Police Ka Hay Ferz Maded Aapki
(Afshan Rahman, Chicago usa)
Mere Kheyal Se Police Ka Ferz
Jo Hay Oos Keh Lia Training Ki Bhut Zarooret Hotee Hay Tab Hi Police To Apna
Ferz Yaad Hoga.Pakistan Mein Education Ki Kami Ki Waja Se Police Ka Kaam Adhora
Hogaya Hay Sab Se Pehle Governement Ko Chae Keh Police Training Centers Qaem
Karen Or Jo Matric Or BA Pass Hon Or On Ko Urdu English Aate Hoon On Ko Police
Mein Shamil Karen Or Uniform Bhi Pak Saaf Or Impressive Ho.Or Payment Bhi Behter
Ho Or On Ke Lia Gher Bhi Dena Chae On Saholet Ko Paker Police Ka Kaam Mein Dil
Bhi Lagega.Police Ka Shoba To Ab Hansee Mazak Hogaya Hay Nit Nae Jokes Bante
Hein.Jab Ke Europe Mein Esa Bilkul Nahi Hotta Jab Bhi Public Ko Help Chae Hotee
Hay Woh Police Se Help Lete Hein Yahan Bhi Traffic Police Different Hay Or
Emergencies Ki Alag Hay.Mostly Logon Ko Speed Ziyada Hone Per Ticket Milte
Hein.Pakistan Mein Bhi Kuch Log Bhut Coperative Hein Or Kaam Bhut Acha Kerae
Hein Bus Zara Police Ki Izzat Nahi Hay Esa Nahi Hona Chae.Police Ka Shoba Itna
Bora Nahi Hay Jitna Bora Kaha Jatta Hay Or Samjha Jaytta Hay No Jawanon Ko Chae
Woh Jo Bager Job Ke Reh Rae Hein Police Ko Apna Career Banaen Or Kuch Pakistan
Keh Kaam Karen.Awam Ko Chae Woh Bhi Police Ki Izzat Karen Or Tawon Karen Taake
Mujrim Ko Pakra Jae.Dakoo Or Chor Se Chutkara Hasil Kerne Keh Lia Police Ki Help
Bhi Karen Or Jub Bhi Kisee Per Shuba Ho Ose Pakerwane Ki Koshish Karen.Pakistan
Mein Bhi Emergency Numbers Hote Hein Call Kerke Batana Chae Ager Aapko Kuch Bhi
Ilm Ho.Pakistan Keh Log Bhut Mehnat Ker Rae Hein Ager Isee Terha Mil Jul Ker
Kaam Hoga To Ek Din Insha Allah Pakistan Aman Or Sukoon Ka Gehwarra Zaroor
Banega Hamaree Allah Se Dua Hay Keh Pakistan Hamesha Salamet Rahe AMEEN PAKISTAN
ZINDABAD.