Khudara Sambhal Jao
(Afshan Rahman, Chicago usa)
Bhut Hi Afsos Hota Hay Jub Hum
Politics Ki Baat Kerte Hein.Akher Kia Problem Hay Koee Bhi Baat Ko Samajh Nahi
Parae Hein Jub Keh It Is Very Simple Keh Aaj Ke Dor Mein Sab Ko Apni Feeker Hay
Dosre Ki Janib Dekhna Tak Pasand Nahi Hay Ko Dosre Keh Lia Kuch Kernay Ka Kia
Sawal Hoga.Hamare Pakistani Brothers Ko Kia Hogaya Hay.Ek To Understanding Hi
Nahi Hay Sab Apni Stories Chor Ker Doosre Per Teer Bersate Hein.Apni Awaz Uthate
Waqt Ye Bhool Jate Hein Keh Aap Akele Kuch Bhi Nahi Kersekte Pehle Doosre Ki
Baat Ko Manna Hoga Lekin Jub Bhi Dekho Stupid Fighting Hotee Rehtee Hay Aakher
Halaat Kub Derest Honge.Khuda Os Qom Ki Halalet Derst Nahi Kerta Jin Ko Khud
Feeker Na Ho.Jub Ke Ger Mulkon Ke Muslims Her Terha Help Kernee Chahte Hein Or
Aaj Edare Bhut Help Kerae Hein .Helping Hands Ka Edara Bhi Jin Mein Muslims Berh
Ker Hissa Le Rae Hein .Lekin Politicians Na Jane Kioon Lerne Ko Tyyar Rete
Hein.Sab Apni Apni Bolee Bolte Rete Hein Chahe Koee Maane Ya Na Maane.Its Too
Much Tention To Listen Those Kind Of Talking.Khudara Sambhel Jaaen Or Parties
Milker Kaam Karen.Unity Is Very Important.Pakistan Ki Feeker Karen Na Ke Apni
Apni Party Ki Feeker.Apni Galti Per Nazer Kerne Ki Bajae Buss Doosre Ki Galti
Per Nazer Hotee Hay Its Too Much.Education Wale Log Hi Kuch Kersekte Hein So Jo
Degree Yaafta Hon On Ko Party Banana Chae.Khas Ker Politics Mein Degree Zarooree
Hay.