Huqumuraan
(Noorin Shafa, islamabad)
Aj Kal Mary Zahan Mai Ya Khayal
Bar Bar Arha Hai Ka Mai Urdu Lugat Khool Kr Ak Nazar Siyasat Kai Haqeeqi Maanuon
Par Daalu.Que Kai Jo Matlab Hamary Mulki Siyasat Ko Dakh Kar Aor Ird Gird Nigah
Dalny Sai Samajh Mai Ata Hai Wo Kisi Musbat Lafz Kai Maanoun Mai Shumar Tu Nhi
Kya Jasakta.Aj Kal Hamary Huqumuranon Nai Siyasat Ko Billi,Chuhy Ka Khail
Banadiya Hai.Yai Phr Ak Cricket Match Kai Kisi Bhe Tarha Sai Mukhalif Team Ko
Out Krna Hai Aor Har Mumkin Koshsh Krni Hai Kai Apny Hath Mai Huqumat Aor Mulki
Ikhtiyarat Ka Bat Thaamy Mukhalif Team Ki Taraf Sai Aaty Huay Siyasi Sazishon
Kai Ballo Pai Choky Dai Mary Jo Un Ki Jalti Pai Mazeed Taail Ka Kaam Kry.Aj Kal
Huqumuran Isi Asool Pai Amal Krhn Hn Kai Beta,Agr Kursi Hamy Nhi Mili Tu Tmhy
Bhe 5 Saal Sakun Sai Haqumat Krny Nhi Dangy.Jub Mai Ny Apny Intihae Masruf
Siyasatdanon Kai Af,Aal Par Kuch Dair Goor Kya Tu Yai Nateejy Samny Ayan Kai
Hamary Siyasatdaan Tu Waqae Mai Kafi Masruf Hn.Belkhasus Wo Siyasatdaan Jo
Election Mai Haary Hn ,Un Sai Bhe Ziyada Masruf Hn Jo Election Jeet Kr Apni
Taweel Arsy Ki Jadojehed Ka Phal Paa Chuky Hn.Que Kai Unhon Nai Apny Jeety Huey
Hareefon Ko 5 Saal Chain Sai Kursi Pai Hakumat Thodi Krny Daini Hai.Naye Naye
Mansuby Banany Hn Kai Kis Tarha Huqumat Pai Dabao Daaly.Kya Kya Krny Sai Awaam
Kai Andar Haqumat Kai Lya Baiyaqeeni Aor Adam Aaitimaat Paida Ho.Aor Dosri
Taraaf Hamary Jeety Huay Siyasatdanon Ko Election Jeetny Kai Baad Dakh Kar Asa
Lagta Hai Kai Un Ki Zindagi Ka Pahla Aor Akhri Maqsaf Kisi Na Kisi Tarha Sirf
Kursi Tak Pohonchna Tha . Ab Kursi Tak Phnchny Ka Baad Agy Ki Mansuba,Bandi
Shayad Zaruri Na Samjhi Ho Ya Phr Baad Kai Lya Chod Diho Kai Kis Tarha Mulk Ko
Sambhalna Hai,Aor Kis Tarha Curruption,Mahangae,Badanwani Kai Samandar Mai
Phansi Mulk Ki Ladakti Hue Kashti Ko Kinary Tak Phnchana Hai ,Is Bary Mai Soch
Kar Shayad Apny Aap Ko Phalhal Zahni Dabao Ka Shikaar Nhi Krna Chahty Ho.Chahy
Siyasatdaan Hamary Mulk Kai Ho Yai Phr Dosry Mumalik Kai Apny Hareefon Kai Lya
Nazeeba Alfaaz Ka Istimaal,Ilzaam Tarashi,Galam Galooch Har Siyasatdaan Kai
Siyasat Ka Aham Asul Banchuka Hai Yai Phr Yai Kaha Jaye Kai Siyasat Ka Matlab Hi
Yai Ban Chuka Hai.Shayad Pahly Kisi Zamany Mai Siyasat Kai Maidan Mai Qadam
Jamany Ka Lya Taleemi Qabiliat Ka Hona Zaruri Samjha Jata Hoga Lakin Aj Kal Ki
Siyasat Ko Daikh Kar Yai Andaza Lagaya Jasakta Hai Kai Bandy Ko Ziyada Sai
Ziyada Mou Phat Aor Hazir Dimagi Ka Sath Mukhalifeen Kay Eent Ka Jawab Pathar
Sai Daina Janta Ho.Ab Tu Allah Hi Hamary Mulk Ki Hifazat Kry Lakin Kin Sai.Maana
Kai Hamara Mulk Anduruni Aor Bairuni Dono Qisim Kai Dushmanon Kai Sazishon Ka
Shikar Hai Lakin Mary Nazdeek Hamary Mulk Ka Lya Sub Sai Ziyada Nuqsaan Ka Bayis
Yahi Hukumuran Aor In Kai Naye Hakumati Aasul Hai Lihaza Puri Dua Yahi Krungi
Kai Allah Hamry Mulk Ko Andoruni ,Bairuni Aor Belkhusus Hamary Hukhumuranon Kai
Shar Sai Hamary Mulk Ki Hifazat Kry.AMEEN.Ab Hamary Mulk Mai Kaafi Arsy Sai
Mujhud Is Asool Kai Mutabiq Awaam Ka Zikar Bhe Akhir Mai Hi Karungi Jis Asool
Kai Mutabiq Awaam Sub Sai Akhri Category Mai Shaamil Hoty Hain.Hamary Mulk Mai
Huqumurano Ko Awal Tu Awaam Ki Yaad Belkul Nhi Aati Aor Aye Bhe Tu Bhe Asool Kai
Mutabiq Akhir Mai Ya Saada Alfaaz Mai Yai Kai Election Kai Akhri Saalon Mai.Ab
Tu Awaam Ka Kaam Hi Yahi Rehgeya Hai Kai Wo Apni Wahid Aor Sub Sai Kaaramad
Ikhtiyar Yaani Vote Ka Istimaal Karky Siyasatdanon Ko Un Kai Manzil E Maqsud Tak
Pohonchady.Ab Is Kai Baad Huqumuranon Ko Awaam Ki Zarurat Khatam.