Zalim Duniya
(Sehrish Yazdan Malik, United Kingdom)
Iss Duniya Mein Bohat Say Log Aisay Bhi Abad Hain Joh Apnay
Khawaboun Ko Dafna Detay Hain. Kyunkay Ye Duniya Bari Zalim Hai Dosto....
Yahan Log Dosroun Ki Zindagi Kay Saath Khilnay Mein Der Nhi Lagatay. Hamari Hee
Kamiyabi Ki Rah Mein Raqawat Bananay Walay Log Hamesha Hamaray Dost Ban Kar Hee
Manzaray Aam Par Aatay Hain. Yahan Logoun Mein Ehsaas Ki Beinteha Kami Hai
Dosray Ki Zindagi Kay Saath Khelna Kisi Kay Dil Kay Saath Mazaq Kar Jana Iss
Duniya Mein Eak Aam See Baat Hai. Jahan Iss Duniya Mein Achay Log Hain, Wahan
Zulam Ka Nishana Bananay Waloun Ki Bhi Kami Nhi. Jitna Daman Bachao Utna Hee Ulj
Jata Hain.
Iss Duniya Mein Rehnay Kaliye Khud Ko Mazboot Karna Parta Hai Kyunkay Ye Duniya
Hamesha Kamzor Logoun Ko Mazeed Kamzoor Karnay Aur Phir Unko Dornay Mein Koshan
Rehti Hai. Meri Eak Baat Ko Hamesha Yaad Rakhiye Ga. Kabhi Kisi Say Bhi Apni Koi
Kamzori Na Bayaan Karna Aur Na Apna Zakham Dekhana Kyun Marham Agr Kisi Kay Pass
Na Bhi Ho Tou Namak Hr Ghar Mein Majood Hota Hai. Kyunkay Jinko Hum Apna Hamdard
Samj Rahay Hotay Hain Wohi Hamdard Baad Mein Hamari Takleef Ka Sabab Bantay Hain.
Ye Duniya Insaan Ko Bohat Kuch Seekha Deti Hai Kyunkay Jab Waqt Ki Thokar Lagti
Hai Tou Insaan Inn Dhokroun Say Hee Thakur Banta Hai..
Baqolay Shair...
Tot'ta Tou Hoon Magr Abhi Bikhra Nhi Faraz'
Waqt Zalim Hai Hr Mour Pay Thukhraye Ga.
Yahan Log Dosray Ki Takleef Pay Khushiyan Manatay Hain Kyunkay Ye Duniya Hamain
Sirf Dukh Day Sakti Hai. Behtareen Insaan Woh Hai Jo Inn Sab Chezoun Ko Ignore
Kar Kay Agay Bhar Jaye Aur Wohi Insaan Kamiyab Hota Hai Aur Aisay Hee Insaan
Mein Iss Duniya Say Moqabla Karnay Ka Dam Hota Hai. Waqt Waqt Ki Baat Hoti Hai
Kyunkay Jab Waqt Bura Ho Tab Koi Apna Nhi Banta Aur Jab Waqt Acha Ho Tab Sab Aap
Kay Apnay Hotay Hain . Magr Haqiqat Tab Hee Samj Aati Hai Jab Waqt Bura Hota Hai.
Bas Waqt Hee Tou Hai Dosto Guzar Jaye Ga
Bas Jatay Jatay Apnay Paraye Ka Ehsaas Kara Jaye Ga.
Zindagi Mein Utaar Charhao Tou Bohat Aatay Hain Magr Koi Eak Thokar Aise Hoti
Hai Jo Insaan Ko Bilkul Badal Deti Hai Hr Lehaz Say Insaan Badal Jata Hai.
Kyunkay Kuch Thokray Aise Hoti Hain Jo Lagti Tou Dil Pay Hain Magr Dimag Kaam
Karna Shoru Kar Deta Hai. Wohi Eak Thokar Insaan Ko Thakur Bana Jati Hai. Waqt
Aur Halaat Ka Muqabla Karna A Jata Hai. Ye Duniya Aisay Aisay Sabaq Deti Hai Kay
Aqal Dhang Reh Jati Hai. Iss Duniya Pay Ho Tou Insaan Ko Jeenay Bhi Na Day
Kyunkay Iss Duniya Mein Aisay Aisay Log Hain Jo Aap Ko Kamiyab Hota Dekh Kar Ap
Ko Zehni Aziyat Dena Shuro Kar Dain Gay. Magr Mazboot Insaan Aisay Logoun Ki
Parwa Kiye Baghir Agay Nikal Jatay Hain. Khud Ko Aisa Bana Lo Kay Kisi Ki Bhi
Dee Howe Takleef Tumhe Kabhi Tor Hee Na Sakay Kyun Log Humain Takleefain Detay
Hee Isse Liye Hain Takay Hamain Tor Sakay Humaray Hoslay Kamzoor Kar Sakain.
Itna Yaad Rakhna Friends Jo Log Kamiyabi Ki Rah Pay Nikal Jatay Hain Unkay Rah
Mein Hazaroun Rukawtain A Jati Hain Magr Woh Himmat Nhi Hartay Dat Kay Kharay Ho
Jatay Hain Inn Tamam Rukawtoun Kay Agay. Ye Zalim Duniya Apna Rang Zaroor
Dekhati Hai Agr Dat Jao Gay Tou Kamiyabi Tumhara Muqadar Hai. Apna Irada Paka
Aur Hosla Mazboot Rakhnay Waloun Ko Koi Tor Nhi Paya Ha Na Tor Paye Ga.