Add Poetry

ARZOO

Poet: RIDA AMANAT By: RIDA AMANAT, khanewal

Me Kitni Duaoon’me Kitni Aahoon
Ki Manzaloon Ko Aboor Kr K
Phely Phely Se Rastoon Ki
Dorion Ko Dor Kr K
Tery Dar Pr
Aa Gaya Haoon
Bulandion Ko
Me Pa Gia Haoon
Me Chomta Hoon Dar Ki Chokhat
Zarry Zarry Se Ashna Hoon
Wajood Apna Snwarta Hoon
Ashq Apny Bkherta Hoon
Jo Tery Mdar Me Ghomta Hoon
Me Khud Me Khud Ko Hi Dhonta Hoon!
Me Hath Bandhy
Kharra Adab Se
Pas Rozy K
Mangta Hoon`Dekhta Hoon
Shahy Arz-O-Sma Ka Prda
Kesy Chala Ja Rha Hai Uthta
Nazr Me Sma Rha Hai
Chamkta Dmakta Sa’norani Chehra
Kuch Aisa Mehsoos Ho Rha Hai
Sokhy Se Phool Ko Koi Jesy
Aa K Khusbo Se Bhar Gia Hai
Ujry Ujry Chaman Ko Jesy
Hra Bhra Koi Kr Gia Hai
Me Mast Rahoon Pe Chal Pra Hoon
Me Un Ke Dar Pr Gira Pra Hoon
Mujy Zmana Sara’kabhi Nhi Ab
Utha Ske Ga’hila Ske Ga
Me Apni Rehti Hovi Zindagi Ko
Yaheen Pe Reh Kr Guzar Doon Ga
Snwar Loon Ga
Jidhar Jidhar Ko Nazrain Utha K Dekhoon
Husn-E-KHUDA Ko Dekhoon
Jmal-E-MUSTFA Ko Dekhoon
Yahaan Rehmtoon Ka Mela Laga Hova Hai
Bhar Rha Hai
Kashkol Sb Ka
Ik Aisa Data’k Jis Ki Shahi
Farsh Ta`Arsh Ho Rhi Hai
Diloon Ki Sadion Ki Tashngi Bhi
Bujha Rha Hai
Ik Aisa Saqi
K Jis Ki Rehmat Ka Aik Qatra
Diloon Pe Girta Hai Bn K Dria
Me Ab To Yahaan Pr Pra Hova Hoon
Magar !!
Ae Mery AQA!
Ye Meri Iltija
To Hi Mujhy Bta
K Sansein Jb Sath Chor Jaen
Dam Toor Jaein
Me Bad`Az Hiyat
Tujh Ko Pa Sakoon Ga!!
Me Umr-E-Rwaan Ka Safar Par Kr K
Kia Tery Dar Pe Phir Aa Sakoon Ga
 

Rate it:
Views: 296
23 Jan, 2012
More Religious Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets