Tha Woh Phool Mehakta

(Sehrish Yazdan Malik, Staffordshire, United Kingdom)

Mohammad Sohail Aattari

Ye Kahani Eak Aisay Noujwan Ki Hai Jo Kallar Sayedan Kay Eak Gaoun Nambal Mein Rehta Tha. Eak Aisay Noujwan Ki Kahani Jisko Aaj Tak Na Koi Bhool Paya Hai Na Kabhi Koi Bhool Paye Ga. Sohail Eak Aisa Khobsorat Nojwan Tha Jo Hr Eak Ka Dil Aziz Tha. Eak Farmabrdar Aqal Mand Aur Bohat Hee Sulja Howa Insaan Tha. Jo Apnay Poray Khandan Mein Sab Say Mukhtalif Tha. Hr Eak Say Achy Ekhlaq Say Milna Chotay Baray Ka Ekhtaram Karna Iss Nojwan Ki Aadat Thi. Kisi Kay Gusay Ka Jawab Bhi Muskura Kay Deta Tha. Eak Sacha Ashiq-E-Rasool Aur Nabhi Pak Ki Sunat Pay Amal Karnay Wala Insaan Tha Jahan Tak Ho Sakta Woh Nabhi Pay Ki Sunat Pay Amal Kar Kay Khushi Mehsoos Karta Tha. Iss Ki Zindagi Ka Sab Say Bara Shouq Naat Khawani Tha Aur Woh Eak Acha Naat Khawan Bhi Tha...Apni Naat Khawani Ki Waja Say Woh Poray Elaqay Mein Bohat Famous Tha. Khuda Nay Ussko Bohat Khobsorat Awaz Say Nawaza Tha. Woh Achi Shakal-O-Sourat Achi Awaz Aur Bohat Hee Achi Aadaat Ka Malik Tha. Sohail Merey Chotay Bhai Mehran Ka Bohat Hee Qareebi Dost Tha.

Woh Din Bohat Hee Dardnaak Din Tha Jab Sohail Apnay Cousin Ki Shadi Par Janay Kaliye Ghar Say Tiyar Hokar Apni Bike Par Apnay Dosray Khala Zaad Cousin Kay Hamra Rawana Howa.

Woh Akhri Pal Iss Nay Apnay Ghar Ko Jatay Howay Mour Kay Dekha Aur Socha Bhi Nhi Hoga Kay Woh Dobara Kabhi Zinda Apnay Ghar Lout Kar Nhi Ayega. Andhera Honay Wala Tha Kyunkay Raat Ka Function Tha Shadi Say Phely Ki Taqribaat Chal Rahi Thi. Wahan Pohanchnay Say Phely Ki Rastay Mein Sohail Ka Eak Gari Kay Saath Accident Hogiya Aur Woh Sar Kay Bal Girra Aur Sar Mein Shadeed Chout Lagnay Ki Waja Say Sohail Behosh Ho Giya. Sohail Ka Cousin Bilkul Theek Tha Aur Jiski Mout Ka Ishara Kiya Giya Tha Khuda Ki Taraf Say Sirf Ussay Ki Khuda Nay Apni Taraf Bulana Tha. Shahid Khuda Ko Bhi Aisay Log Bohat Pasand Hotay Hain Iss Liye Woh Achy Logo Ko Jaldi Apni Bula Leta Hai.

Intaha Ka Soug Aur Wehshat Thi Uss Raat Jab Hum Nay Souna Kay Sohail Ka Accident Ho Giya Aur Ussay Rawalpindi Civil Hospital Muntaqil Kar Diya Giya Hai. Sar Mein Shadeed Chout Anay Ki Waja Say Woh Dobara Hosh Mein Na A Saka.

Merey Bhai Ko Achanak Chup See Lag Gaye Thi Sohail Merey Bhai Ka Bohat Hee Qarebi Dost Tha Dono Mein Intaha Ka Pyar Tha. Eak Khobsorat Dosti Ki Mesaal Ho Jaisay.
Sohail Ki 5 Behnay Aur Eak Bhai Hai Magr Sohail In Sab Mein Bohat Mukhtalif Aur Eak Alag Hee Tabiyat Ka Insaan Tha. Dosroun Kay Dukh Ko Samjna Dosroun Ki Madad Karna Ussay Bohat Pasand Tha. 31-12-2017 Ki Raat Uss Ghar Par Eak Aise Qayamat Nay Dastak Dee Jis Qayamat Ka Shahid Kisi Ko Andaza Nhi Tha. Shadi Par Jatay Howay Jab Sohail Ka Accident Hogiya Tou Ass Pass Kay Rehaish Pazeer Logo Nay Aambulance Mangwa Kar Sohail Ko Hospital Muntaqil Karwa Diya. Ghar Waloun Ko Jab Inform Kiya Giya Tou Un Kay Peeroun Kay Neachy Say Tou Jaisay Zameen Hee Nikal Ghaye. Woh Din Eak Maan Kaliye Qayamat Ka Din Tha. 5 Din Hospital Mein Sohail Zindagi Aur Mout Ki Kashmaksh Mein Larta Raha Aur Akhir 4-1-2018 Ko Sohail Ki Saansoun Ka Silsala Khatam Hogiya Aur Woh Apnay Khaliq-E-Haqiqi Say Ja Mila. Eak Maan Say Uska Sakoon Cheen Giya Tha. Behnoun Sau Unka Khobsorat Phool Cheen Giya Tha Eak Bhai Say Uska Qareebi Dost Juda Ho Giya Tha Eak Maan Ka Chamakta Chand Kahin Dor Kho Giya Tha. Woh Din Uss Ghar Mein Eak Qayamat Ka Din Tha Aur Hr Uss Insaan Kaliye Intaha Ka Dukh Tha Jo Sohail Say Bepanah Pyar Kartay Tha.

BICHRAA KUCH ISS ANDAZ MEIN KAY ROUT HEE BADAL GAYE,

SOHAIL TU SARAY SHEHAR KO VEERAN KAR GIYA.

Uss Din Sirf Uss Ghar Mein Hee Nhi Balkay Poray Gaoun Mein Safay Matam Bich Choka Tha. Har Ankh Ashak Bar Thi Hr Dil Khoon Kay Ansoo Roo Raha Tha. Sohail Ka Achanak Iss Tarah Say Chalay Jana Hr Eak Kaliye Kisi Gehri Takleef Aur Sadmay Say Kam Nhi Tha. Aaj Bhi Jab Mein Uss Din Ko Yaad Karti Hoon Tou Kaleeja Mou Ko A Jata Hai. Aaj Tak Agr Baki Log Uss Ko Bhool Nhi Paye Tou Uss Kay Ghar Waloun Ki Kiya Kafiyat Hogi. Uss Kay Janazay Mein Bohat Dor Dor Say Logoun Nay Shirqat Ki Aur Namazay Janaza Aada Karnay Kay Baad Sohail Kay Alaa Darjaat Kaliye Rab Kay Hazoor Dua Ki. Aur Akhir Sohail Apni Akhri Araam Gha Mein Chala Giya Jahan Apnay Apnay Time Pay Sab Ko Jana Hai.

Aur Hum Insaan Iss Duniya Mein Iss Haad Tak Kho Chokay Hain Kay Humain Yaad Hee Nhi Kay Hamara Asal Ghar Tou Sirf Eak Matti Ka Ghara Hai Aur Humain Usse Matti Mein Jana Hai. Insaan Matti Say Bana Hai Aur Bila Akhir Matti Mein Hee Jaye Ga. Khuda Sohail Ki Hr Mushkil Ko Ahsaan Karay Aur Ussay Jannat Mein Alaa Muqaam Aata Farmaye. Aur Kisi Kay Tofail Allah Hum Sab Kay Gunah Bhi Maaf Karay Aur Emaan Ki Mout Naseeb Karay.....

Meri Un Sab Logo Say Request Hai Kay Jo Koi Bhi Iss Article Ko Paray Ga Woh Zaroor Sohail Ki Bakhshish Kaliye Aur Alaa Darjaat Kaliye Dua Karay.

 

Sehrish Yazdan Malik
About the Author: Sehrish Yazdan Malik Read More Articles by Sehrish Yazdan Malik: 7 Articles with 13932 viewsCurrently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.