Pakistan Kay Masail Aur Siasatdan

(waseem, karachi)

Pakistan 14 August 1947 Ko Aazad Huwa. Quaid-E-Azam Aur Liqat Ali Khan Aur Zulfiqar Ali Bhutto Ki Qiadat Kay Baad Ko Qiadat Pakistan Kay Saath Mukhlis Na Thi Unhonne Sirf Apne Qiadat Ko Mazboot Karnay Aur Apnay Bank Balance Bananay Kay Liye Haath Paoon Martya Rahy. Aur Awaam Ki Daulat Swiss Bank Main Maujood Hai Lekin In Kay Kanon Pay Joon Tak Nahin Rengti.

Aaj Mulk Ka Sab Say Bada Masla Corruption Ka Hai Upar Say Niche Tak Saray Corruption May Mulawis Hain Ek Teacher Say Lay Kar Bada Aadmi Bhi Koi Kaam Karnay Kay Paise Mangta Hai. Bijli Ki Loadshading Ki Wajah Say Awaam Aaj Roadon Pay Ehtijaj Karnay Par Majboor Hain. Aaj Mulk Main Gas Ki Bhi Shadid Qillat Hai Log Apnay Bachon Ko School Main Bagair Nashtay Kay Baijhne Par Majboor Hain. Aaj Har Cheez Awaam Ki Pohonch Say Bahar Hoti Ja Rahi Hai Middle Class Tabqa Bhi Faqay Par Majboor Hai Aur Jo Roz Ki Ujrat Par Kaam Kartay Hain Un Ko Roti Bhi Muissar Nahin Aati Un Kay Ghar Main Bachay Bhi Faqay Karty Hain.

Hukoomate Pakistan Na To In Masail Per Tawajjah Day Rahi Hai Or Na Hi In Masail Kay Hal Kay Liye Khatir Khuwa Iqdaamat Utha Rahi Hai. In Haalat Main (Tahreek-E-Insaaf) Hi Awaam Ko In Haalat Say Bahar Nikal Sakti Hai. Aur Awaam Ki Mushkilat Khatam Kar Sakti Hai Ab Faisla Awaam Kay Hath Main Hai Kay Wo Kise Vote Datay Hain In Luteron Ko Ya Imran Khan Ko. Imran Khan Hi Ummeed Ki Kiran Hai.

Pakistan Bannay Kay Baad Hum Nay Har Hukumat Ko Chance Diya Humain Imran Khan Ko Bhi Aazma Na Chahiye. Vote For Tahreek-E-Insaaf.

waseem
About the Author: waseem Read More Articles by waseem: 2 Articles with 11199 views Currently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.