Zindagi

(B.B, Islamabad)

Zindagi Rab E Kareem Ki Di Hoi Ak Naimat Hai. Ak Asa Tohfa Jis Ko Sahi Tareeqy Sy Guzarna Hmara Farz Hai.

Main Ny Amooman Dekha Hai K Log Zindagi Ko Jeena Chahty Hain Magar Sirf Khushion K Sth K Koi Gham Na Na Aye Hmari Zindagi Main. Magar Main Sochti Hn Kia Barish K Bgair Asman Par Kos E Kazah Namodar Ho Sakti Hai. Barish K Bad Halki Dhop Sy Ye Rang Bikharty Hain.. Zindagi Ko B Isi Tareeqy Sy Dakhna Chaheye Jesy Barish Gham Or Khushi Dhop... Gham K Bad Khushi Aye Gi To Tab He Zindagi Main Rang Hn Gy Ronak Ho Gi Skoon Ho Ga. Allah Ny Hmen Zindagi Di Or Faisla Ham Par Chora K Ham Isko Kesy Guzarty Hain. Phir Ham Ny Dekha K Har Insan Dosry Insan Sy Alag Zindagi Guzar Raha Hai Jahan Chah Raha Hai Apni Zindagi Ko Us Rukh Ki Traf Mor Raha Hai.

To Main Ny Kaha K Zindagi Ak Naimat Hai Allah Ki Di Hoi.. Ap Janty Hain Ye Sb Bten Krny K Bawajod Main B Kbhi Kbhi Zindagi K Matlb Ko Nahi Smj Pati The.. Mjy Lgta Tha Zindagi Main Sirf Khushian Honi Chaheye... Main Ny Khushian Dakhi B Bht Be Hisaab Jitna Shukar Karu Utna Kam Hai.. Par Wo Zindagi Ki Kos E Kazah Ka Mtlb Mjy Tb Smj Aya Jb Main Ny Dukhun Or Khushion Ko Sth Sth Chalty Chalty Dakha Phir Zindagi Main Woh Skoon Nzar Aya Jo Akeli Khushian Na Dy Pati.

Zindagi Kesy Guzarni Hai Ye To Sb Janty Hain...Par Zindagi Sy Mutmain Kesy Hona Hai Ye Har Koi Ni Jan Pata. Har Insan Ko Zindagi Sy Koi Na Koi Gila Zror Hota Hai K Zindagi M Hmen Ye Chez Ni Mili.. Agar Dakha Jaye K Agar Sab Chezain Dy Di Jati To Kia Ham Allah Ko Yad Krty? Us Sy Kuch Mangty? Bilkul Nahin Ham Us Ko Bhool Jaty... M Aksar Sochti Hn Asi Khushi Jo Hmen Allah Ki Yad Sy Gafil Kr Dy Sy Gham Acha Jo Hmen Allah Sy Door Na Hony Dy...
 

B.B
About the Author: B.B Read More Articles by B.B: 5 Articles with 3207 viewsCurrently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.