AGR AP IN SY POCHAIN KU KISS NY ASSMAAN SY PAANI NAZIL KIYA PHIR KISS NY ZAMEEN KI MOUT KY BAAD ISSAY ZINDA KIYATOH WO ZAROOR KAHAIN GAIN ALLAH NY TOH AP KH DIJIYE SB TAREEF ALLAH HEE K LIYE HAI LAKIN INN KY AKSAR BY'AQAL HAIN''''''''''

(AL-ANKAABOOT)

PHIR FARMAYA

'''''''''(AY NABI!) KH DIJIYE : TMHY AASMAAN AUR ZAMEEN SY KON RIZQ BYHUM POHUNCHATA HAI YA QUWAT-E-SAMAAT-O-BASAART KA MAALIK KON HAI AUR ZINDA SY MURDA AUR MURDA SY ZINDA KO KON NIKAALTA HAI?AUR WO KON HAI JO KAAMOUN KI TADBEER KRTA HAI?TOH WO ZARROR KAHAIN GAIN: KY ALLAH! KH DIJIYE:KYA PHIR BHI TM DARTY NAHIN? '''''

(LUQMAAN

''''''INN SY KAHIYE KY AGAR TM KO KUCH ILM HAI TOH BTAO KY ZAMEEN AUR ISS KI SAARI ABAADI KISS KI HAI? TOH YE ZAROOR KAHAIN GAIN: ALLAH KI ! KAHO PHIR TM HOOSH MEIN KYUN NAHIN AATY ? INN SY POCHO SAATO AASMAANO AUR AA'RSH-E-AZEEM KA MAALIK KON HAI? YE ZAROOR KAHAIN GAIN : ALLAH !KAHO PHIR TM DARTY KYUN NAHIN ? INN SY KAHO BATAO AGAR TM JAANTY HOKY HRR CHEEZ PRR IQTADAAR KISS KA HAI AUR KON HAI JO PANAAH DAITA HAI AUR ISS KY MUQABLY MEIN KOI PANAAH NAHIN DY SKTA ? YE ZAROOR KAHAIN GAIN KY YE BAAT TOH SIRF ALLAH HEE K LIYE HAI KAHO PHIR KAHAN SY TM KO DHOKA LGTA HAI?

(AL-MOOMINOON)

INN Aayaat Ko Parhny Sy Ye Baat Saaf Samjh Mein Aati Hai Ky Kafaar Makkah Aasmaan-O-Zameen Ka Khaliq , Shams-O-Qamar Ko Pabund-E-Zaabta Krny Wala , Rizq Dyny Ky Elawa Iss Mein Kaami Baishi Krny Wala , Hrr Cheez Ka Kaamil Aur Mukaamal Ilm Rakhny Wala , Aasmaano Sy Paani Naazil Krny Wala , Iss Sy Murjhai Zameen Ko Jalaa Bakhshany Wala , Maalik-E-Quwatt-E-Samaat-O-Basaart , Zinda Cheez Sy Murda Aur Murda Sy Zinda Paida Ko Paida Krny Wala , Zameen Auur Iss Ky Undar Ki Hr Cheez Ka Maalik , Saath Aasmaano Aur Arr’sh-E-Azeem Kaa Maalik Jiss Ky Dast-E-Qudrt Mein Hr Cheez Hai , Hr Kissi Ko Panaah Dyny Wala , Aur Wo Jiss Sy Koi Bhi Kissi Ko Panaah Nae Dy Skta , ALLAH Hee Ko Maanty Hain. Issi Tarah Jiss Tarah Aj Mein Aur Aap Maanty Hain Balky Quraan Paak Mein Hum Ye Daikh Kky Heeraan Ho Jaty Hain Ky Wo Dua’ien Bhi Issi Aik ALLAH Sy Maangty Hain Jiss Sy Mein Aur Ap Mangty Hain.

‘’’’’’Aur Jub Innhoun Ny Kaha :AY HAMARY ALLAH ! AGAR YE (QURAAN) TERI TARAF SY WAQAI HAQQ HAI TOH HUM PARR AASMAAN SY PATHAR BARSAA DY YA KOI DARDNAAK AZAAB HUM PAR LY AA’’’’’’’

(AL-ANFAAL)

‘’’’’’’’’’’’AUR KHTY HAIN KY AY HAMAARY PARWARDIGAAR ! HAMARA HISSA YOAM-E-HISAAB SY QABAL HUM KO DY DAAL’’’’’’’’’’’’’

(AL-QURAAN)

YE BAAT BHI AJAB Hai KY AIK QOAM Hrr Cheez Ka Khaliq Aur Maalik Bhi Hamari Tarah ALLAH Hee Ko Maany Aur Hrr Mushkil Waqt Par Duaa Bhi Ussi Sy Karay Jiss Ky Saamny Hum Krty Hain Phir Bhi Hamein Iss Qadr Dawa-E-Musalmaani Ho Aur Wo Kaafir Qaraar Paaye Iss Qoam Sy Baar Baar Kaha Jaye ‘’’’’’’’’’’’TUM KAHAN GHOAM RAHAY HO’’’’’’’’ ,,,,,’’’’’’INN MEIN SY AKSAR BY-AQAL HAIN’’’’’’’,,,,,,’’’’’’KYA TUM DARTY NAHIN HO’’’’’’’’,,,,,,’’’’’’’INN MEIN SY AKSAR BY-ILM HAIN’’’’’,,,,,,,’’’’’’’’KYA TUM NASIHAT NAHIN PAKARTY HO’’’’’’,,,,,,’’’’TUM KISS DHOKAY MEIN PARAY HUAY HO’’’’’’ WAGAIRA WAGAIRA ISS Uljhun Ko Bhi QURAAN Pak Ny Dooar Farma Diya

‘’’’’’’WO ALLAH KY SIWA INN LOGOUN KI IBAADT KRTY HAIN JO INN KO NUQSAAN DY SKTY HAIN NAA FAAIDA AUR WO KHTY HAIN KY YE ALLAH KY HAZOOR HAMARI SIFAARISH KRTY HAIN AY NABI INN SY KAH DIJIYE : KYA TUM ALLAH KO AASMAAN-O-ZAMEEN KI INN CHEZOUN KI KHABAR DY RAHAY HO JISS KA ISS KO ILM NAHIN ALLAH PAAK AUR BULUND-O-BAALA HAI ISS CHEEZ SY JO YE SHIRK KRTY HAIN’’’’’’’’’’’’

(YOUNUS)

ISS Ayat Mein Unn Logoun Ka Kasoor Bata Diya Gaya Hai Aur Wo Ye Hai Ky ALLAH Ky Haan Kisi Foat Shuda Buzurg Ki Rooh Ko Pukaara Jaye Ky Wo Sifaarish Karay Issi Ko ALLAH Ny Shirk Qaraar Diyaa Hai Iss Mazmoon Ko Iss Tarah Bhi Waziha Kiya Gaya Hai ‘’’’’’’’Jinn Logoun Ny ALLAH KY SIWAA DOSROUN KO WAALI BANA RAKHA HAI (INN KI BAABAT WO KHTY HAIN KY) HUM INN KI BUNDAAGI ISS LIYE KRTY HAIN KY YE HAMAIN ALLAH KY QAREEB KR DAIN’’’’’’

(AL-ZUMR)

Quraan Parhny Sy Ye Baat Waziha Ho Jaait Hai Ky Kafaar-E-Makkah Bhi Hinduoun Ki Tarah Aik ALLAH Ky Munkir Nahin Thy Balky Wo Issi Su Dua’ien Maangty Thy Magr Iss Ky Saath Saath Buzurgoun Ki Ibaadt Bhi Krty Thy Yaani Inn Ki Nazr-O-Nayaaz Aur Charhaawy Bhi Daity Thy Inn Ky Naam Ky Wazifaay Bhi Krty Thy Ky Inn Ki Rohoun Ko Khush Kr Liya Jaye Toh Ye Hamaari Sifaarish Krty Hain Aur Qurb-E-Illahi Ka Zariya Hain Warna Kahan ALLAH Aur Kahan Ye Aadm-E-Khaaki Buss Ye Tha Farq Aur Ye Tha Jhagraa

Zara Ghoar Karain Toh Aj Hum Musalmaan Kiss Haalat Mein Hain………..Mizaroun Py Jaa Ky Dua’ien Krna Aur Unn Ky Samny Haath Uthan Sai Hai Kya????

Mizaaroun Py Sirf Fatiha Kawaani Ki Niyat Sy Jaya Jaye Toh Beshak Sawaab Ka Kaam Hai Lakin Lakin Unn Buzargoun Ko Mafooq-Al-Fitret Taaqtoun Ka Maalik Samjh Kr Pukaarna Sai Nahin

Iss Baaray Mein Ye Logic Dii Jaati Hai Ky ALLAH Ky Naik Bundaay Thy Iss Liye Unn Ki Dua’ien Qabooal Hoti Hain Beshak Wo Naik Insaan Thy Lakin Ubb Toh Wo Wafaat Paa Gaye Bb Toh Wo Apni Jaan Py Bhi Ikhtiyaar Nahin Rakhty Toh Hamaari Kaaisy Sunn Sakty Hain

Dua Dosroun Sy Krwana Bhi Iss Condition Mein Useful Hoti Hai Jub Ap Khud Bhi Karain Aur ALLAH Ka Izun Bhi Ho Ji Buzurg Foat Ho Jaien Inn Ky Liye Toh Hum Zindoun Ko Dua Krni Chahiye Khud Dua Karny Aur Zinda Buzurgoo Sy Dua Krwany Ka Aaqeeda Durust Hai Ye Sahaba Karaam Mein Bhi Tha…….Lakin Ap Khud Sochiye Ky Mizaroun Py Jaa Ky Joo Kiya Jata Hai Kya Wo Sai Hai????????

Moulana Haali Ny Kya Hoob Kaha Hai

Kary Gair Agar Butt Ki Pooja Toh Kaafir

Jo Tehraye Beta KHUDA Ka Toh Kaafir

Kahay Aag Ko Apna Qibla Toh Kaafir

Kawakib Mein Maany Karishma Toh Kaafir

Magar Mominoo Parr Kushaada Hain Raahain

Parsaatish Karain Shoaq Sy Jiss Ki Chahein

Nabi Ko Jo Chahein KHUIDA Kr Dikhayein

Amamoun Ka Rutbaa Nabi Sy Barhaien

Mazaroun Py Din Raat Naazraain Charhaaien

Shaheedoun Sy Ja Ja Ky Maangain Dua’ien

Naa Toheed Mein Kuch Khalal Iss Sy Aye

Na Islam Bigry Na Emaan Jaye

ALLAH Hum Sb Ko Zaahri Aur Baatni Shirk Sy Mehfooz Farmaye Aur Aamaal-E-Saaliha Ki Tofeeq Aata Kary Aur Hamari Tooba Ko Qabool-O-Munzoar Farmaye Ameen.

Author ZONAIRA YOUSAF (M.A ALOOM-AL-ISLAMIA PUNJAB UNIVERSITY)

 

Zonaira Yousaf
About the Author: Zonaira Yousaf Read More Articles by Zonaira Yousaf: 4 Articles with 7173 views I hold a degree in uloom-al-islamia from punjab university... View More