fantacy aur PAKISTAN

(B.B, Islamabad)

Fantacy K Bary Main To Apko Maloom He Hoga. Google Sy Definition Search Ki To Pta Chla Fantacy Ksi Na Mumkin Cheez Ka Tasawwar Karny Ko Kaha Jata Hai. Kuch Logu Ko Fantacy Main Rehna Bht Acha Lgta Hai Jesy K Main Khud.. Kuch Dostun Ny Kaha K Fantacy Main Rehny Waly Log Asli Zindagi Ko Face Ni Kar Paty To Main Ny Socha Is Mutalliq Ksi Bary Sy Posha Jaye To Main Ny B Posh Lia...

Poshny Par Pta Chala K Fantacy Main Rehny Waly Do Kisam K Log Hoty Hain.. 1. Sirf Cheezun Ka Tasawar Krna Imagination Krna.

2. Tasawur K Sth Determintion Peda Krna Or Fantacy Ko Haqeeqat Main Badalna.

Pahly Log To Mjh Jesy Jo Imginations Main Rehna He Kafi Smjhty Hain Or Dosry Wo Jo Imagination K Sth Determine B Rehty Hain Or Apna Maqsad Hasil Krty...

Dosry Kisam K Logu K Misal Ye Di Gai K Dekho PAKISTAN Kia Hai ALLAMA IQBAL Ki Imagination Or QUAID E AZAM Ki Determination... To Dmag Dang Reh Gya ALLAH Main Ny Kbhi Asy Q Ni Socha...

To Fantacy Main Rehna Bht Acha Hai... Mgar Fark Tb Parhta Hai Jb Ham Koi Goal Set Kren Usko Imagine Kren Or Jb Tak Mukammal Na Ho Peechay Na Hatain. Jesy K Hmara Qayamat Tak Kaim Rehny Wala PAKISTAN Ak Hmary Rahnumaon Ka Azeem Goal Or Azeem Achievment.. ALLAH Hmen B Apny Mulk K Lye Kuch Krny Ki Tofeeq Ata Farmaye.

PAKISTAN ZINDABAD
 

B.B
About the Author: B.B Read More Articles by B.B: 5 Articles with 2851 viewsCurrently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.