Chand K Tukray Ki Talash
(Sana Hamid Ali, Karachi)
ALLAH Nay Kainat Ko Bay Had
Khobsurat Banaya Hay Zameen Ka Zrra Zrra Khuda-A-Wahid Ki Gawahi Deta Hay.
Zamen O Asman Charind Parind Tamam Chezain Apny Khaliq Ki Gawahi Deti Hain ALLAH
Ny Hr Sha Ko Khobsurat Banaya Hay. Waen Bani O Insan Ko Ashraful Makhlokat
Ka Darja Ata Farmaya Hay. Har Insan Ko Dosray Insan Say Juda Banaya Hay.
Har Sha Ka Jora Takhleq Farmaya Hay Jahan Rub Tala Nay Kainat Ki Har Sha Ko
Mukhtalif Rangon Say Banaya Hay Wahen Makhloq Insani Ko Do Rang Yani Kala Or
Safed Rang Myn Paida Kia Hy . Rub Tala Ko Dono Rang Bay Had Pasand Hain.
Usay Apny Bandon Say Satar Hazar Maaon Say Ziada Piyar Hay Is K Liyeh Us Ka Har
Banda Mehbob Hay .
Magar Is Kay Bawajood Agr Ham Apny Mashary Par Nazar Dalain Tu Hamry Han Gora
Rang Hi Khobsorti Ki Alamat Samjha Jata Hy. Specially Tanz K Nishana Kaly
Rang Ki Hamil Khawaten Or Larkian Banae Jati Aksar Larkion Ki Tu Shadi B Isi
Wajaha Say Nai Ho Pati Hain. Qk Larky Ki Walida Ko Apny Bety K Liye
Khobsorat Larki Ki Talash Hoti Hay Chahy Khud K Beta Kala Hi Q Na Ho Magar
Dulhan Wo Chand K Tukra Hi Chahti Hain Bari Aanai Say Wo Maain Masom Larkio K
Dil Ye Keh Kr Tor Deti Hain 'Bhaee Larki Ka Rang Kala Hy' Goya Serat Ki To Koe
Importance Hi Nai. Halan K Asal Khobsorti Tu Dekhny Wlay Ki Nazar Mai Hoti
Hy Par Najanuy Q Wo Logon Ko Nazr Nai Aati Is K Rizult Myn Wo Larki Pscho
Problem Ka Shikar Ho Jati Hy. Shaksiat K Khd Atamadi Ehsas Kamtari Myn
Badlny Lagti Hy Ki Wo Beton K Maain Apny Seno Myn Dil Nai Rakhti Hain.
Akhir Kaisy Wo Rub Tala Ki Banae Hoe Hasti Ko Thukra Deti Hain Uski Toheen Kar
Deti Hain. Malik A Haqiqi K To Apna Hr Banda Ya Bandi Mehbob Hy.
Phir Hamari Society Ka Behavior Itna Khrab Q Hay. Agr Hm Islami Talimat Par Nazr
Dalin To Nbi Pak S.A.W Nay Farmya Tha K Tm Myn Say Kisi Kalay Ko Goray Par
Foqiat Hasil Nai Tu Hm Kis Kisam K Insan Or Muslman Hain K Yeh Jurm Karty Hain
Jb K Hmara Mazhab Tu Insaniat K Dars Deta Hy. Tarekh Say Pata Chalta Hy K Rasool
Pak S.A.W K Gulam Hazrat Bilal R.z Jo K Siyah Fam Habshi Thy Say ALLAH Ko Bay
Had Piyar Tha Wo Jab Tak Azan Na Dety Sehar Na Hoti Khud Hmary Nabi Ki Zat Hmary
Liye Behtareen Namona Hy Hayat Tayaba Myn Kahen Koe Aisa Waqia Moojod Nai Jo Ye
Bata Ho K Nabi Krim Nay Kalay Rang K Insan Ko Na Pasand Kia Jb Khaliq Or Mehbob
Nay Har Talkhes Na K Tu Phir Mshra Kon Hota Hy Apny Rub K Bane Sha K Toheen
Krnay Walay.
Jb Hm Kalay Rang Ka Kapra ,Furniture Gharz Use Ki Hr Chez Kalay Rang Ki Pasand
Krty Hain To Phir Ek Jetay Jagty Insan Ki Tohen Kyu Krty Hain Q Usy Tanz Ka
Nishana Banty Hain ,Kb Hamara Mashra Is Baat Ko Samjhy Ga K Zahir Ki Khobsorti
Sa Ziada Batin Ki Khobsorti Ahmiat Rakhti Hay.
Mery Mukhatib Wo Tamam Log Hain Jo Chand Ka Tukra Talash Krny Myn Kitni Masom
Larkion Ko Hurt Krty Hain.
Plz In Larkion K Karb Ko Samjhain Wo B Kisi K Piyar Ki Mustahiq Hain In Ka Dil
Buhat Khobsi\Orat Hy Wo Hazar On Haseeno Sy Haseen Hain
Is Essay K Ikhttam Par Myn Umeed Krti Hn K Shahyd Koe Fard Isy Parh K Raha Rast
Pe Aajaye Or Batin Ki Khobsorti Ko Ahmiat Deny Lagay.