Tehreek E Azadi Kashmir Es Waqt Aqwam E Alam K Dareena Masail
Main Se Aik Hai, Ye 1933 Main Hi Start Ho Gi Thi Jb Dogar Raja Ne Kashmiri
Muslim Ko Third Citizen Catagory Samjhna Start Kea, Threek E Zadi K Banian Wohi
Leader Thy Jin Ne Pakistan Bnaya, Iqbal Ne 1933 Main Lahore Main Kashmir Ki
Azadi Kaliay Mashwarat Start Ki, June 1947 Subcontinent Ki Takseem K Agendy Main
Kashmir Ka Alhaq Dogar Raja Ne India Se Kea To Mujahdin Ne Kashmir Ki Azadi
Kaliay 1948 Main Jadojahad Start Ki Aur Azad Kashmir Ko Leny Main Kamyab Hovy,
PM Nehro Un MN Jang Bandi Kaliay Bhaga Aur Cease Fire Krany Main Kamyab Ho Gea,
Nehro Ne Hi Kashmir Logon Ko Jhoti Tssali Deny Kaliay Kashmir Ka Faisla Kashmiri
Krain Ge Ka Dhong Rachaya, Pakistan Ne Kashmir Kaliay 1965,1971 Aur 1999 Main
Jangain Lari Lkn Kashmir Ka Masla Hal Na Hova, Tehreek E Azadi Ko Sabiq General
Mushraf Dour MN Bht Nuqsan Phncha, Jis Ki Waja Se Pak State Back Foot Pe Chali
Gai Aur Huriyat Qiadat Bhi Mayoos Ho Gi, Mushraf K Bad Bi India Ne Pakistan Ki
Govt Se Aggressive Policy Apnai , Yahan Tak K Dosry Issue Pe Bat Kashmir K Mamly
Pe Bt Na Krny Se Mashroot Kr Di , Akher Kashmiri Log Jan Gaye Kashmir Ki Jang
Unki Apni H Aur Wohi Larain Ge, Es Jang Main New Rooh Lanay Wala Young Man
Burhan Wani H, Jis Ne Apni Jurat Se Kashmir Main Indian Army K Tamam Andazy
Galat Kr Deay Aur 3 Month Puri Dunya K Samny Indian Army Ki Qabliat Ka Parda
Chak Kea, Apni Mujahidana Jadojahad Se Phr Kashmir Issue Ko Un Platform Pe Flash
Point Bna Dea, Ye Wohi Muhammad Bin Qasim Sani Tha Jis Ne Govt Of Pakistan Ko Bi
Jaga Dea Aur Govt Apny Purany Moqaf Pe Wapis Ai, Jb Tak Kashmir Azad Ni Ho GA
Kashmiri Mother Aisay Wani Bhejti Rahain Gi,