Dil Ki Zuban
(Sehrish Yazdan Malik, Burton -on- trent United Kingdom)
Pari Love Ishq
Kabhi Kabhi Insaan Khamosh Hota Hai Lakin Dil Bohat Kuch Keh
Jata Hai. Kyunkay Shahid Dil Ki Bhi Zuban Hoti Hai. Jis Tarah Insaan Ki Ankhain
Bohat Kuch Keh Jati Hain Aisay Hee Dil Bhi Bohat See Baatain Bina Bolay Hee Bol
Jata Hai. Mohabbat Ka Wajood Bhi Kuch Aisa Hee Hai Woh Bhi Phely Dil Mein Parwan
Charti Hai Phir Dil Ki Zuban Tak Aati Hai Iss Kay Baad Insaan Ki Zuban Say Hotay
Howay Apnay Mehboob Tak Pohanchti Hai.
Mohabbat Ka Taluq Dimag Say Nhi Hota Ye Mera Manana Hai, Kyunkay Sachi Mohabbat
Dimag Say Nhi Dil Say Hoti Hai. Aur Dil Say Ki Howe Mohabbat Kabhi Jodhi Nhi
Hoti. Sachi Aur Pakeeza Mohabbat Eak Hee Insaan Say Ki Jati Hai Jo Aap Kay Dil
Mein Ho Wohi Dimag Mein Hota Hai Aur Phir Roh Mein Bas Jata Hai Aur Jo Roh Mein
Bas Jaye Tou Samj Jao Kay Ab Aap Kisi Aur Ko Qabool Karnay Ki Position Mein
Bilkul Nhi Rahay.
Dil Hamesha Eak Hee Baat Kehta Hai Kay Jo Iss Dil Mein Rehta Hai Insaan Sirf
Isse Ki Tamana Karta Hai Aur Kisi Dosray Kay Mutaliq Soch Bhi Nhi Sakta Kyunkay
Sachi Mohabbat Mein Dilon Ka Eak Hona Zarori Hota. Jab Dil Eak Ho Jatay Hain Tou
On Do Dilon Ki Zuban Bhi Eak Ho Jati Hai Aur Ye Sab Baatain Sirf Wohi Insaan
Samj Pata Hai Jisnay Waqia Hee Kisi Say Sachi Aur Pakeeza Mohabbat Ki Ho.
Kyunkay Jo Sirf Waqt Guzartay Hain Aur Mohabbat Jaisay Khobsorat Lafaz Ka Mazaaq
Banatay Hain Woh Kabhi In Baataoun Ko Nhi Samj Saktay In Ki Nazar Mein Ye Sirf
Eak Mazaq Aur Kheel Hai Aur Kuch Bhi Nhi.
Dil Jism Mein Na Ho Tou Insaan Jee Nhi Pata Lakin Jab Sachy Dil Say Pyar Ho Jaye
Tou Yahi Dil Insaan Kay Jism Mein Nhi Rehta Balkay Uss Insaan Kay Pass Chala
Jata Hai Jo Iss Mein Rehta Hai. Ye Alag Baat Hai Kay Koi Aisay Dil Ki Qadar
Karay Ya Na Karay. Aaj Kay Dour Mein Bohat Kam Log Hain Jo Waqia Hee Kisi Say
Mohabbat Kartay Umar Bhar Kaliye Sirf Eak Hee Insaan Kay Ho Kar Rehtay Hain.
Warna Iss Dour Mein Tou Mohabbat Kay Naam Par Dhoka Aur Ruswaye Kay Ilawa Kuch
Nhi Diya Jata.
Pyar Insaan Ko Bohat Kuch Seekhata Hai. Ehsaas Karna, Jeena, Hansna, Muskarana,
Aur Bohat Kuch. Lakin Agr Yahi Pyar Jodha Milay Tou Ye Sab Chezain Insaan Say
Cheen Jati Hain Insaan Dil Say Nhi Muskara Pata Hans Nhi Pata Sou Nhi Pata
Kyunkay Dil Ko Lagi Howe Choot Bohat Mushkil Say Bharti Hai. Jism Par Laga Zaham
Marham Laganay Say Theek Ho Jata Hai Magr Dil Par Jo Zakham Lagta Hai Uss Kaliye
Na Koi Marham Hai Na Uss Choot Ka Araam Milta Hai. Balkay Waqt Guzarnay Kay
Saath Saath Ye Dard Ye Takleef Bas Bharti Hee Jati Hai. Aur Takleef Denay Waloun
Ko Ehsaas Tak Nhi Hota.
Aur Jab Dil Tot'ta Hai Na Tou Phir Insaan Khamosh Ho Jata Hai Kyunkay Dil Ka
Tot'na Kisi Ko Bhi Sounaye Nhi Deta Kyunkay Ye Woh Kaanch Hai Jiskay Tot'nay Kay
Baad Tukray Chunay Say Insaan Pora Zakhmi Ho Jata Hai. Aisi Takleef Ka Booj
Insaan Ko Andar Hee Andar Mar Deta Hai. Phir Na Dard Mehsoos Hota Hai Aur Na Koi
Ehsaas Baki Rehta Hai. Insaan Zinda Laash Say Ziyda Kuch Bhi Nhi Hota. Dosroun
Ki Khushi Kaliye Muskara Lenay Say Insaan Andar Say Kuch Nhi Ho Pata. Ye Khud Ko
Dhoka Denay Wali Baat Hoti Hai. Kyunkay Jab Dil Hee Na Ho Seenay Mein Tou Insaan
Kaisay Dil Say Muskara Sakta Hai.
Dostu...Sachy Jazbat Ki Qadar Karna Hr Eak Kay Bas Ki Baat Nhi Hoti Aur Sachy
Jazbat Bhi Hr Eak Kay Seenay Mein Nhi Hotay. Mohabbat Insaan Ko Jeena Sekhati
Hai Aur Jodhi Mohabbat Jaan Lay Bhi Leti Hai. Mohabbat Andhi Hoti Hai Jo Dil Say
Mohabbat Karta Hai Woh Uss Insaan Par Pora Bharosa Karta Hai Jis Say Pyar Karta
Hai Magr Jab Uss Insaan Ka Eak Jodh Samnay A Jaye Tou Bharosa Uth Saa Jata Hai
Kyunkay Woh Insaan Ap Say Pyar Nhi Karta Jo Ap Say Apnay Baray Mein Jodh Pay
Jodh Bolay. Jis Say Pyar Ho Na Unsay Kabhi Jodh Nhi Boltay. Jodh Tou Wohi Bolta
Hai Jissay Pyar Na Ho. Aajkal Kay Dour Mein Logo Nay Sirf Time Pass Ko Mohabbat
Ka Naam Day Diya Hai Aur Iss Khobsorat Rishtay Ki Dhajiya Uraa Dee Hain Iss
Tarah Atibaar Nhi Rehta...
Kehtay Hain Mohabbat Insaan Ki Zindagi Badal Deti Hai Sachi Ho Tab Bhi Jodhi Ho
Tab Bhi. Mohabbat Sachi Ho Tou Zindagi Khobsorat Aur Agr Jodhi Ho Tou Barbaad Ho
Jati Hai.. Kuch Logo Ko Farq Nhi Parta Kisi Kay Jazbaat Ya Pyar Ka Woh Sirf
Mazaaq Banatay Hain Magr Iss Baat Ka Yaqeen Tou Mujay Bhi Hai Kay Eak Din Uss
Insaan Ko Aapki Mohabbat Ka Ehsaas Zaroor Hota Hai Magr Tab Tak Waqt Guzar Choka
Hota Hai Waqt Kisi Ka Intezar Kaha Karta Hai Magr Jo Log Sacha Pyar Kartay Hain
Na Woh Intezar Tou Kartay Hain Pyar Karna Bhi Khatam Nhi Kartay Akhri Saans Tak.
Magr Iss Bepanah Pyar Aur Intezar Kay Bawjood Insaan Uss Insaan Say Bohat Dor Ho
Jata Hai Jis Say Woh Behad Pyar Karta Hota Hai Kyunkay Jo Pyar Humaray Dil Ko
Naram Banata Hai Wohi Pyar Humaray Dil Ko Aur Humain Pathar Bhi Bana Deta Hai.
Phir Insaan Ko Na Kisi Ki Mohabbat Na Nafrat Na Mazaq Aur Na Hee Tanz Ka Ehsaas
Hota Hai Phir Kuch Bhi Ho Zindagi Mein Insaan Ko Kuch Mehsoos Hee Nhi Hota...Kiya
Khoob Likha Likhnay Walay Nay..
Ab Kiya Likhoun Zindagi Kay Baray Mein
Woh Log Hee Bichar Gay Jo Zindagi Howa Kartay Thy.
Dimag Pay Insaan Ka Ehtiyar Ho Sakta Hai Magr Dil Pay Nhi. Dil Tab Ap Kay Bas
Mein Hota Hai Jab Eak Hee Insan Iss Mein Baseera Kar Lay Tab Ye Dil Kisi Aur Ko
Dil Mein Nhi Anay Deta. Dimag Say Soch Kar Ki Gaye Mohabat Mohabat Nhi Aur Jo
Dil Say Ho Woh Bayehtiyar Hoti Hai Aur Aise Mohabat Hee Sachi Hoti Hai. Mohabbat
Ki Sab Say Behtareen Qisam Woh Hai Jo Pehli Nazar Mein Ho Aur Umar Bhar Eak Hee
Insaan Say Rahay Aur Wohi Mohabbat Ishq Mein Badal Jati Hai Jisko Akhri Haad
Kaha Jata Hai. Kuch Log Pheli Nazar Mein Pyar Tou Kartay Hain Magr Phir Ukta
Jatay Hain Woh Mohabbat Nhi Nazar Ka Fareeb Hota Hai. Asal Mohabbat Mein Tou
Insaan Ye Sab Nhi Kar Pata Kyun Kay Ye Dil Say Dil Ka Rabta Hota Hai Jo Kabhi
Khatam Nhi Hota Hamesha Rehta Hai. Insaan Khatam Ho Jata Hai Par Mohabtain
Hamesha Rehti Hain. Jitnay Bhi Saaf Aur Sacha Pyar Kaenay Walay Thy' Laila Majnu,
Heer Ranja, Sheere Farhaad, Sab Chalay Gay Magr Mohabtain Aaj Bhi Zinda Haun Un
Logo Kay Roop Mein Jo Sacha Aur Pakeeza Pyar Kartay Hain Aur Umar Bhar Nibhatay
Hain. Eak Bar Jo Dil Mein A Giya Phir Kisi Aur Ko Jaga Nhi Detay Dil Mein Yahi
Hai Sachi Mohabbat Woh Mohabbat Jo Hamesha Rehti Hai.....