Waqt K Sath Sath Insan Nay Bhi
Itni Taraqqi Kar Li Hay K Wo Apni Zarorat Ki Har Cheez Ba Zaat-E-Khud Bana Lyta
Hay, Zarorat Ejad Ki Maa Hay..Kise Zamanay Main Insan Miloon Paidal Safar Karta
Tha,Kae Kae Din K Bad Wo Apni Matlooba Jaga Pohanch Pata Tha Magar Aaj Agar
Ameer K Pas Safar Karnay Ko Apni Zati Gari Hay To Gharib K Sapnay Bhi Adhory
Nhi.Gharib K Dil Ki Awaz "Vaigon Zinda Bad..."
Vaigon Se Safar Karnay Ka Ittifaq Kbhi Na Kbhi To Apko Hua Hi Hoga Aur Wo Bhi Wo
Vaigon Jo Logon Se Bahar Tak Bhari Hue Ho...Vaigon Main Bethay Huy Log, Kharay
Huy Logon Se Ziada Azab Main Mubtala Hotay Hain Q K Kharay Huy Logon Ka Bus Nhi
Chalta K Wo Bethay Huy Logon K Uper Hi Beth Jain Ya Unko Khara Kar K Unki Jaga
Per Beth Jain...
Ek Aur Musibaat Hamaray Saroon Per Us Waqt Nazil Hoti Ha Jub Chand Khawateen
Apnay Bachoon K Sath Aur Saman K Sath Bus Main Anay Ki Koshish Karti Hain Aur
Akhir Aa Hi Jatin Hain Aisay Main Agar Ap Nay Apni Awaz Buland Karnay Ki Koshish
Bhi Ki Na To Ek To Log Waiasy Hi Neem K Pattay Khay Bethay Hoty Hain Wo Ap Per
Apna Sara Gussa Nikal Daytay Hain....Aur Weasay Bhi Hamaray Haan Awaz Buland
Karnay Walay Ka Gala Hi Daba Dia Jata Hay..
Aisay Main Conductor Ki Moujoodgi Us Hero Ki Tarhan Hoti Hay Jo Apany Maa Baap
Ki Laraian Bardsht Karay Huy Aur Suntay Huy Jawan Hota Hay
Aur Ab Us K Samnay Kitna Hi Jaghra Ho Us Ki Sehat Per Asar Nhi Parta, Wo Apnay
Kam Se Kam Rakhta Hay Aur Kiraya Wasool Kar K Apki Laraiun Se Lutf Andooz Hota
Hay....
Jahan Vaigon K Logon Se Bharay Honay Ki Waja Se Sans Ruk Ruk Kar Ati Hay Wahin
Jangle K Tarzan Ka Naqsha Pesh Kar Rahay Hoty Hain Wo Noujawan Larkay Jo Vaigon
Ki Kharki,Darwazoon Se Kuch Is Tarha Liptay Huy Hoty Hain K Jesay Koi Ashiq Apni
Mehboba Ki Chokhat Se Lipatta Hay Jin Ki Waja Se Vaigon Black Hole Ka Manzar
Pesh Karti Huy Nazar Ati Hay.....
Baat Sirf Yahin Khatam Nhi Hojati Garmi Se Bura Haal Hay, Hawa Ka Guzar Mushkil
Hay Aisay Main Jub Sar Per Goya Dhamakay Hoon To Kia Kehtay Hain App Kia Dil
Chahay Ga Aapka?????
Ji Janab Hum Un Logon Ko Kesay Bhool Sktay Hain Jo Vaigon K Uper Charh Kar Is
Tarhan Bethay Hotay Hain Goya Wo Controller Room Main Bethay Huy Aala Afsar Hain
Jin K Kehnay Per Hi Vaigon Nay Rukna Hay Ya Chalna Hay....
Aisay Main Rahi Sahi Kasar Pori Karta Hay Vaigon Ka Tape Recorder.... Jo Hamay
Is Baat Ka Ehsas Dilata Hay K Hum Abhi Samatoon Se Mazeen Hain Magar Ek Kari
Azmaesh Main Mubtala Hain....
Beharhal Ye Ek Manzar Tha Karachi Ki Vaigons Ka.....Bat Sirf Hamari Apni Hay,
Hamary Samjhnay Ki Hay Aur Apny Chotoon Ko Samjhanay Ki Hay Cheezoon Ko Sahi
Istimal Karna Hum Hi Unko Sikhat Hain....Karachi Main Agar 65% Awam Apni Private
Conveince Main Safar Karti Hay To Aaj Bhi Karachi Ki 35% Awam Ka Yehi Ek Naara
Hay....
"VAIGON ZINDABAD........"