2 Feburary 1995 Ahmiat ka hamil akhir kyu??
(Syed Bilal Ali, Karachi)
2 February 1995 Yeh Woh Tareeq
Hai Jo Shaayad Hum Aur Aap Jaisay Bohut Se Logon K Liyeh Aik Aam Haysiat Rkhti
Hai.Na Toh Yeh Tareeq Kisi Sabiqaa Wazir E Azam,Na Toh Kisi Adakaar,Na Toh Kisi
Saabiq Sadar Aur Na He Kisi Army Chief Ki Wiladat Ya Wafat Ka Din Hai.Phr Is
Tareekh Mai Aisa Kia Hai Jo Mai Bay Saaqta Is Tareqq Ki Ahmiaat Aap Ko Bayan
Karnay K Liyeh Yeh Cloumn Kahye Ya Article Lekin Meray Liyeh Yeh Meray Dill Ki
Aik Khwaish Hai.
2 February 1995 G Haan Yeh Tareeq Aur Yeh Sun Is Lyeh Ahmiaat Ka Haamil Hai Kyu
K Is Din Aur Is Saal Mai Hum Sub Ki Pyaari Hamara Fakhaar Yani Pakistan Ka Naam
Roshan Karnay Wali Aik Aisi Larki,Jisay Hum Se Bichray Shayed Abhi Aik Maah Ka
Arsa B Nahi Guzra Hai G Haan Koi Aur Nahi Us Azeem Hasti Ka Naam Arfa Karim
Randhawa Hai Jisay Shayed Uski Alaalaat Or Uski Wafat Se Pehlay Aap Aur Hum
Jaisay Log Shayed He Jantay Thay.
Arfa Ne 2 February 1995 Faisalabad K Aik Chootay Se Dehat Ram-Devali Mai Amjad
Karim Randhawa K Ghar Aankh Khooli Jo Khud Pak Fauj Se Ta’alluq Rkhtay Hain.9
Saal Jaisi Kum Umri Mai Microsoft Certified Professional Ki Degree Hasil Karnay
Wali Yeh Larki Kuch Ghair Mamooli Salahiaton Ki Malik Thi,2 Saal Ki Umer Se He
Is Lrki Ne School Jaisi Muqaddas Jaga Ka Mtlb Smjhlia Tha Aur 3 Saal Jaisi Kum
Umer Mai He Iska Dakhla School Mai Karadia Gaya Jaha Yeh Apnay Sub Class Fellows
Se Har Cheez Mai Bartari Rkhti Thi.
Magar Arfa Computers Softwares Ko Na Srf Pasand Karti Balkay Inko Achi Trha
Smjhti Bhi Thi Yehi Wajah Thi K 2005 Mai Dunya Ki Ameer Tareen Shaqsiat Aur
Microsoft K Bani Bill Gates Ne Arfa Se 10 Minuets Ki Mulaqat Ki.Phr Bill Gates
Se Mulaqat Kar K America Se Lootnay K Baad Us Waqt K Wazir E Azam Pakistan Janab
Shaukat Aziz Ne Arfa Ko Fatima Jinnah Award Se Nawaza,Yaqeenan Arfa Ki Kamyaabi
Itni Bari Thi Toh Badlay Mai Us K Inamaat Ki Tadaad Kyu Kar Kum Hoti Arfa Ko
Pakistan Youth Aur Pakistan K Sub Se Baaray Award Pride Of Performance Se B
Nawaza Gaya.Yehi Nahi Arfa Karim Pakistani Tareeq Mai Pride Of Performance Hasil
Karnay Wali Sub Se Kum Umer Pakistani Bhi Bangai.Phr 2006 Mai Arfa Ne Dubai Mai
Aik Hawai Jahaz Ura Kar First Flight Certificate B Hassil Kia.
Arfa Ka Shumaar Unlogo Mai Krna Ghalat Na Hoga Jo Rehti Dunya Tk Yaad Rkhay
Jaingay.Arfa Karim Randhawa Hamaray Mulk E Pakistan Ka Aik Aisa Asasa Thi Jo
Pakistan Mai Tabdelli Ki Naveed Banskti Thi Aur Techncial Field Mai Pakistan Ki
Tarraqi Ka Sub Se Bara Zarya Ban Skti Thi Per Shayed Khuda Ko Kuch Aur He
Manzoor Tha Who 14 January Raat 09:50 CMH Lahor Mai Hum Sub Ko Apni Yaadain Diye
Is Jahan E Faani Se Ruqsaat Hogai Aur Puri Dunya Ko Srf Apni 16 Sala Zindagi Se
Yeh Bawar Karadia K Hum Pakistani Agar Kisi Cheez Ki Lagan Aur Justuju Rkhain
Toh Hum Kisi Qaum Ya Mulk Se Peechay Nahi.
Is Tamaam Baat Ko Likhnay Ka Maqsaad Yeh K Har 2 February 1995 Ko Hum Kuch Is
Tarha Se Arfa Ki Saalgiraah Celebrate Karain K Jis Se Arfa Ki Salahiyton Ka Puri
Dunya Ko Ilm Hoskay Aur Uski Parchai Logo Per Parnay Se Aur Kai Arfa Karim
Randhawa Is Paak Dharti Per Janam Lain!