Load Sheding

(Muhammad Bilal, vehari)

Hamary Mulk Main Is Waqt Sb Say Bara Buhran Jo Chal Raha Hay Wo Load Sheding Hay. Itni Garmi Main Jab Light Jati Hay To Jitna Marzi Sharif Admi Hay Us K Muh Say Jo Alfaz Nikaltay Hain Wo Yahan Kable E Bian Nahi Hain.

Hakumat Ko Chahiay K Ya To Har Ghar Ko 1 Ups Dia Jay Ya Shamsi Tavanai K Zariay Paida Honay Wali Light Ka Bandobast Kr K Dena Chahaiy. Agar Sb Ko Nahi Day Sakti To Kam\ Say Kam Students Ko To Ye Saholat Zaror Deni Chahiay.

Gilani Sahib Say Guzarish Hay K Jitna Paisa Ap Multan Shahir Ki Khobsorti Py Laga Rahay Hain Agar Yahi Paisa Kisi Dam Bananay Py Laga Hota To Takriban Load Sheding Ka Khatma Ho Chuka Hota........

Lagta Hay Wapda Walon Ko Meri Bat Achi Nahi Lagi Is Liay Unho Nay Hamari Light Bnd Kr Di Hay.

Pehly Pehly To 1 K Bad 1 Ghanta Li8 Jati Thi Ab 1 K Bad 8 Ghantay Ki Load Sheding Hoti Hay.

Hakomat Ko Chahiay K Agar Ye Bijli Puri Nahi Kr Sktay To Inhi Hakomat Ka Koi Hak Nahi. Jab Chaina Sasti Bijli Day Raha Hay To Yeh Kiun Mohida Nahi Kartay. Rental Power Plant Py To Hamari Hakomat Nay Buhat Dor K Mohida Kia Tha Kiun K Wo Jantay Thay K Is Main Sirf Un Ka Faida Hay Aur Awam Ka Nuksan Hay. Chaina K Sath Is Liay Nahi Kartay Kiun K Is Main In Ka Fiada Nahi Sirf Awam Ka Faida Hay.

Last Main Meri Hakomat Say Guzarish Hay K Jitni Jaldi Ho Saky Sudhar Jay Kiun K Agar Aik Bar Hamari Kaum Jag Gai To Phir In Ko Abdi Nend Sula K Dam Lay Gi. Waslaam

Muhammad Bilal
About the Author: Muhammad BilalCurrently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.