Bachoon Pr Mobile Phone Ky Asraat.

(Sadia Zafar, Rawalpindi)

Mobile Phone Ek Aise Ijad Hai Jis Ky Fawaid Tou Bht Hain Ar Aj Ki Dunya Main Is Ky Baghair Guzara Shayed Ik Namumkin Si Soorat Lagti Hai Lekin Agr Is Ka Doosra Phloo Dekha Jaye Tou Is Ky Nuksaanat Bhi Bht Hai.Aj Kl Joo Cheez Hamain Zaida Tar Dekhny Ko Milti Hai Ky Agr Koi Choota Bacha Roota Haikitn A Ya Tang Karta Hai Tou Ussy Fooran Mobile Phone Pakra Diya Jata Jowaldain Ya Ghr Ky Baqi Afraad Ky Liyay Nihayat Asan Tareeqa Hai Mgr Un Ko Yh Nhi Maloom Ky Yh Kitna Nuksaanda Amal Hai.Science Ny Bhi Is Baat Ki Tasdeeq Kr Di Hai Ky Na Sirf Baroon Ky Liyay Balky Chooty Bachoon Ky Liyay Yh Bht Nusaanda Cheez Hai Is Sy Na Sirf Eyesight Mutasir Hoti Hai Balky Yh Ankhoon Ka Cancer Ar Brain Tumor Jaoise Khatarnak Bimariyan Bhi Lahak Ho Skti Hain.Agr Talibilmoon Ki Baat Ki Jaye Tou Jahan Yh Un Ki Parhai Mai Madagar Sabit Hota Ha Waheen Is Ky Bht Bury Asraat Muratab Hoty Hain Un Ka Rujhan Zaida Mobile Ki Janib Ho Jata Hai. Facebook ,What's App Ar Degar Games Apps In Ki Tawajah Ka Maekaz Ban Jaty Hain .Ar School Colleges Jahn Mobile Phone Ly Kr Jany Ki Ijazat Hai Wahan Pr Sakht Pabandi Ki Zaroorat Hai Kyun Ky Is Ka Cheating Mai Istamaal Bht Aam Ho Chuka Hai.Is Liyay Waldain Ko Bhi Chahiyay Ko Wo Chootay Bachoon Ko Mobile Dainy Sy Ijtnab Karain Ar Agr Bary Bachoon Ko Phone Dain Bhi Tou Un Pr Nazar Rakhain .

Sadia Zafar
About the Author: Sadia Zafar Currently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.