(Talha Wajid, Lahore)
Pakistan Ek Aisa Mulk Jis Ko Islam K Nam Py Hasil Kya Gya Mehaz Ek Zameen Ka Tukara Nai Ha.Wasif Ali Wasif Kya Behtreen Anzdaz Ma Pakistan Ki Ehmiyat Ko Biyaan Kiya Ha K "Pakistan Noor Ha Aur Noor Ko Zawal Nai".Kisi Qoam Ko Barbaad Krna Ho To Us K Heroes Ki Ehmiyat Diloon Ma Khatm Krdo Ya Un K Mutaliq Gumrah Kr Do Bagair Hathiyar Wo Qoam Tabah Ho Jay Gi.Aj Kal Bohat Gumrahi Ha Allama Iqbal Sy Mutaliq B Aur Quaid Sy Nutaliq B Kabhi Kaha Jata Ha Quaid Sy Zyada Gandhi K Statue Ha Bahir K Mumaliq Ma Aur Kabhi Kaha Jata Iqbal Ki Shairi Angrezoon K Kehny Par Hoti Thi.Mujhy Smjh Naia Ti K Ma Is Baat Par Gussa Kroon Ya Hasoon Jahaan Tak Baat Ha Quaid K Statue Ki To Quaid Ka Har Qirdar Sy Tha Aur Qirdar Ko Kisi Statue Ki Zaroorat Nai Aur Bahir K Wo Log Kya Sochty Hain Quaid K Mutaliq Dekhty Hain: 1: “Few Individuals Significantly Alter The Course Of History. Fewer Still Modify The Map Of The World. Hardly Anyone Can Be Credited With Creating A Nation-State. Mohammad Ali Jinnah Did All Three.” | Stanley Wolpert 2:'' Although Without Gandhi, Hindustan Would Still Have Gained Independence And Without Lenin And Mao, Russia And China Would Still Have Endured Communist Revolution, Without Jinnah There Would Have Been No Pakistan In 1947 '' | John Biggs-Davison Aisi Ek Do Batein Nai Bohat Hain Ilfaz Kam Par Jayien Gy Batein Nai Khatm Hoon Gi.Ab Baat Krty Hain Allama Iqbal Ki Iqbal Ki Shairi Na Kisi K Kehny Py Nai Thi Balky Pakistan Ka Wazeha Plan Iqbal Ki Dain Tha. "Ek Dafa Allama Iqbal K Ek Dost "FAQEER NAJAM UL DIN" Un Sy Milny Ay To Dekha Iqbal Zaro Qatar Ro Rhy Hain Rony Ka Sabab Poocha To Iqbal Ny Ek Khat Agy Barha K Diya Faqeer Sahab Ny Kaha Is Ma Rony Wali Kya Baat Ha Ye To Fakhar Ki Baat Ha K Bairooni Duniya Ma B Ap Ki Shairi Ka Dhanka Bajny Laga Ha Iqbal Ny Farmaya:Rona B To Is Baat Ka Ha K Jis Qoam K Liyee Ma Ny Ye Likha Ha Wo Meri Shairi Ko Smjhna To Door Ki Baat Parh B Nai Skti Aur Gair Muslim Mry Paigam Apni Qoam Tak Pohanchaty Hain." Ma To Bas Itna Janta Hoon K Jis Shaks K Dil Ma Musalmano Ki Liye Is Kadar Tarap Ho Wo Galat Ho Hi Nai Skta.Ye Log Hamara Asaasa Hain In Ki Qadar Krien Aur Gumrahi Sy Bachein Aur Apny Mulq K Liye Musalmano K Liye Kuch Acha Karien.